Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

    Originally posted by YAARAM
    HA HA HA :lol :lol :lol

    MAQSOODEY :lol zara sabar karein jawab factory mein tayyar ho rahey hain :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

      Assalaam o alekum,



      bahooot khooob masood bhai bahoot umdeh aapnien saare hi sawaalaat ke jawaab behud achche andaaz mien aur sahi diye hain shukriyaa bahoot bahoot


      haan ek aur sawaal


      aaj ki humaari khawateen ki modernisim per kyaa tabsiraa fermaayien gey aapko nahin lagtaa ke woh kuch zeyaada hi modern ho gayi hain ?
      :tang: RISK IS MY BUSINESS

      DANGER IS MY GAME

      DONT PLAY WITH ME
      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

      Comment


      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

        Masood bhai,

        buhut takheer say mehfil mein puhnchaa hoon,darasl in dinoon internet say door tha ,

        mukhtalif dostoon kay sawalat kay nateejay mein aap nay apni shakhseyat ko jis terah beyan kia, buhut accha laga , mehsoos howa aap ik hasaas, muhib ul watan, aur muhtaat tabeeat kay malik hein ,

        aap kay tamam javabaat pasand aye kehnay kaa maqsad hay keh aap nay apni zaat kay mukhtalif pehlo^oon ko jaisay beyan kia , khushi hoye parh ker lekin kayee nayee chezoon kay baray mein pata chala, aap ki batein parh ker apnay aap mein buhut si tabdeelian kernay ka khayal ayaa, is say barh ker kisi insan ko kia chahyee keh us ki acchi batoon kay dekha dekhi koye dosra shakhs bhi waisee adaat o atvaar ikhteyaar kerni ki khawahish keray

        aap ka sab woh javab sab say ziada accha laga jis mein aap nay muhabbat kay 6 marahil ko qalambaand kia hay ,

        dosraa javab jo buhut pasand aya

        ik member nay poocha keh aap ka aisa khilona jo bachpan say ab tak aap kay pass mojod ho

        aap nay is ka javab deya ""dil"" mein nay is say khubsoorat javab aaj tak nahi suna , lutf a gaya aap ka khubsoorat javab dun ker woh bhi us sorat mein keh javab mehez khana puri nahi balkeh ik haqeeqat hay

        aap ki shairi parhee pasand ayee lekin us say ziada aap ki nacr nigaree pasand hay ""bolo tum kia kia khareedo gay "" parh ker mein is qadr khush howa, bay had muta^assar howa, aap nay buhut umdagee say talkh haqaeeq ko bayaan kia hay ,

        aaj say shayed 2-3 maah qabl forum kay ik member say poocha tha "" yeh masood"" kaun hein , forum lagta hay inhoon nay banaya hay , us waqt aap ki pehli tehreer"bolo tum kia kia khareedo gay "" parhee thee, so mein nay us member say keha keh mujhay ""masood"" kay baray mein mazeed janna hay , unhoon nay keha theek hay mein kuch na kuch jaan ker bataoon ga..phir aap kay mutaliq 2-4 baatein hoyeen , waghaira waghaira

        aaj yehan is interview mein tamam sawalat javabaat ik hi nashist mein ker parhay hein , buhut accha laga aap kay baray mein jaan ker,

        meri woh khawahish keh ""masood"" kaun hein , in kay baray mein kuch jaanna hay , kuch deer say hi sahi lekin pori ho gayee,kafi tafseel say pori hoyee,so ALLAH ka shukur hay keh us nay meri ik khawahish aur pori ker di.

        saval aap say jo kerna chahtaa tha woh dosray members nay ker leye , umeed hay itna sab kuch jaannay kay baad bhi aap ki zaat kay mazeed pehlo waqt kay saath saath ujaagar hotay jayen gay .

