Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

    Originally posted by Masood
    Haan ji main stars per bohat yaqin rakhta hoon keh Allah Tala ney bohat pyarey pyarey sitarey kainaat mein bnaey hain jo hamari nazroon ko aik khoobsurat si chamak detey hain aur timtimatey rehtey hain. Mujh jaisa dard-e-dil rakhney wala to aksar apni ratein inhi sitaron ko gin gin guzar deta hai:

    gin gin taarey langdiyaan raatan
    sappan wangoon dangdiyaan raatan

    :lol :lol

    Aap ki murad woh sitarey nahin they :cc: achha inka ilam key barey mein aur us ilam per yaqin rakhney key barey mein aap poochh rahey hain? :lol
    :lol Wo samjh kar bhi Anjaan sa ban jata hai khuch aisa hi kya hai abhi aap nay :p
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment


    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

      Originally posted by Saima Shaheen
      Yaqin kertey hain k nahi ...pata nahi parhatey zaroor hain :p
      Haan drust kaha parhta zaroor hoon magar yaqin zero karta hoon, itfaq ho sakta hai - haqeeqat kam hi hot hai :P
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

        Originally posted by Saima Shaheen
        Aap ka interview parh ker acha laga...kcuh sawalat ke jawab aap ne buhut sanjeedgi se diye, itney sanjeeda ho U mujhe andaza nahi tha :p

        Well dosrey hisey mei aap ne "Pachtawey" ke barey mei likha
        K aap bachpan mei buhut sakhta bimar they, aur ous waqt aap ki mama ne depression mei kuch keh bhi diya tha.... Is mei pachtawey ki kya baat ?? Koi bhi bimari , takleef aur mushkil to khuda ki taraf se hoti hai aur phir khuda hi insan ko ous takleef se shifa deta ai aur mushkil mei rasta dikhata hai.... Aap in baton ko pachatawey mei to define nahi ker saktey.
        Saima aap ney bilkul drust kaha hai keh issey pechhtawey mein define nahin kiya jaa sakta. Lekin baat yeh hai keh jab aap ko yeh baat sunena parrey - bar bar - keh tum mar kyun nahin gaey they to yeh phir aik pechhtawey ki hi kafiyyat ban jati hai - keh nahin?

        Aur haan main pehley pehal bohat ziyada sanjeedah tha, ab phir bhi kuchh hansi mazzaq aur dillagi shuru kar di hai magar pehley pehal waqiey bohat ziyada tha.... ab to yehi dil karta hai keh shrarton sey haath na kheenchoon :P
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

          Originally posted by barg.e.gul
          Asalam Alaikum,
          Aaap ka interview ley ker mey ye keh sakti hun key kabhi kabhi jaldi key kaam bhi zaberdast hotey hein :D:
          A to Z saarey key saarey khayalaat jan ker bey had khushi hui
          khas ker Pegham key baarey mey
          Khush Rahein aur ham sab ki dua hai key aap ki saary wishes poori ho jayein aur zindagi naik kamon mey hi guzrey Ameen
          :) isko complement samjhoon? chalein samajh leta hoon aakhir ham kisi sey kam to nahin :wk :wk Waisey Gul aap ka andaaz bohat zabardast raha interview leyney ka. Aur achha laga aap ko interview dey kar :)

          Pegham key liye meri sochein bohat buland hain, magar main akela do qadam nahin chal sakta - ham SAB ko saath saath mil ker chalna ho ga takeh aik aisa kaam kar jaein jissey yaad rakha jaey :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

            Originally posted by Adi
            Q7- App ka jo ajkal profession hai agar wo na hota tou app kon sa dosray profession men hotay?
            Main SAP Consultant hoon aur infact 2 din pehley hi job change ki hai. IT ki field sey wabasta honey sey pehley main Salesman tha, magar I didn't liked that a bit. To IT sey muhabbat hui to bas isi field ka ho kar rah geya. Agar na hota to shayid teacher hota :)

            [QUOTE}Q8- Is forum ka name Pegham kasay aya zehen men ? kitna time laga ?[/QUOTE]

