Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

    Originally posted by Adi
    Q2- App nay apna Takhuls Masood kyon rakha ?
    Masood takhallus is liyey rakha keh yeh naam mujhey bohat pasand hai. Iska matlab hai KHUSHNASEEB (u know what I mean - don't u :)). Aur main khud ko khushnaseeb bhi samajhta hoon keh kuchh na hotey huwey huwey Allah ney bohat izzat aur muqaam diya hai.

    Iskey elawa main ney shuru sey Tariq takhallus istimal kiya to kaee aik sheron mein jachha nahin. Aik shair tha:

    Aey Khuda tu janta hai key mujhey woh hain maqsood
    khushbakht bnana mujhey bnaa dey unhein naseeb-e-masood

    to bas is key baad masood ko apna liya.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

      Originally posted by Spy009
      Part 3 ke jawab about "Pegham and its member" achha laga, khyalat kafi buland hain, :insha: Pegham apne target se uper pahunchega.

      Hamara tawwun Pegham ke saath hamesh rahega.
      InshaAllah - and let's move ahead - together - shoulder to shoulder like a FORCE :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

        Aap ka interview parh ker acha laga...kcuh sawalat ke jawab aap ne buhut sanjeedgi se diye, itney sanjeeda ho U mujhe andaza nahi tha :p

        Well dosrey hisey mei aap ne "Pachtawey" ke barey mei likha
        K aap bachpan mei buhut sakhta bimar they, aur ous waqt aap ki mama ne depression mei kuch keh bhi diya tha.... Is mei pachtawey ki kya baat ?? Koi bhi bimari , takleef aur mushkil to khuda ki taraf se hoti hai aur phir khuda hi insan ko ous takleef se shifa deta ai aur mushkil mei rasta dikhata hai.... Aap in baton ko pachatawey mei to define nahi ker saktey.
        sigpic

        Comment


        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

          Asalam Alaikum,
          Aaap ka interview ley ker mey ye keh sakti hun key kabhi kabhi jaldi key kaam bhi zaberdast hotey hein :D:
          A to Z saarey key saarey khayalaat jan ker bey had khushi hui
          khas ker Pegham key baarey mey
          Khush Rahein aur ham sab ki dua hai key aap ki saary wishes poori ho jayein aur zindagi naik kamon mey hi guzrey Ameen
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

            Q7- App ka jo ajkal profession hai agar wo na hota tou app kon sa dosray profession men hotay?

            Q8- Is forum ka name Pegham kasay aya zehen men ? kitna time laga ?
            - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

            Comment


            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

              Originally posted by Adi
              Q3- 14 August ko Pegham per Celebrate karnay ka koi Plan ?
              Ham aksar poochhtey hain keh insaan baligh kab hota hai? Merey nazdeek jab woh khud ko dhoka dena chhor dey! Aur ham aik na-samajh aur na-baligh qom hain jo aik arsey sey khud ko dhoka dey rahi hai keh ham AAZAD hain, ham AIK hain! Jab dilon mein kadoortein bhari hon to jashan kaisa? jab zehan ghulam hon to aazadi kaisi?

              Celebration ho gi, magar Allah Tala key hazroor giryah-o-zaari kar key keh hamein moaf farma dey aur hamein AAZAD aur AIK honey ki tofeeq ata farmaein.

              Yeh to merey paghalpan ki batein thin, lekin ham aik Knowledge Competition bhi arrange kar rahey hain jis mein jeetney waley key liye aik inaam bhi ho ga.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                Originally posted by Adi
                Q7- App ka jo ajkal profession hai agar wo na hota tou app kon sa dosray profession men hotay?

                Q8- Is forum ka name Pegham kasay aya zehen men ? kitna time laga ?
                Asalam alaikum,
                aap apney sawalaat aik hi baar aik hi post mey daal dein to ziada acha hai :thmbup:
                Shukriya
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                  Originally posted by Masood
                  Mera naam Tariq Maqsood hai. Yeh naam merey bhadey bhai ney rakha hai keh unki class mein us waqt aik larka parhta tha jiska yeh naam tha aur bhai ko bohat pasand aaya tha. Tariq key do matlab hain:

                  (1): Subha ka sitara (woh sitara jo suraj key taloo honey key baad sab sey aakhir dam tak nazar aata hai. (Aur Quran-e-Pak ki sruat Al'Tariq mein bhi hai)

                  (2) Raat ka musafir.