        ALLAH aap ko zindigi kay her maidan mein kamyaab keray

        kher andesh

        waqar masood
        Rabb e Zidni Elmaa"

        Comment


        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

          Aap sab ka bohot ziada shukriya ....aur waqai Masood bro. key sath interview bohot acha ja raha hai ...ki jawabaat tayyar kerney ki "factory" waqai qaabley tarreef hai :D

          Khawahish jaldi sey pooch lo qs....phir nahi itna sunehra mauqa milna :P
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

            Originally posted by YAARAM
            Aap ka jawab - agli teen posts mein:
            Attached Files
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

              Part 2
              Attached Files
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                Part III
                Attached Files
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                  hhaha Masood bhai aap ke sawalon ne aik ajeeb hejaani se kefyta main daal dya kuch nahi keh sakta hai anyway thanx or reply....and in detail.........aur han shadi wala jawab nahi mila :( aur sath main hathora bhi :) nmmmmmmmm :(
                  Allah

                  Comment


                  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                    Originally posted by barg.e.gul
                    Aap sab ka bohot ziada shukriya ....aur waqai Masood bro. key sath interview bohot acha ja raha hai ...ki jawabaat tayyar kerney ki "factory" waqai qaabley tarreef hai :D

                    Khawahish jaldi sey pooch lo qs....phir nahi itna sunehra mauqa milna :P
                    Haan poochney lagi hoon :D wo kya hai na mujhay Masood par Reham sa aa jata hai har bar :blush:
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment


                    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                      Originally posted by Masood
                      Aap key sabhi sawalon ka jawab hazir hai:


                      Mujhey zindagi sey gilla tha. Magar jab main ney realise kiya keh insaan siraf tadbeer hi kar sakta hai, chahey woh tadapey, tarsey, aasman sir per uthaa ley zameen phaar dey woh apni tadbeer sey barh kar kuchh nahin kar sakta kyun keh jo hona hota hai wohi hota hai jo Allah Tala ko insaan key liye munasib hota hai to kyun na apney aap ko supurd-e-taqdeer kar dein, jab main ney aisa kiya to halaat bhi badley. Yehi elahdah baat hai keh aksar halaat talkh hi huwey hain, magar achha aur bura waqt to saath saath chalta hi rehta hai.



                      Iska jawab Forumadmin key sawaal mein dey chuka hoon.


                      Haan ji kaee aik baat - magar kuchh bhi to nahin ho sakta, keh wohi hota hai jo manzoor-e-khud hota hai. Main ney apni teen-age mein aik bohat afsurdah aur dukhi ghazal likhi thi jismein Allah Tala sey gila kiya tha. Phir main ney yeh dekha keh jab us ghazal ko main ney apni kitab sey phaar diya to halaat bohat behtar huwey.


                      Muhabbat aur Dosti 2 mukhtalif jazbey hain. Dono aik jaggah combine ho saktey hain magar koi shart nahin. Muhabbat mein dosti to ho sakti hai, magar dosti mein muhabbat ka hona zaroori nahin.


                      aap key sawal ki agar mujhey saheeh samajh aai hai to aap ney poocha hai keh "internet per mohabbat ho sakti hai?" - to is ka jawab merey nazdeek yehi hai keh muhabbat key jazbey ka ta'aluq dil sey, ehsaason sey na key chehron ki banawat aur shakl-o-surat sey hai. Yeh jazba bedaar hota hai jab aik insaan ki fiker, soch, rawayya, tor-tareeqa, asloob, niyyat, andaz-e-biyaan, zoq shoq waghera kisi key dil mein ghar karley to woh apney ander us insaan key liye feelings rakhna shuru kar dey. Ab yeh feelings Internet per bhi mumkin hai. Lekin jaisey duniya mein har jaggah ki tarha internet per bhi dhoka hai, fareb hai, makker hai, doghla pan hai - magar yeh to har jaggah chalta rehta hai.


