Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

    app ka ideal kon hay us kay abray may batian
    http://www.genericviagra2015shop.com/

    Comment


    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

      yar plzzzz plzzzzzzz main kab se intazar kar raha hoon handsome ke jawabat ke baad koi sawal na karein main ne karne hainnnnnn plzzzzz phir baad main jitne marzi kar lena
      Allah

      Comment


      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

        Originally posted by YAARAM
        yar plzzzz plzzzzzzz main kab se intazar kar raha hoon handsome ke jawabat ke baad koi sawal na karein main ne karne hainnnnnn plzzzzz phir baad main jitne marzi kar lena
        Yaaram aap apney Qs abhi bhi pooch saktey hein:thmbup:

        handsome aap apney sawal aik hi post mey pooch liya karein is tarhan asaani hoti hai ....:thmbup:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

          aslaam_u_alikam


          sab sey pehley to itnaa ummdah silsila shuru kerney per dheroN mubarak ba`ad.

          masood sahib ka interview bohat pasand aaye.
          sawaal bohat achey the aur masood sahib ney bohat umdagii sey jawaabaat sey nawaazaa.agar her pakistani kii soch esii ho jaaye to yaqeenan hamaaraa mulq taraqii kii unchaai ko chu ley.

          bohat umdda masood sahib. ALLAH aap ko hamesha khush rahey.
          ameen.

          kuch sawaalaat merey zehan main bhi aaye hain jo puchnaa chaahun gii.

          1: zindagii ko 3 lafzon mian bayaan karein
          2: zindagii key wo din jo aap chaahtey hun keh lot aaye
          3: koii esaa lamha jab aap ney sahih maanon main zindagii ko pehchaanaa ho yanii zindagii ki haqeeqat ko janaa ho
          4:aap key nazdeek zindagii main nafrat kiya hey.
          umeed kertii hun sawaalaat naguwaar nahin guzarein gey.

          shukriya




          Comment


          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

            Assalaam o alekum,


            Mera Number Kab aayegaa sawaal kernien kaa :cc:
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

              Originally posted by khurram_shaikh
              Assalaam o alekum,


              Mera Number Kab aayegaa sawaal kernien kaa :cc:
              jab aap ka dil chahey aap pooch lo:thmbup:
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                Aap key sabhi sawalon ka jawab hazir hai:

                Originally posted by handsome
                Zindagi kuch logo ko zindagi say bohat gilay hotay ahin kiya app ko bhi zindagi say koi gila hay
                Mujhey zindagi sey gilla tha. Magar jab main ney realise kiya keh insaan siraf tadbeer hi kar sakta hai, chahey woh tadapey, tarsey, aasman sir per uthaa ley zameen phaar dey woh apni tadbeer sey barh kar kuchh nahin kar sakta kyun keh jo hona hota hai wohi hota hai jo Allah Tala ko insaan key liye munasib hota hai to kyun na apney aap ko supurd-e-taqdeer kar dein, jab main ney aisa kiya to halaat bhi badley. Yehi elahdah baat hai keh aksar halaat talkh hi huwey hain, magar achha aur bura waqt to saath saath chalta hi rehta hai.


                Originally posted by handsome
                Zindagi ko lafzo may bian karina
                Iska jawab Forumadmin key sawaal mein dey chuka hoon.

                Originally posted by handsome
                Kabhi khuda kay kifi feslay per roay hain kay Ayy khuda tu nay asa kun kiya
                Haan ji kaee aik baat - magar kuchh bhi to nahin ho sakta, keh wohi hota hai jo manzoor-e-khud hota hai. Main ney apni teen-age mein aik bohat afsurdah aur dukhi ghazal likhi thi jismein Allah Tala sey gila kiya tha. Phir main ney yeh dekha keh jab us ghazal ko main ney apni kitab sey phaar diya to halaat bohat behtar huwey.

                Originally posted by handsome
                Mohabat kay liya dosti zarori hay ya dosti kay liya mohabat jo bhi jawba hay is ki wezahat karina
                Muhabbat aur Dosti 2 mukhtalif jazbey hain. Dono aik jaggah combine ho saktey hain magar koi shart nahin. Muhabbat mein dosti to ho sakti hai, magar dosti mein muhabbat ka hona zaroori nahin.