                  ... aur Masqsood key matlabh hain mudda, matlab, gharz, matloob.
                  hmm Nice :rose
                  - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

                  Comment


                  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                    Originally posted by Saima Shaheen
                    Yaqin kertey hain k nahi ...pata nahi parhatey zaroor hain :p
                    :lol haha thx for information :rose :lol
                    chalen masood je batyee apnay star ke khosisyattt aur wo app per kitna pura utarteen hain :eye:
                    - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

                    Comment


                    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                      Very Good Adi lagey raho sahi ja rahay ho par main soch rahi hoon Sab khuch tum pooch lo gay tu main kya poocho'n gi :-s
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                        Originally posted by Masood
                        Masood takhallus is liyey rakha keh yeh naam mujhey bohat pasand hai. Iska matlab hai KHUSHNASEEB (u know what I mean - don't u :)). Aur main khud ko khushnaseeb bhi samajhta hoon keh kuchh na hotey huwey huwey Allah ney bohat izzat aur muqaam diya hai.

                        Iskey elawa main ney shuru sey Tariq takhallus istimal kiya to kaee aik sheron mein jachha nahin. Aik shair tha:

                        Aey Khuda tu janta hai key mujhey woh hain maqsood
                        khushbakht bnana mujhey bnaa dey unhein naseeb-e-masood

                        to bas is key baad masood ko apna liya.
                        Otay Boss :rose :phool:
                        - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

                        Comment


                        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                          Originally posted by Adi
                          Q4- App Stars per Belive kartay hain ?
                          Haan ji main stars per bohat yaqin rakhta hoon keh Allah Tala ney bohat pyarey pyarey sitarey kainaat mein bnaey hain jo hamari nazroon ko aik khoobsurat si chamak detey hain aur timtimatey rehtey hain. Mujh jaisa dard-e-dil rakhney wala to aksar apni ratein inhi sitaron ko gin gin guzar deta hai:

                          gin gin taarey langdiyaan raatan
                          sappan wangoon dangdiyaan raatan

                          :lol :lol

                          Aap ki murad woh sitarey nahin they :cc: achha inka ilam key barey mein aur us ilam per yaqin rakhney key barey mein aap poochh rahey hain? :lol

                          To mera jawab hai keh is mein koi shak nahin keh sitaron ka ilam apni haqeeqat rakhta hai aur in sey insaani zindagi per asar bhi parrta hai. Jaisa key ancient egyptians kiya kartey they.

                          Magar main apni roz marrah ki zindagi mein in baton ko qatee ahmiyat nahin deta aur na hi sitaron key ahwaal parta hoon. Bohat batein ab ghair-haqeeqi shamil kar di gaee hain aur bohat afsanvi bhi. Magar kuchh bhi ho main yeh parh loon magar I don't belive in these :)
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Yaqin kertey hain k nahi ...pata nahi parhatey zaroor hain :p
                            :lol haha thx for information :rose :lol
                            chalen masood je batyee apnay star ke khosisyattt aur wo app per kitna pura utarteen hain :eye:
                            - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

                            Comment


                            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                              Originally posted by barg.e.gul
                              Asalam alaikum,
                              aap apney sawalaat aik hi baar aik hi post mey daal dein to ziada acha hai :thmbup:
                              Shukriya

                              Ops
                              Jaisay Jaisay zehen men ayee wasay poch lyee
                              Men aik sath poch longa next time :) :rose
                              - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

                              Comment


                              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                                Originally posted by Adi
                                Q5- Shairey kay lya Kisi say muhabbat karna zaroori hai ?
                                Haan ji Shairi key liye muhabbat ka hona zaroori hai. Muhabbat key jazbey ko samjhey bghair shairi karna mumkin nahin. Muhabbat ka jazbah apney ander bohat si khasoosiyaat liye huwey hai. Yeh muhabbat larkey aur larki wali zaroori nahin hoti, is key liye dil mein aik tadap honi zaroori hai aisi tadap jo aap ko apney aap sey rushnaas karaey, apney aap sey wabasta insaano sey rushnaas karaey, apney mahol sey, apni qom key dard sey rushnaas karaey - yeh woh muhabbat hoti hai jo aap key jazbaat ko chahey woh kisi bhi dukh, dard, khushi, ghami ya kisi bhi ehsaas sey wabasta karey. Is muhabbat key bghair shairi mumkin nahin!


                                Q6- Koi bachpan ke shararat waqyaya jisay yaad kar kay ajj bhee khob hanstay hain :-?
                                Merey bachpan mein aisi bohat kam sharartein hain jinhein yaad rakhoon. Mera bachpan bohat .......................................... anyway. Nahin aisi koi khaas shrarat nahin. :)
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X