Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

    Haan abhi itne kafi hain :lol
    sigpic

    Comment


    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

      Originally posted by aik_lerki
      mery khayal main abhe itny kafi hain
      :eek: :eek: Larki aap key paas aur koi kaam nahin tha - intey saaaary sawaal :hathora , koi baat nahin aap moderator hain aur main admin ley loon ga badley CHUN CHUN key :lol :lol
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

        Originally posted by aik_lerki
        Bohaat he achaay jawaab diay hain aap nay..aap ky baary main bohat sare batain pata chale is say :) bohat achii sooch hain aapki :rose
        mai bhe thory sy questions pochte hon :)


        1)Bachpan ka koi khilona jo aaj tak apky pas mohfoz ho?

        2)Apni koi se teen achi aur teen buri aadat batain??

        3)Behan bhayyon k saath bachpan kaisa guzra???

        4)Sab say mushkil kaam kia lagta hai aap ko??

        5)Dunya main sab sy acha rishta kon sa lgta hai??

        6)Aap ka qeemti asasa kia hai??

        7)App ko ghar ka khana ziada pasand hai ya bahar ka & hotling ka shauq hai kia aap ko??

        8)Aap ka pasandeeda libas kon sa hai?

        9)Aap ka pasandeeda phool aur khoshboo kon si hai??

        10)Aap nay ab tak ki zindagi say kia seekha??

        11)Aap k nazdeek khobsoorti ki tareef kia hai??

        12)Apnay aap ko teen alfaz main bayan karain??

        13)Farz karaion k aap k baal jharnay lagain aitnay ziada k aap anqareeb aap k ganjay honay ka imkan ho to aap ki karain gay??

        14)Zindagi main kis cheez ki kammi mahsoos hoti hai??

        15)Aik sawal jo koft ka ba'is banta hai??

        16)Jab depression hota hai to kiakartay hain??

        18)Burhapa kaisay guzarain gay??

        19)Koi khawab jo sach hoa ho??

        20)Aik weham jo aap ko pareshan karta ho??

        21)Agar aap ki jasoosi per kisi ko laga dia jay to aap ki shaksiat per pehla inkashaf kia ho ga??

        22)Doston ki kon si baat aap ka mood kharab kar daiti hai??

        23)Aadhi raat ko aankh khul jay to kia kartay hain??

        24)Wo rishta jis nay aap ko takleef di??

        25)Jab koi aap ki tareef karta hai to aap kasia mahsoos kartay hain??

        26)Aaina daikh kar kia khayal aata hai??

        27)Kabhi kise ko qatal kerny ka dil chaha?

        28)Agar koi aap say aap ki pasandeeda cheez mangay to kia karain gay aap??

        29)Apni cheez ky bary main kitny possessivehain aap?

        30)Aap fazoll kharch hain ya........?

        mery khayal main abhe itny kafi hain :eye:
        oh Wah Wah Wah Wah Lerki ithnay Sarey Sawala kamal kar diya aap nay tu abhi tu main nay khuch poocha hi nahin hai lekin aap kay sawal dekh kar tu main jhoom uthi hoon :thmbup:
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

          Originally posted by Masood
          :eek: :eek: Larki aap key paas aur koi kaam nahin tha - intey saaaary sawaal :hathora , koi baat nahin aap moderator hain aur main admin ley loon ga badley CHUN CHUN key :lol :lol
          chun chun kar nahi gin gin kar:hathora
          or abhi to main nay bhi bohat sary sawal karnay hain :eye: app to itnay say sawaloon main hi paryshan hoo gay :(

          Comment


          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

            Originally posted by innocent_maheen
            chun chun kar nahi gin gin kar:hathora
            or abhi to main nay bhi bohat sary sawal karnay hain :eye: app to itnay say sawaloon main hi paryshan hoo gay :(
            merey maula yeh mujh sey kya ghalti ho gaee hai jo aisi saza dey rahey hain :tauba
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