            Forum key ibtidaee dino mein main ney aur Aanchal ney is per kaafi discuss kiya tha keh naam kiya ho. Chunkeh meri soch yeh thi keh ham aik neya pegham dena chahtey hain unko jo doosrey forums ki siyasat sey tang aa chukey hain aur aik naee soch chahtey hain to aik din aisey hi zehan mein click kiya keh kyun na iska naam Pegham rakha jaey to usi waqt yeh domain khareed liya :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

              Originally posted by ~khawahish~
              :lol Wo samjh kar bhi Anjaan sa ban jata hai khuch aisa hi kya hai abhi aap nay :p
              :lol :lol

              ab btana nahin unko kaheen laraee na ho jaey keh main jaan boojh kar anjaan ban geya hoon :)
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                Originally posted by Masood
                Saima aap ney bilkul drust kaha hai keh issey pechhtawey mein define nahin kiya jaa sakta. Lekin baat yeh hai keh jab aap ko yeh baat sunena parrey - bar bar - keh tum mar kyun nahin gaey they to yeh phir aik pechhtawey ki hi kafiyyat ban jati hai - keh nahin?

                Nahi, mei agree nahi kerti aur mujhe lagta hai k is mei agree kerne wali baat nahi yeh bachgani soch huwi , Insan ka bass nahi hota in chizon per. Pachtawa insan ko tab hota hai jab kuch ous ke bass mei ho aur ous ne na kiya ho, koi moqa zaya ker diya ho, yaan koi galati ker di ho, tab insan ko baad mei pachtawa hota hai k kash mei ne aisa na kiya hota. Jin chizon pe rinsan ka ikhtiyar hi nahi ous per kaisa pachtawa ??
                sigpic

                Comment


                • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                  :).....Sub logon ne itnay zayada zayada swal poochay hein to mein en socha k chali aik aadh swal meri traf se bhi....tou Masood aap yeh btayein k,

                  1. duniya mein koi aisee jagah jissay dekhna aap ka khwab ho, yahni koi DREAM PLACE (pakistan k ilawah:) ).

                  2. Agar aap ko yeh choice di jaye k aap apni zindagi k liye, taqdeer ya tadbeer mein se aik ko chun lein to aap ki choice kiya ho gi?

                  Comment


                  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                    Originally posted by Muskan
                    :).....Sub logon ne itnay zayada zayada swal poochay hein to mein en socha k chali aik aadh swal meri traf se bhi....tou Masood aap yeh btayein k,
                    1. duniya mein koi aisee jagah jissay dekhna aap ka khwab ho, yahni koi DREAM PLACE (pakistan k ilawah:) ).
                    Mujhey apni umer mein siraf aik bar hajj kar ney ki khawahish hai, Aik baar is liye kaha keh main numaish nahin karna chahoon ga keh main ney hajj kiya huwa hai, balkey Allah key hazoor sar jhuka kar apney kiyon ki muafi mangna chahta hoon.

                    Iskey elawa mujhey Misr key ehraam dekhney ka show hai, wahan per aik baar jana hai. Aur iskey baad aik baar China ki ancient tehzeeb dekhni hai. i am fascinated by China :)


                    2. Agar aap ko yeh choice di jaye k aap apni zindagi k liye, taqdeer ya tadbeer mein se aik ko chun lein to aap ki choice kiya ho gi?
                    Meri zaat do cheezon ka majmooa hai: amal aur Allah ki raza ko maan lena.

                    Tadbeer merey haath mein hai jabkeh taqdeer nahin! Main apni jido-jehad sey apni anthak mehnat sey tadabeer to kar sakta hoon magar taqdeer ko kya manzoor hai? issey main badal nahin sakta. Haan duaein kar sakta hoo. Agar merey emaal aisey hain jo merey Allah ko pasand aa jaein to woh meri taqdeer bhi badal sakta hai. Taqdeer badalni hai to tadbeer karein - meri choice tadbeer karna ho gi aur phir baqi Allah peh chhor dena keh woh taqdeer mein kya likhta hai :)
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                      Originally posted by Masood
                      Aap key sawalaat key jawabaat tayyar kar raha hoon - thora sa intizar :)

                      masood
                      hmm intazar rahey ga :)

                      Comment


                      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                        Merey kuch mazeed sawal..!! :)

                        1) Mohabbat Yaa Manzil agar dono main sai kisi aik ko chun'ana ho ga dono saath nahi mil saktien to kya kero gai ? Waja batana jisey bhi chuno aur yaad rahey yahan mohabbat manzil nahi :)

                        2) Andherey sai koi lagao ? agar hai to andhera aksar kin khayalat main laey jata hai ?