                Originally posted by handsome
                internet per mo habar ho sakti hay kiya
                aap key sawal ki agar mujhey saheeh samajh aai hai to aap ney poocha hai keh "internet per mohabbat ho sakti hai?" - to is ka jawab merey nazdeek yehi hai keh muhabbat key jazbey ka ta'aluq dil sey, ehsaason sey na key chehron ki banawat aur shakl-o-surat sey hai. Yeh jazba bedaar hota hai jab aik insaan ki fiker, soch, rawayya, tor-tareeqa, asloob, niyyat, andaz-e-biyaan, zoq shoq waghera kisi key dil mein ghar karley to woh apney ander us insaan key liye feelings rakhna shuru kar dey. Ab yeh feelings Internet per bhi mumkin hai. Lekin jaisey duniya mein har jaggah ki tarha internet per bhi dhoka hai, fareb hai, makker hai, doghla pan hai - magar yeh to har jaggah chalta rehta hai.

                Originally posted by handsome
                inter ki dosti or dunyavi dosti may kiya farq samajhtay hain
                Dosti siraf wohi nahin hota jo aap ko phone kar key aap ka haal daryaft karey, yeh mil kar karey. Dost woh bhi hota hai jo aap sey milon door betha huwa hai magar aap key roz-marrah mein shamil hai. Aap ko apney hone ka ehsaas dilata rehta hai. Puraney zamaney men Qalmi Dosti huwa karta thi, aaj kal yeh kaam Internet per hota hai. Yeh andaaz to phir bhi hazaar ha behtar hai. Kyun keh internet peh dosti aik beloce dosti hoti hai, aap apney dost ko dekh kar uski moashi halat ko dekh kar us sey dosti nahin kartey. Balkey uskey dil mein baith kar dosti key jazbey ko ubhartey hain - shakal-o-surat dektey bghair. Yehi dosti ki achhi misaal hai.

                Originally posted by handsome
                pegham ka wo konsa memeber hay jo app ko sab say ziada pasand hay
                Ha ha ha ha - Muhammad Ahmed alias Handsome :lol :lol :)
                Pegham key member merey liye aik family ki hasiyyat rakhtey hain. Aik sey barh kar aik! Haan kuchh members aisey zaroor hain jin sey bohat purani dosti hai aur unho ney jo merey liye kiya hai woh hamesha yaad rakhoon ga. Aur kuchh naey member hain jinho ney Pegham per apni mehnat, apney jazbey apni sochein sey mera dil jeeta hai. Main unka naam na bhi loon magar woh mujhey bohat aziz hain.

                Originally posted by handsome
                pegham ko bana nay ki asli waja
                Yeh bhi btaa chuka hoon pehley.

                Originally posted by handsome
                kabhi asa hova hay kay app jatay jatay kahi gir gay ho to logo ka kiya rawaya paya
                Main aik shakistah insaan hoon. Baar baar toota hoon aur baar baar bikhra hoon. Kabhi kisi ney sanbhala diya to kabhi khud hi uth kar khara hona parra. Kabhi aasman ko dekha aur kabhi girney key baad bhi Alhamdolillah kaha. Lekin sach to yeh hai keh insaan ko khud hi gir kar uthna chahiye, is umeed per na rahein keh koi sahara dey ga.

                Dey ga na koi sahara, is bedard jahaan mein
                so jaa gham ki chhaoun mein

                Originally posted by handsome
                kabhi kabhi asa hota hay kay koi rastay may mil jata hay or phir hamesha os kay minay ka ahsas zinda rehta hay app kay sath bh ikiya asa hova kabhi
                Haan aisa bhi huwa hai. Kuchh chehrey yaad rah jatey hain, kuchh itfaq si hui mulaqatein bhi yaad rah jati hai. Merey saath aisa huwa hai, na siraf yahan balkey pakistan mein bhi.


                Originally posted by handsome
                shairi kernay ki asli waja
                Yeh bhi btaa chuka hoon pehley.

                Originally posted by handsome
                app ka ideal kon hay us kay abray may batian
                Main ideal prast nahin hoon. Mujhey ideal bnana pasand nahin.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                  Originally posted by Fatimah
                  aslaam_u_alikam


                  sab sey pehley to itnaa ummdah silsila shuru kerney per dheroN mubarak ba`ad.

                  masood sahib ka interview bohat pasand aaye.
                  sawaal bohat achey the aur masood sahib ney bohat umdagii sey jawaabaat sey nawaazaa.agar her pakistani kii soch esii ho jaaye to yaqeenan hamaaraa mulq taraqii kii unchaai ko chu ley.

                  bohat umdda masood sahib. ALLAH aap ko hamesha khush rahey.
                  ameen.

                  kuch sawaalaat merey zehan main bhi aaye hain jo puchnaa chaahun gii.