              Originally posted by Masood
              :eek: :eek: Larki aap key paas aur koi kaam nahin tha - intey saaaary sawaal :hathora , koi baat nahin aap moderator hain aur main admin ley loon ga badley CHUN CHUN key :lol :lol
              Aik to mai ny aap ka khayal ker ky itny kam pochy hain..abhe to mujhy aur bhe pochna thay :embarasse
              haan lay lijy ga :p pehly in ky jawaaab to dain na taky mai aur sawal poch sakon :kood:

              Comment


              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                Originally posted by Saima Shaheen
                Haan abhi itne kafi hain :lol
                :D: baki baad main pocho ge na

                Comment


                • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                  Originally posted by ~khawahish~
                  oh Wah Wah Wah Wah Lerki ithnay Sarey Sawala kamal kar diya aap nay tu abhi tu main nay khuch poocha hi nahin hai lekin aap kay sawal dekh kar tu main jhoom uthi hoon :thmbup:
                  Thankx Khawahish :)
                  abhe agay agay dekhyay kia ho hota hai :wink
                  aap bhe pochyay naa ..aisy moqr bar bar thore na milty hain :D

                  Comment


                  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                    Originally posted by Masood
                    merey maula yeh mujh sey kya ghalti ho gaee hai jo aisi saza dey rahey hain :tauba
                    Yay saza ha kiyaa :p:tang:

                    Comment


                    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                      AOA,


                      Dair se ane pe bohat mahzarat khawa hoon hazrat aap nain jo apne bare main bataya aap ki har baat apne andar aik tareekh rakhti hai .aap nain kaha k darame nain daikhte filmain nain daikhte kia bachpan main daikhte the aap?aur aap nain zindagi ka koi ahsa lamha nain bataya k aap ko dili khushi mili ho ya ahsa lamha k aap ki hairat ki koi intaha na rahyi ho?aur kia aap apni zindagi se motmahin hai ?aap nain kia khoya kia paya?issi pe iktafada karta hoon sawal to bohat hain lakin aap sab muje marain na kahain:D


                      Sohail Abbasi.
                      Apna haq ada karo.

                      Comment


                      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                        1)Bachpan ka koi khilona jo aaj tak apky pas mohfoz ho?

                        Dil :) . Aisa khilona hai jo hamesha saath raha, hamesha toota, hamesha iskey tootney per aansu bahaey, magar phir hamesha khud bakhud jurrta raha. Khud bhi khaila iskey saath aur doosrey bhi khailtey rahey :)

                        2)Apni koi se teen achi aur teen buri aadat batain??



                        Teen Achhi
                        • Honesty
                        • Insaan ki Qadar karna/Khaloos
                        • Kam-goi (samney kisi key main bohat kam bolta hoon, jis per bohat sey shikwey sunta hoon.
                        • Jald aetbaar kar lena
                        • Himmat honey aur ander sey kisi ki bohat pur-zor israar key bawajood abhi tak namaz na shuru kar pana
                        • Ghussa (although it lasts only couple of minuts)



                        3)Behan bhayyon k saath bachpan kaisa guzra???

                        :lol Achha bhi aur bura bhi - matlab yeh keh hanstey khailtey. Magar apni badi behan key saath koi janam janam ki chirh thi us sey bohat baar JANG huwa karti thi. Aik din badey bhai ney hamein khoob laraya :lol phir uskey baad sey kabhi nahin larrey :rose

                        4)Sab say mushkil kaam kia lagta hai aap ko??

                        Subha subha uthna :D. Mujhey subha subha uthna bohat bura lagta hai, magar jab uthna hota to uth hi jata hoon.

                        5)Dunya main sab sy acha rishta kon sa lgta hai??

                        Hmmmm dekhein iska jawab ziyada tar log "maan baap" ka kahein ge. Aur kyun nahin? Maan sey barh kar bada aur khoobsurat rishta koi nahin hota. Merey nazdeek equally khoobsurat aur muqaddas rishta "miyaan bivi" ka bhi hota hai, yeh woh haseen-tar rishta hota hai jissey khud Allah Tala ney insaan key liye muntakhib farmaya hai. Is rishtey mein agar bahmi understanding hai, aur yeh khushgwaar hai to issey pyara rishta bhi koi nahin.