                      Dosti siraf wohi nahin hota jo aap ko phone kar key aap ka haal daryaft karey, yeh mil kar karey. Dost woh bhi hota hai jo aap sey milon door betha huwa hai magar aap key roz-marrah mein shamil hai. Aap ko apney hone ka ehsaas dilata rehta hai. Puraney zamaney men Qalmi Dosti huwa karta thi, aaj kal yeh kaam Internet per hota hai. Yeh andaaz to phir bhi hazaar ha behtar hai. Kyun keh internet peh dosti aik beloce dosti hoti hai, aap apney dost ko dekh kar uski moashi halat ko dekh kar us sey dosti nahin kartey. Balkey uskey dil mein baith kar dosti key jazbey ko ubhartey hain - shakal-o-surat dektey bghair. Yehi dosti ki achhi misaal hai.


                      Ha ha ha ha - Muhammad Ahmed alias Handsome :lol :lol :)
                      Pegham key member merey liye aik family ki hasiyyat rakhtey hain. Aik sey barh kar aik! Haan kuchh members aisey zaroor hain jin sey bohat purani dosti hai aur unho ney jo merey liye kiya hai woh hamesha yaad rakhoon ga. Aur kuchh naey member hain jinho ney Pegham per apni mehnat, apney jazbey apni sochein sey mera dil jeeta hai. Main unka naam na bhi loon magar woh mujhey bohat aziz hain.


                      Yeh bhi btaa chuka hoon pehley.


                      Main aik shakistah insaan hoon. Baar baar toota hoon aur baar baar bikhra hoon. Kabhi kisi ney sanbhala diya to kabhi khud hi uth kar khara hona parra. Kabhi aasman ko dekha aur kabhi girney key baad bhi Alhamdolillah kaha. Lekin sach to yeh hai keh insaan ko khud hi gir kar uthna chahiye, is umeed per na rahein keh koi sahara dey ga.

                      Dey ga na koi sahara, is bedard jahaan mein
                      so jaa gham ki chhaoun mein


                      Haan aisa bhi huwa hai. Kuchh chehrey yaad rah jatey hain, kuchh itfaq si hui mulaqatein bhi yaad rah jati hai. Merey saath aisa huwa hai, na siraf yahan balkey pakistan mein bhi.



                      Yeh bhi btaa chuka hoon pehley.


                      Main ideal prast nahin hoon. Mujhey ideal bnana pasand nahin.
                      JAwabat daynay ka shukerya :clap:
                      http://www.genericviagra2015shop.com/

                      Comment


                      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                        Asalam-o-Alikum




                        lijyeah Masood main bhi aa hi gaye akhir :blush:


                        1. MashAllah say aap likhtay hain tu appni likhi hoi koi Gazal sunayeah ?

                        2. main nay dekha hai aap buhat Talkh likhtay ho us ki koi Khass waja ?

                        3. Aap ko pata lag jay kay Marney lagey ho So Marney say pehlay kaun say Das kaam karein gay aap ?

                        4. Zindagi aap ki nazar main ?

                        5. Aap ki koi Achievement ?

                        6. Dikhney main kessay hian kitney HANDSOME hain :p ?

                        7. Khabi kissi Tanha jaga par jana parey tu kissi Shakas ko sath lay kar jana ho tu kis ko sath lay kar jaein gay ?





                        Abhi kay liyeah ithnay hi Sawal buhat hian baqi phir karo'n gi :D :p

                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                          Kya mei bhi poocho sawal :p
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                            Originally posted by ~khawahish~
                            Asalam-o-Alikum

                            lijyeah Masood main bhi aa hi gaye akhir :blush:



                            2. main nay dekha hai aap buhat Talkh likhtay ho us ki koi Khass waja ?





                            100% agreed:thmbup:
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment


                            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                              Originally posted by Saima Shaheen
                              Kya mei bhi poocho sawal :p
                              haan na jaldi say poocho na :x
                              Zindagi Thak Gaye ..!!

                              Comment


                              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                                Originally posted by ~khawahish~
                                lijyeah Masood main bhi aa hi gaye akhir
                                Abhi kay liyeah ithnay hi Sawal buhat hian baqi phir karo'n gi
                                You are so welcome Khawahish - any time :)
                                Attached Files
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X