                        3) Tanhai ki keyfiyat main kya kerna pasand kertey ho ? ab yahan dheyan rekhna main nai keyfiyat kaha hai :)

                        4) Aaj sai 5 saal baad khud ko kahan dekhna chahtey ho ? (kisi khas mukam par yani zindagi main koi khas darja yaan sab normal hee)

                        5) Ronaq-e-Baazm kaun loag hua kertey hein aur kyun ?

                        Umeed hai pehley panch sawalon kai jawabat ko samney rakh ker in 5 sawalon kai jawabat do gai :) jeetey raho khush raho sada abad raho

                        Comment


                        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                          Originally posted by ForumAdmin
                          Mujhey reply kerney ka to moqa mila nahi tumhein Masood shayad ab sawalon kai jawab deney ka moqa mil jaye :)

                          1) Zindagi ka falsafa kya hai tumharey nazdeek detail main batao ..!!

                          2) Pehley bhi shayad poocha ab phir poochon ga Khawab , Saraab, Azaab faraq kya hai in teenon main teenon ko explain kero :)
                          Pehley 2 Sawalon ka jawab hazir hai:
                          Attached Files
                          Last edited by Masood; 4 August 2005, 00:10.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                            bohot achi reply hai aur bohot ziada achi soch hai aap ki :thmbup:
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                              Masood buhat achay buhat achay andaz main aap nay Paa ji kay Sawalo'n kay jawab diyeah :rose
                              Zindagi Thak Gaye ..!!

                              Comment


                              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                                Bohaat he achaay jawaab diay hain aap nay..aap ky baary main bohat sare batain pata chale is say :) bohat achii sooch hain aapki :rose
                                mai bhe thory sy questions pochte hon :)


                                1)Bachpan ka koi khilona jo aaj tak apky pas mohfoz ho?

                                2)Apni koi se teen achi aur teen buri aadat batain??

                                3)Behan bhayyon k saath bachpan kaisa guzra???

                                4)Sab say mushkil kaam kia lagta hai aap ko??

                                5)Dunya main sab sy acha rishta kon sa lgta hai??

                                6)Aap ka qeemti asasa kia hai??

                                7)App ko ghar ka khana ziada pasand hai ya bahar ka & hotling ka shauq hai kia aap ko??

                                8)Aap ka pasandeeda libas kon sa hai?

                                9)Aap ka pasandeeda phool aur khoshboo kon si hai??

                                10)Aap nay ab tak ki zindagi say kia seekha??

                                11)Aap k nazdeek khobsoorti ki tareef kia hai??

                                12)Apnay aap ko teen alfaz main bayan karain??

                                13)Farz karaion k aap k baal jharnay lagain aitnay ziada k aap anqareeb aap k ganjay honay ka imkan ho to aap ki karain gay??

                                14)Zindagi main kis cheez ki kammi mahsoos hoti hai??

                                15)Aik sawal jo koft ka ba'is banta hai??

                                16)Jab depression hota hai to kiakartay hain??

                                18)Burhapa kaisay guzarain gay??

                                19)Koi khawab jo sach hoa ho??

                                20)Aik weham jo aap ko pareshan karta ho??

                                21)Agar aap ki jasoosi per kisi ko laga dia jay to aap ki shaksiat per pehla inkashaf kia ho ga??

                                22)Doston ki kon si baat aap ka mood kharab kar daiti hai??

                                23)Aadhi raat ko aankh khul jay to kia kartay hain??

                                24)Wo rishta jis nay aap ko takleef di??

                                25)Jab koi aap ki tareef karta hai to aap kasia mahsoos kartay hain??

                                26)Aaina daikh kar kia khayal aata hai??

                                27)Kabhi kise ko qatal kerny ka dil chaha?

                                28)Agar koi aap say aap ki pasandeeda cheez mangay to kia karain gay aap??

                                29)Apni cheez ky bary main kitny possessivehain aap?

                                30)Aap fazoll kharch hain ya........?

                                mery khayal main abhe itny kafi hain :eye:

                                Comment

                                Working...
                                X