                        6)Aap ka qeemti asasa kia hai??

                        Assasa hmmm Meri family aur meri shairi :)

                        7)App ko ghar ka khana ziada pasand hai ya bahar ka & hotling ka shauq hai kia aap ko??

                        Ghar ka - definatly! Lekin kabhi kabar hotling bhi karni chahiye is mein koi mazaiqa nahin. Aur khasoosan agar koi aisa din ho maslan, birthday, ya movie ka program ho to banda bahir khaa ley to koi bura nahin.

                        8)Aap ka pasandeeda libas kon sa hai?

                        Pant aur t-shirt

                        9)Aap ka pasandeeda phool aur khoshboo kon si hai??

                        Phool: Chambeli (jin sey gajrey bantey hain). Khushboo: Pyaasi mitti peh parney wali barish ki pehli pehli kirno sey uthney wali. (Waisey libas waghera key liye main ROMA use karta hoon)

                        10)Aap nay ab tak ki zindagi say kia seekha??

                        Keh "so baras ki zindagi mein aik pal, aaj tu kar ley koi achha amal, tujh ko duniya mein milley ga uska phal, aaj jo kuchh boey ga kaatey ga kal"

                        Yeh keh zindagi itni mushkil nahin jitna ham issey bnaa letey hain. Dukh aur khushiyaan aik si hain - siraf unhein talash karney ki zaroorat hoti hai :)


                        11)Aap k nazdeek khobsoorti ki tareef kia hai??

                        Khoobsurat dekhney wali aankh mein hoti hai. Yun merey nazdeek duniya mein koi cheez badsurat nahin hoti, bas kuchh ziyada khoobsurat hoti hain aur kuchh kam.

                        Khoobsurati ka ta'alluq ammoman zahir sey liya jata hai aur yeh bhi saheeh hai, zahir mein jo cheez aankhon ko achhi aur bhali mehsoos ho woh khoobsurat hoti hai. Magar isi ko sab kuchh samajh lena nadani hai. Asal khoobsurati woh khasoosiyat hoti hai jo insaan key aemaal sey wabasta hoti hai. Agar aemaal achhey hain to woh insaan khoobsurat-tareen hai.


                        12)Apnay aap ko teen alfaz main bayan karain??
                        Khaloos bhara khilona :)

                        13)Farz karaion k aap k baal jharnay lagain aitnay ziada k aap anqareeb aap k ganjay honay ka imkan ho to aap ki karain gay??

                        Hairclinic sey elaj karwaa loon ga :D ya wig zindah baad :D

                        14)Zindagi main kis cheez ki kammi mahsoos hoti hai??
                        Shikwa na kar gilla na kar. Alhamdo lillah Allah Tala ney zindagi mein milney wali har nemat sey nawaza hai. So no koi kami nahin :)

                        15)Aik sawal jo koft ka ba'is banta hai??
                        Yeh tumhein kya huwa hai?

                        16)Jab depression hota hai to kiakartay hain??
                        mujhey depression kam hoti hai. Main bohat dheet hoon. Bohat kuchh bardasht kar leta hoon. Sah jata hoon. Agar aisi koi baat ho bhi jaey to tanhaee ikhtiyaar kar leta hoon.

                        18)Burhapa kaisay guzarain gay??
                        Khaanstey Khaanstey :D :D
                        Allah sey dua hai keh budha honey sey pehley hi qabar mein mehfooz farma dein Ameen.

                        Waisey zindagi ki long term planning mein main ney yehi socha huwa hai keh agar main us umer mein pohanch geya jahan per mujhey pension ho gaee to woh dor pakistan mein guzaroon ga. Aur maroon to meri qabar usi sar-zameen mein ho.


                        19)Koi khawab jo sach hoa ho??

