Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shairoun ki Barsaat :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

    Dil

    Dil Ajab Gumbad K Jis Mein Aik Kabutar Bhi Nahi
    Itna Veeran Tu Murdaroon Ka Muqader Bhi Nahi

    Comment


    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

      Nahee

      Mohabbat say qeemti koe jageer nahe hote
      Mohabbat say khoobsurat koe tasver nahe hote
      Mohabbat yon to hai ek kacha dhaaga
      Mager is dhaagay say mozboot koe zanjer nahe hote

      Comment


      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

        Mohabbat

        Mohabbat K Sager Chalakne Lagay Hain
        Wo Dil Ban K Dil Mein Dharkne Lagay Hain

        Comment


        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

          Dil

          Dil ki aawaz ko izhaar kehty hain
          jhuki nigahon ko iqrar kehty hain
          sirf paany ka naam he ishq nahe
          kuch khoony ko bhe pyar kehty hain

          Comment


          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

            dIL
            Koi kissi ka haal-e-dil jaan nahin sekta
            Murdaa jism hi jaanta hai qabarr mein jane ke baad!

            Comment


            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

              Dil

              DiL Ka Ghum Dil he Jane Kia Kaho Me Kisi Se
              Me ne Ansho chpaye In Laboo Ke Hansi sE

              Comment


              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                Gham

                Yeh sooch kr k gham k khareedar aagyee
                hum khuwab beechney sar-e-bazaar aagyee

                Comment


                • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                  beechney

                  Tang Aa kar wafa beechnay nikaly thay faraz.
                  logon ne khaloos ka baho barha diye.

                  Comment


                  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                    Logon

                    Na janay dil say on kay kiya bad dua niklay
                    ojray hoay logon ko sataaya nahe kertay
                    Last edited by aik_lerki; 24 September 2007, 13:20.

                    Comment


                    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                      sataaya

                      iss tarah sataaya hai pareshan kiya hai
                      goya k muhabbat nahin ehsan kiya hai
                      Last edited by Gul; 24 September 2007, 20:19.

                      Comment


                      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                        Pareshaan

                        kuchh yaad sa parrta hai keh aik baar hansa tha
                        ab kab sey pareshan hoon kuchh kah nahin sakta
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                          Pareshan

                          mohabbat ka junooN baqi nahin hai
                          musalamaanoun mein Khoon baqi nahin hai

                          safein kaj, dil pareshan, sajdaa beZoak
                          k jazbaa-e-androon baqi nahin hai

                          Comment


                          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                            hum dhoond rahay hain wohi khoay huwey lumhay
                            yaadon ke deeay aaj bhi palkon pe jalay
                            Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
                            Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

                            Comment


                            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                              Originally posted by Daood View Post
                              hum dhoond rahay hain wohi khoay huwey lumhay
                              yaadon ke deeay aaj bhi palkon pe jalay


                              Thread k rules follow kijay

                              Comment


                              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                                Originally posted by Gul View Post
                                Pareshan

                                mohabbat ka junooN baqi nahin hai
                                musalamaanoun mein Khoon baqi nahin hai

                                safein kaj, dil pareshan, sajdaa beZoak
                                k jazbaa-e-androon baqi nahin hai
                                Sajda

                                Main jo sar'ba'sajdah huwa kabhi to zameen sey aaney lagi yeh sada
                                tera dil to sanam aashna hai, tujhey kya miley ga namaaz mein
                                Last edited by Masood; 26 September 2007, 10:21.
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X