Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

    buri bat hay masood bhai badla nahi lyty :pdarguzar say kam laty hain :wk hain na:zuban:

    Comment

    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

      Allah

      Comment

      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

        Asalam alaikum,
        Is interview ka akhri sawal

        Ye Poorey do haftey aap key kaisey guzrey (interview key hawaley sey) aur In poorey do hafton baad aap kaisa mehsoos ker rahey hein?
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

          hmm Gul achay Sawal kiyeah tum nay par aik do main bhi karna chaho'n gi Masood say

          Masood Kaun sa aisa sawal jis ko denay main Muskil paish ayi ?

          Kaun sa aisa Sawal jo aap chah rahay thay koi na poochay ?

          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment

          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

            Originally posted by YAARAM
            adnan yeh to aik qudrati si baat hai keh aap kisi sey rabta rakhey huwey hon aur uskey barey mein sochtey hon. Merey yeh Pegham key chand aik dost hain jinkey barey mein sochta hoon. Aur woh sabhi achhey log hain. :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

              Originally posted by barg.e.gul
              Asalam alaikum,
              Is interview ka akhri sawal

              Ye Poorey do haftey aap key kaisey guzrey (interview key hawaley sey) aur In poorey do hafton baad aap kaisa mehsoos ker rahey hein?
              Yeh do haftey mushkil they. Khud ko yun explore karna ajeeb sa tha. I must say aap logon ney sawalaat ais professional andaaz mein kiye hain. Baaz oqaat to main bohat hi gehree soch mein raha hoon keh yahan kya jawaab doon. Kuchh doston key jawabaat ko is liye late karta raha hoon keh wahan per alfaaz ki adaeegi bohat ahmiyyat rakhti thi. I m feeling relaxed now keh ab koi sawaal nahin - balkey ab meri baari ho gi :devilsmil
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                Originally posted by ~khawahish
                Masood Kaun sa aisa sawal jis ko denay main Muskil paish ayi ?
                Forumadmin key sawalaat aap janti ho kaisey hotey hain. Magar unkey sawalaat ney mujhey aik ratti braber pareshan nahin kiya. Mujhey is sawal ney keh Dost mein au muhabbat mein kis ka intikhaab karoon ga. Yeh zara sakht tha.

                Originally posted by ~khawahish
                Kaun sa aisa Sawal jo aap chah rahay thay koi na poochay ?
                Dekhein dost aur yeh mera aagey key liye sab members ko mashwra hai, hamarey muashrey mein doosron ki private life mein tajasusu leney ki aadat hoti hai. Aisey personal sawalon sey ijtinaab karna chahiye aur woh bhi aik fourm per. Har koi har kisi baat ka jawab nahin dey sakta/deyna chahta. Agar koi jawab na dey to log apni toheen samajhtey hain. Aisi baat nahin hoti. Hamein khud ko doosron key personal matters jo achhey bhi hotey hain aur aziyyat nak bhi, unhein kuredna nahin chahiye. :)

                Khush rahiye :)
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                  thanxxxxxxxxx Masood ab aap bilkul free hian ab aap Moj mela khelein :p aur Forum Admin kay Sawal :lol hahhahah okha banda okhay hi sawal poochey ga na :p anywayz buhat acha laga aap ko jaan kar aap say ithniiiiiiiiiiiiii sari dair sari baatein kar kay yahaan :rose

                  buhat sara khush rahyeah :rose
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment

                  • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                    aik aik or sawal rehta hai masood
                    sab akhri akhri sawal poouch rehaye hain to main bhi poouch laiti houn :D
                    masood woh koon sa sawal hai jo app say is interview main nahi pooucha gia ?:p usay mera hi sawal samajh kay us ka shabash jaldi say jawab day doo :devilsmil
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                      Originally posted by Aanchal
                      aik aik or sawal rehta hai masood
                      sab akhri akhri sawal poouch rehaye hain to main bhi poouch laiti houn :D
                      masood woh koon sa sawal hai jo app say is interview main nahi pooucha gia ?:p usay mera hi sawal samajh kay us ka shabash jaldi say jawab day doo :devilsmil
                      :hathora ab yad aya hai poochna

                      Chalein Masood bro. aap is ka jawab dein phir inshAllah next interview start kertey hein :-)
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                        Aanchal aap ney sawaal mujh per chhora hai to main jawab mein aik pegham dena chahoon ga sab ko:

                        "Buzurgon ki qadar karein, yeh chhin jaein to bohat si aafaat nazal hona shuru ho jati hain. Apney aap ko pehchaneney ki koshish karein. Apney dil ko khaloos sey bhar lein, aur agar aap ko aik bhi khaloos karney wala insaan mil jaey to uski qadar karna seekhiye. Bikhrey huwey ko sametney ki koshish kijiye. Aur haan KHANA HAMESAH DAAEIN HAATH SEY KHAEIN"

                        Masood
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                          Originally posted by Masood

                          bohot dher sara shukriya aap ka,

                          Aap ka interview ley ker aur aap ko jaan ker waqai bohot khushi hui,

                          May Allah reward you always with good inshAllah
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                            hey massooodeeeee kya haal hai,,,,,,long time ago....uf is old man ko tum logoun ne sawaal pooch pooch ke iske baloun ko grey kar diya hai lozzz.........but anyways it was extreemly nice to read ur interwiev......and funny to.......

                            no doubt in that lozzzz....ab dekhte hai agli kis ki bari hai hehe

                            Comment

                            • Re: Is Haftey key Mehmaan--Masood--

                              Originally posted by SaPpHiRe
                              hey massooodeeeee kya haal hai,,,,,,long time ago....uf is old man ko tum logoun ne sawaal pooch pooch ke iske baloun ko grey kar diya hai lozzz.........but anyways it was extreemly nice to read ur interwiev......and funny to.......

                              no doubt in that lozzzz....ab dekhte hai agli kis ki bari hai hehe
                              Sapphireeeeee where have u been girl ?????? Bohat dino baad chakar lagaya hai. Lagta hai raastah bhool gaein thin aap.... ya phir denmark ki garmiyon ka mazzah leti rahi ho garmi bhi to khoob thi - samunder peh jaaney wali :wk :wk

                              ... aur haan dekh lo in logon ney sawaal poochh pooch kar mera kya hashar nashar bnaa diya hai - ab to badley leney ki koshish mein hoon :devilsmil
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              • Re: In The Spotlight ~*~ Masood ~*~

                                janab interview tu aap ka bahut dilchusp hai parhne mein bhi lutf aya ....kafi taweel interview thaa jabhi tu merey puchne ke liye kuch baqi hi nahin bacha....:)

                                Comment

                                Working...
                                X