                        Haan aik khawab dekha tha, jiska baad mein maloom huwa tha keh bilkul wohi huwa. Bohat pehley ki baat hai.

                        20)Aik weham jo aap ko pareshan karta ho??

                        .... keh dost merey ehbaab mujh door na ho jaein. :)

                        21)Agar aap ki jasoosi per kisi ko laga dia jay to aap ki shaksiat per pehla inkashaf kia ho ga??

                        :) bandah to straightforward aur teekha hai magar hai be-zarar

                        22)Doston ki kon si baat aap ka mood kharab kar daiti hai??

                        Ignorance

                        23)Aadhi raat ko aankh khul jay to kia kartay hain??

                        ... computer on ker key Pegham per aa jata hoon aur replyaan marta hoon :D. Raat mein njaney kitni baar meri aankh khulti hai. Aik zara si aawaz meri aankh kholney ko kaafi hai.

                        24)Wo rishta jis nay aap ko takleef di??

                        Not going to tell that :).
                        Jo dard milla apnon sey milla ghairon sey shikayat kon karey
                        Jo zakhm milla phoolon sey milla, kaanton sey shikayat kon karey


                        25)Jab koi aap ki tareef karta hai to aap kasia mahsoos kartay hain??

                        :eek: bilkul aisa :eek:
                        seriously main bohat relax rehta hoon, koi tareef karey ya tazheek.


                        26)Aaina daikh kar kia khayal aata hai??

                        Allah teri shaan, aisey aisey log pedah kiyey hain

                        seriously to yeh sochta hoon keh Masood abhi waqt hai wapis aaja, raah-e-haq ko talash kar ley.
                        • 27)Kabhi kise ko qatal kerny ka dil chaha?

                          Haan, 2 insano ko qatal karney ka bohat dil kiya hai:
                        • aik Javed Iqbal, aik mujrim tha jis ney kuchh saal qabal masoom bachon ko aghwaa kar key un sey ziyadatiyaan karta aur unhein tezab mein phaink deta
                        • Denmark mein aik aisa insaan tha jo kam-sin 8-9-10 sal ki bachiyon sey ziyadati karta aur unhein qatal kardeta.


                        28)Agar koi aap say aap ki pasandeeda cheez mangay to kia karain gay aap??

                        Dey doon ga :) (is liye nahin kah raha keh achha lagoon, but that's my nature)

                        29)Apni cheez ky bary main kitny possessive hain?


                        Cheezon key barey mein kam magar apni kitabon aur insano key barey mein bohat hoon. Jo mera hai woh mera hai, woh kisi aur ka nahin ho sakta.

                        30)Aap fazoll kharch hain ya........?

                        Main ney hamesha apni aadat aisi rakhi hai keh jo cheez merey kaam ki hai, maslan kitab, dawa, computer to is per main kabhi qeemat ki parwa nahin karta. Jo achhi aur meyaari cheez hai leta hoon. Magar waisey main qatee fazool kharch nahin balkey apni zaat per yani kaprey, jootey, khana peena, ayyashi waghera in cheezo ka mujhey koi shoq nahin.


                        uffffff itnaaaa waqt laga hai larki mujhey aap key sawalon key jawab detey huwey - ab to mehoos ho raha hai keh sach mein merey sar key baal jharr rahey hain :lol :lol
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                          Originally posted by khan
                          kia bachpan main daikhte the aap?
                          Haan ji main ney bachpan mein bohat filmein dekhi thin video per aur tv bhi bohat dekha hai. Abhi bhi dekh leta hoon magar mostly dramas aur woh bhi achha ho to.

                          Originally posted by khan
                          aur aap nain zindagi ka koi ahsa lamha nain bataya k aap ko dili khushi mili ho ya ahsa lamha k aap ki hairat ki koi intaha na rahyi ho?
                          Khushiyaan aur gham to har insaan ki zindagi mein laggey rehtey hain. Balkey mera yaqin hai keh khushiyaan aur gham ki miqdaar aik jitni hai. Lekin kya hai keh khushi apney paaoun mein pankh lgaey aati hai, aati hai to urr jati hai. Jab keh dukh rait per chaltey musafir ki manind hotey hain jahan har dukh, rait mein dhansta huwa paoun hota hai jissey mehnat sey nikala jata hai.

