Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

    dossra hissah :)
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

      Acha ..mei ne pehley is liyeh nahi poochey ka kahin Masood bhag na jatey :D :devilsmil

      Ab sab ne pooch liyeh hain to chand ek sawal meri taraf se ...

      1) Waqt ki pabandi (official yaan personal kisi bhi kaam mei ) ke mamley mei kaisey hain ?

      2) Zindagi mei jab bhi koi faisla kertey ahin to ous mei dosey (family or freinds) kis hadth tak involve hotey hain, yaan her faisla khudh independently kertey hain ?

      3) Zindagi mei kabhi aisa morr aayeh k aap ko dost yaan mohabbat mei se kisi ek ko chun'na parey to kya karein gai. To aisey halat mei kasiey faisla karein gai.

      4)Kisi bhi insan mei kon si khoobian yaan aadatin hoti hain jin se aap mutasir hotey ho.

      5) Ager kisi ki achi aadatain aap ko inspire kerti hain. To kis hadth tak aap oun achaiyon ko khudh bhi apnatey hain.

      6) Acha insan honey ke liyeh ek kisi mei kon si achaiyan honi chahiye, koi 3 achaiyan bataiyeh.

      7) Zindagi mei jab khushian milti hain to her insan ka reaction different hota hai, aap kasiey react kertey ho.

      8) Aisi kon si kharab aadat hai jis ki waja se aas pass ke log (ghar waley yaan dost) mana kertey hon, baaz aaney ko kehtey ho aur aap wo aadat na chor payeh ho ab tak.

      9) Gher mei kis se sab se zada closey hain, jis se her baat share kertey ho dosto ki tarah.

      10) Pehli Nazar mei Pyar" kya is per yaqin rakhtey hain. Kya bina dekhey bina miley kisi se pyar ho sakta hai.

      11) Kya Mohabbat kisi se ki bhi ja sakti hain, matlab yeh k hum khudh ko majboor karein kisi ke barey mei sochney per aur phir ous se mohabbat kerne lagein ....... kya aisa mumkin hai ??

      12) Mohabbat ki nahi jati ho jati hai........ Is ki wazahat karein ager aap aisa samajhtey hain to.

      13) Love Yaan Arragne Marriage .... kis per yaqin kertey hain ko woh behter hota hai Insan ke haq mei.

      14) Koi dua jo zuban per aaney se pehley hi poori ho gayi ho.

      15) Rongo'n mei kis tarah ke rang zada attract kertey hain, dark, light, shokh yaan silent. Aur kya insan key rango ke intikhab mei ous ki shaksiyat ka koi amal dakhal hota hai ??

      16) Zindagi mei ager kabhi World tour per janey ka moqa miley to kis mulk mei jana chahein gai.

      17) Insan ki zindagi mei ous ke jeenay ka koi apna zati maqsad hona chahiye, yaan dosro ki zaroorton ko hi apna maqsad bana lena cahhiyeh. Aap ki ske haq mei hain aur kiu ??

      18) Jab kabhi aap ko buhut zada gussa aayeh to kis tara react kertey hain, Do you hit things ......... yaan koi aur reaction.

      19) Apni koi aisi khwahish bataiyeh jo ajeeb si ho, matlab jo haqeeqat se hut ker ho, namumkin ho, magar phir bhi Dil mei ho " k kash aisa ho"


      20) Aakhri Sawal

      PHOOL, TITLIAN, KHUSHBOO, JUGNU AUR RANG
      In mei se koi ek chiz chun'ni parey to kya chunein gai. (kuch yaad aaya:D )
      sigpic

      Comment


      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

        hmmmmmmmmmmm Masood Gazal buhat achi hai :rose


        aur Talkh likhney ki baat ki tu kissi had tak darust kaha aap nay :)


        Wowwwwwwwww yeh tu waqai buhat bari kaamyaabi hai aur Dua hai Allah aap ko har Qadam kaamyabi day :rose



        hahahha wessay Idea bura nahin hai aap appni Photo yahaan laga do ;) :p



        wessay mujhay abhi aur bhi Sawal karney hian :blush:
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

          Originally posted by Saima Shaheen
          kahin Masood bhag na jatey ............. chand ek sawal meri taraf se
          Bhagta to nahin hoon magar yeh chand aik hain? agar yeh chang aik hain to ziyada kitney hotey hon gi - khair saber.com - jawabaat tayyar kar rahey hain :D
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

            Originally posted by ~khawahish~
            wessay mujhay abhi aur bhi Sawal karney hian
            Arrey to aap poochhiye na - aakhir main ney bhi to badla lena hai aik din :D
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

              Originally posted by Masood
              Bhagta to nahin hoon magar yeh chand aik hain? agar yeh chang aik hain to ziyada kitney hotey hon gi - khair saber.com - jawabaat tayyar kar rahey hain :D

              Bas wo zara office mei busy thi is liyeh thorey hi poochey hain :lol



              ..baqi phir kabhi :D
              sigpic

              Comment


              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                Originally posted by Masood
                Arrey to aap poochhiye na - aakhir main ney bhi to badla lena hai aik din :D
                Haan yeh bhi saHi hai:lol
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                  main kia pouchoun ? :cc:
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                    Originally posted by Aanchal
                    main kia pouchoun ?
                    aap bhi aa jaein - chhuriyaan tez karti :D :D
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                      Originally posted by Aanchal
                      main kia pouchoun ? :cc:

                      Assalaam o alekum,


                      naaaaani aap to ghabraayien naa main to intezaar mien hun ke bass meri naaaaani kaa number aaye aur main shuru ho jaaon abhi se sawaaloon ki list tayyar ker rahaa hun :tang: :tang: :zuban:
                      :tang: RISK IS MY BUSINESS

                      DANGER IS MY GAME

                      DONT PLAY WITH ME
                      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                      Comment


                      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                        Originally posted by khurram_shaikh
                        jaaon abhi se sawaaloon ki list tayyar ker rahaa hun
                        aap bhi khurram - hmmmm in tmaam jawabaat key baad mujhey aik maheeney ki chhuti per jana ho ga :D
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                          Originally posted by Masood
                          aap bhi aa jaein - chhuriyaan tez karti :D :D

                          na na main asan sawal hi pouchoun gee :p



                          kayoukay asaan sawaloun kay jawab mushkil hotaay hain mushkil sawaloun kay nahi :eye:
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                            Originally posted by khurram_shaikh
                            Assalaam o alekum,


                            naaaaani aap to ghabraayien naa main to intezaar mien hun ke bass meri naaaaani kaa number aaye aur main shuru ho jaaon abhi se sawaaloon ki list tayyar ker rahaa hun :tang: :tang: :zuban:

                            burhi nani pay itna zulam karoo gay :eek: kahi jawab daytay daytay oper hi na ......... :D
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                              Originally posted by Masood
                              Arrey to aap poochhiye na - aakhir main ney bhi to badla lena hai aik din :D
                              wo din khabi nahin aney wala likh lijyeah aap :p
                              Zindagi Thak Gaye ..!!

                              Comment


                              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                                Originally posted by ~khawahish~
                                wo din khabi nahin aney wala likh lijyeah aap :p
                                hehe he .... khawahish din kareeb bhi ho sakta hai :P
                                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                                Comment

                                Working...
                                X