                  1: zindagii ko 3 lafzon mian bayaan karein
                  2: zindagii key wo din jo aap chaahtey hun keh lot aaye
                  3: koii esaa lamha jab aap ney sahih maanon main zindagii ko pehchaanaa ho yanii zindagii ki haqeeqat ko janaa ho
                  4:aap key nazdeek zindagii main nafrat kiya hey.
                  umeed kertii hun sawaalaat naguwaar nahin guzarein gey.

                  shukriya



                  Fatima aap ki tareef ka shukriyah aada karta hoon. :) Khush rahiye :)
                  Attached Files
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                    Assalaam o alekum,



                    Masood bhai ab tak ke aapke jawaab bahooot hi zabardast aur alaa rahien hain humien yeh jaan ker behud khushi huee ke humien ek behtreen saathi milaa


                    chand sawalaat mere zehan mien they jo aapse ker raha umeed hai iska jawab bhi waisa hi hoogaa jaisa ke itnien saare sawaaloon kaa

                    sawaal No 1,

                    Kal jabke pakistan ki aazaadi ki saalgireh kaa din hai aapkaa kyaa pegham hoogaa pakistan ki awaam ke liye ?


                    sawaal No 2,

                    aaj ki humaari naujawan nasl kyaa tarraqqi ki taref berh rahi hai yaa tanzzulli ki taref?

                    Sawaal No 3,

                    kyaa humaaraa pegham aisa hi saaf aur suthraa rahegaa hameshaa jaisa ke abhi hai ?

                    aur sawaalaat abhi yaad nahin aarahey sooch ker phir poochooongaa :D:
                    :tang: RISK IS MY BUSINESS

                    DANGER IS MY GAME

                    DONT PLAY WITH ME
                    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                    Comment


                    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                      aslaam_u_alikam

                      masood sahib aap key in jawaabaat ka behad shukriya.
                      kabhi kahbaar insaan kehan to bohat kuch chaahtaa hey magar keh nahin pataa kuch esii hii kefiyaat hey.

                      is siley key agley mehmaan ka bhi intizaar rahey gaa.
                      thanks gul itney achey silsiley ko shuru kerney ka.

                      shukriya

                      Comment


                      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                        main Roz Soch kar ati hoon aaj tu Sawal zaroor karo'n gi par Roz nahin Sawal bantay #-o lekin Kal INshAllah ab zaroor karo'n gi :>
                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                          Allah

                          Comment


                          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                            Originally posted by ~khawahish~
                            main Roz Soch kar ati hoon aaj tu Sawal zaroor karo'n gi par Roz nahin Sawal bantay #-o lekin Kal INshAllah ab zaroor karo'n gi :>
                            You are most most welcome Khawaish - magar aasan aasan hi poochhna. Aasan huwey to Pindi ki usi dukaan sey mazzey key kebab khilaoun ga :lol
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                              Originally posted by Fatimah
                              aslaam_u_alikam

                              masood sahib aap key in jawaabaat ka behad shukriya.
                              kabhi kahbaar insaan kehan to bohat kuch chaahtaa hey magar keh nahin pataa kuch esii hii kefiyaat hey.

                              is siley key agley mehmaan ka bhi intizaar rahey gaa.
                              thanks gul itney achey silsiley ko shuru kerney ka.

                              shukriya
                              You are welcome Fatima :)
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                                Originally posted by khurram_shaikh
                                Assalaam o alekum,



                                Masood bhai ab tak ke aapke jawaab bahooot hi zabardast aur alaa rahien hain humien yeh jaan ker behud khushi huee ke humien ek behtreen saathi milaa


                                chand sawalaat mere zehan mien they jo aapse ker raha umeed hai iska jawab bhi waisa hi hoogaa jaisa ke itnien saare sawaaloon kaa

                                sawaal No 1,

                                Kal jabke pakistan ki aazaadi ki saalgireh kaa din hai aapkaa kyaa pegham hoogaa pakistan ki awaam ke liye ?


                                sawaal No 2,

                                aaj ki humaari naujawan nasl kyaa tarraqqi ki taref berh rahi hai yaa tanzzulli ki taref?

                                Sawaal No 3,

                                kyaa humaaraa pegham aisa hi saaf aur suthraa rahegaa hameshaa jaisa ke abhi hai ?

                                aur sawaalaat abhi yaad nahin aarahey sooch ker phir poochooongaa :D:
                                Khurram Ji aap key sawalon key jawabaat:
                                Attached Files
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X