                          Meri zindagi bhi aisi hi hai. Bohat sey lamhaat they jab zehan bohat mutmaeen tha au rbohat sey aisey bi jahan aziiyyat mili.


                          Originally posted by khan
                          aur kia aap apni zindagi se motmahin hai ?
                          Jab insaan ki khawahishein aur tamanaein bharna shuru ho jati hain to ussey mayoosiyan bhi hoti hain aur mayoosi ho to zindagi mutmaeen nahin hoti. Main ney apni tamanaoun aur khawahishon ko zanjeer pehnana shuru kar diya hai. Aur isi liye ab itminaan feel hota hai.

                          Originally posted by khan
                          aap nain kia khoya kia paya?
                          Bohat kuchh kho kar main ney apna aap paya hai. Khud ko accept kiya hai aur haqeeqat ko accept kiya hai. Aur ab is muqaam per hoon keh bohat achhey achhey dost hain aur Pegham hai.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                            Originally posted by Masood
                            1)Bachpan ka koi khilona jo aaj tak apky pas mohfoz ho?

                            Dil :) . Aisa khilona hai jo hamesha saath raha, hamesha toota, hamesha iskey tootney per aansu bahaey, magar phir hamesha khud bakhud jurrta raha. Khud bhi khaila iskey saath aur doosrey bhi khailtey rahey :)

                            2)Apni koi se teen achi aur teen buri aadat batain??



                            Teen Achhi
                            • Honesty
                            • Insaan ki Qadar karna/Khaloos
                            • Kam-goi (samney kisi key main bohat kam bolta hoon, jis per bohat sey shikwey sunta hoon.
                            • Jald aetbaar kar lena
                            • Himmat honey aur ander sey kisi ki bohat pur-zor israar key bawajood abhi tak namaz na shuru kar pana
                            • Ghussa (although it lasts only couple of minuts)



                            3)Behan bhayyon k saath bachpan kaisa guzra???

                            :lol Achha bhi aur bura bhi - matlab yeh keh hanstey khailtey. Magar apni badi behan key saath koi janam janam ki chirh thi us sey bohat baar JANG huwa karti thi. Aik din badey bhai ney hamein khoob laraya :lol phir uskey baad sey kabhi nahin larrey :rose

                            4)Sab say mushkil kaam kia lagta hai aap ko??

                            Subha subha uthna :D. Mujhey subha subha uthna bohat bura lagta hai, magar jab uthna hota to uth hi jata hoon.

                            5)Dunya main sab sy acha rishta kon sa lgta hai??

                            Hmmmm dekhein iska jawab ziyada tar log "maan baap" ka kahein ge. Aur kyun nahin? Maan sey barh kar bada aur khoobsurat rishta koi nahin hota. Merey nazdeek equally khoobsurat aur muqaddas rishta "miyaan bivi" ka bhi hota hai, yeh woh haseen-tar rishta hota hai jissey khud Allah Tala ney insaan key liye muntakhib farmaya hai. Is rishtey mein agar bahmi understanding hai, aur yeh khushgwaar hai to issey pyara rishta bhi koi nahin.

                            6)Aap ka qeemti asasa kia hai??

                            Assasa hmmm Meri family aur meri shairi :)

                            7)App ko ghar ka khana ziada pasand hai ya bahar ka & hotling ka shauq hai kia aap ko??

                            Ghar ka - definatly! Lekin kabhi kabar hotling bhi karni chahiye is mein koi mazaiqa nahin. Aur khasoosan agar koi aisa din ho maslan, birthday, ya movie ka program ho to banda bahir khaa ley to koi bura nahin.

                            8)Aap ka pasandeeda libas kon sa hai?

                            Pant aur t-shirt

                            9)Aap ka pasandeeda phool aur khoshboo kon si hai??

                            Phool: Chambeli (jin sey gajrey bantey hain). Khushboo: Pyaasi mitti peh parney wali barish ki pehli pehli kirno sey uthney wali. (Waisey libas waghera key liye main ROMA use karta hoon)

                            10)Aap nay ab tak ki zindagi say kia seekha??

                            Keh "so baras ki zindagi mein aik pal, aaj tu kar ley koi achha amal, tujh ko duniya mein milley ga uska phal, aaj jo kuchh boey ga kaatey ga kal"

                            Yeh keh zindagi itni mushkil nahin jitna ham issey bnaa letey hain. Dukh aur khushiyaan aik si hain - siraf unhein talash karney ki zaroorat hoti hai :)


                            11)Aap k nazdeek khobsoorti ki tareef kia hai??

                            Khoobsurat dekhney wali aankh mein hoti hai. Yun merey nazdeek duniya mein koi cheez badsurat nahin hoti, bas kuchh ziyada khoobsurat hoti hain aur kuchh kam.

                            Khoobsurati ka ta'alluq ammoman zahir sey liya jata hai aur yeh bhi saheeh hai, zahir mein jo cheez aankhon ko achhi aur bhali mehsoos ho woh khoobsurat hoti hai. Magar isi ko sab kuchh samajh lena nadani hai. Asal khoobsurati woh khasoosiyat hoti hai jo insaan key aemaal sey wabasta hoti hai. Agar aemaal achhey hain to woh insaan khoobsurat-tareen hai.


                            12)Apnay aap ko teen alfaz main bayan karain??
                            Khaloos bhara khilona :)

                            13)Farz karaion k aap k baal jharnay lagain aitnay ziada k aap anqareeb aap k ganjay honay ka imkan ho to aap ki karain gay??

                            Hairclinic sey elaj karwaa loon ga :D ya wig zindah baad :D

                            14)Zindagi main kis cheez ki kammi mahsoos hoti hai??
                            Shikwa na kar gilla na kar. Alhamdo lillah Allah Tala ney zindagi mein milney wali har nemat sey nawaza hai. So no koi kami nahin :)

                            15)Aik sawal jo koft ka ba'is banta hai??
                            Yeh tumhein kya huwa hai?

                            16)Jab depression hota hai to kiakartay hain??
                            mujhey depression kam hoti hai. Main bohat dheet hoon. Bohat kuchh bardasht kar leta hoon. Sah jata hoon. Agar aisi koi baat ho bhi jaey to tanhaee ikhtiyaar kar leta hoon.

                            18)Burhapa kaisay guzarain gay??
                            Khaanstey Khaanstey :D :D
                            Allah sey dua hai keh budha honey sey pehley hi qabar mein mehfooz farma dein Ameen.

                            Waisey zindagi ki long term planning mein main ney yehi socha huwa hai keh agar main us umer mein pohanch geya jahan per mujhey pension ho gaee to woh dor pakistan mein guzaroon ga. Aur maroon to meri qabar usi sar-zameen mein ho.


                            19)Koi khawab jo sach hoa ho??

                            Haan aik khawab dekha tha, jiska baad mein maloom huwa tha keh bilkul wohi huwa. Bohat pehley ki baat hai.

                            20)Aik weham jo aap ko pareshan karta ho??

                            .... keh dost merey ehbaab mujh door na ho jaein. :)

                            21)Agar aap ki jasoosi per kisi ko laga dia jay to aap ki shaksiat per pehla inkashaf kia ho ga??

                            :) bandah to straightforward aur teekha hai magar hai be-zarar

                            22)Doston ki kon si baat aap ka mood kharab kar daiti hai??

                            Ignorance

                            23)Aadhi raat ko aankh khul jay to kia kartay hain??

                            ... computer on ker key Pegham per aa jata hoon aur replyaan marta hoon :D. Raat mein njaney kitni baar meri aankh khulti hai. Aik zara si aawaz meri aankh kholney ko kaafi hai.

                            24)Wo rishta jis nay aap ko takleef di??

                            Not going to tell that :).
                            Jo dard milla apnon sey milla ghairon sey shikayat kon karey
                            Jo zakhm milla phoolon sey milla, kaanton sey shikayat kon karey


                            25)Jab koi aap ki tareef karta hai to aap kasia mahsoos kartay hain??

                            :eek: bilkul aisa :eek:
                            seriously main bohat relax rehta hoon, koi tareef karey ya tazheek.


                            26)Aaina daikh kar kia khayal aata hai??

                            Allah teri shaan, aisey aisey log pedah kiyey hain

                            seriously to yeh sochta hoon keh Masood abhi waqt hai wapis aaja, raah-e-haq ko talash kar ley.

                            • 27)Kabhi kise ko qatal kerny ka dil chaha?

                              Haan, 2 insano ko qatal karney ka bohat dil kiya hai:
                            • aik Javed Iqbal, aik mujrim tha jis ney kuchh saal qabal masoom bachon ko aghwaa kar key un sey ziyadatiyaan karta aur unhein tezab mein phaink deta
                            • Denmark mein aik aisa insaan tha jo kam-sin 8-9-10 sal ki bachiyon sey ziyadati karta aur unhein qatal kardeta.


                            28)Agar koi aap say aap ki pasandeeda cheez mangay to kia karain gay aap??

                            Dey doon ga :) (is liye nahin kah raha keh achha lagoon, but that's my nature)

                            29)Apni cheez ky bary main kitny possessive hain?


                            Cheezon key barey mein kam magar apni kitabon aur insano key barey mein bohat hoon. Jo mera hai woh mera hai, woh kisi aur ka nahin ho sakta.

                            30)Aap fazoll kharch hain ya........?

                            Main ney hamesha apni aadat aisi rakhi hai keh jo cheez merey kaam ki hai, maslan kitab, dawa, computer to is per main kabhi qeemat ki parwa nahin karta. Jo achhi aur meyaari cheez hai leta hoon. Magar waisey main qatee fazool kharch nahin balkey apni zaat per yani kaprey, jootey, khana peena, ayyashi waghera in cheezo ka mujhey koi shoq nahin.


                            uffffff itnaaaa waqt laga hai larki mujhey aap key sawalon key jawab detey huwey - ab to mehoos ho raha hai keh sach mein merey sar key baal jharr rahey hain :lol :lol
                            wah kiyaa jawaab diay hain aap nay..:clap:
                            zabardast :)

                            umm to kitny baal jharay :wink kitny baki hain :p

                            chalain tayyar ho jaiyay aur questions lay ker aate hon mai :):D:

                            Comment


                            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                              AOA,


                              Hazrat aap nain bohat umda tareke se in swaloon ke jawabat diye.aap ka ziyada waqt nain loon ga .sir ye batain k dosti k bare main aap ka kia khaiyaal hai aur iss kis sachayi kia hai?kia aap ki zindagi main kisi dost ka kirdar raha hai?aur sab se aihm baat k pardes gaiye aap ko arsa ho giya ho ga kab wapes ayain ge ayain ge k nain?aur muje koch swaal aur karne ki ijazat di jaye aur chahye ka koch kia jaye:)


                              Sohail Abbasi.
                              Apna haq ada karo.

                              Comment


                              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                                Himmat honey aur ander sey kisi ki bohat pur-zor israar key bawajood abhi tak namaz na shuru kar pana
                                kabhi zinadagi mey hum bohot udaas ho jatey hein itney ziada key hamarey paas alfaaz bhi nahi hotey apney dukh ko kisi ko sunnaaney key liye ....tab hamein zaroorat perhti hai aik aeysey dost ki jo baghair kuch kahey sab kuch sun ley aur khud ba khud sab kuch jan ley...
                                agar aap key sath kabhi is tarhan ho to aap tab kya kertey hein?
                                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                                Comment

                                Working...
                                X