Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shairoun ki Barsaat :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

    Ye Ishq nahi aasaan bus itna samajh lijye
    Ek aag ka darya hai or doob k jana hai :khi:

    Comment


    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

      Keh raha hai darya se samandar ka sakoot
      Jiss ka jitna zarf hai otna wo khamosh hai

      Comment


      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

        Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay ...
        Bikher gaye hain tera intazar kertay huay...
        Wo keh rahi thi samander nahin hain aankhain hain...
        Main un main doob gaya aitabaar kertay huay''

        Comment


        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

          Sahar howi tu sityaroun nay moond lee aankhein
          wo kia karein keh jinehin intezar karna thaa

          Comment


          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

            Aadatan tum ney ker diyey vaadey......
            .Aadatan ham ne aitabaar kiyaa.....
            Terii Raahoon mein BaarHaa ruk ker ........
            Ham ne apana hee intazaar kiya"

            Comment


            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

              Waday k etebaar mein taskeen-e dil tu hai
              laikn wahi freb na kahein tu kia karein

              Comment


              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
                har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
                ye soch ke ki koi mananay nahi aayega,
                ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi

                Comment


                • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                  wada khilafi apni tu aadat nahi sahfeeq
                  par kia kahoon k jhoot ki aadat se par gai

                  Comment


                  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                    "Jhoot"

                    Us k sub jhoot bhi such hai Mohsin
                    Shart itni woh boley tu sahii

                    Comment


                    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                      Mohsin

                      Dil mein utraa tha jo kabhi Mohsin
                      woh sitara tha aasman sey alag
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                        Dil
                        Kasi ko dil detay waqat
                        Bohat soocha nahi kertay
                        Jo pehlay say he tanha ho
                        Usay tanha nahi kertay

                        Comment


                        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                          Tanha

                          Tanha tanha mat socha kar
                          mar jaey ga ga mat socha kar
                          pyar gharri bhar ka hi bohat hai
                          sacha jhoota mat socha kar
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                            Mar

                            Aabhi fursat nahi marney ki mujh ko
                            Abhi sehney ko kitney ranj-o-ghum hian
                            Rakhoo kandhey per sir main kis k jaker
                            Sabhii tu mehw-e-azar o sitam hian

                            Comment


                            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                              Ranj-o-gham

                              zindagi ki rahon mein ranj-o-gham key meley hain
                              bheerr hai qayamat ki phir bhi ham akeley hain
                              sazishein zamaney ki kaam kar gaii aakhir
                              aap hain udher tanha ham idher akeley hain
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                                gham

                                Di na mohlat humain hassti ney wafa ki wrna
                                or kuch din gham-e-hasti sey nibhaye jatey!
                                Last edited by aquari; 27 July 2007, 12:08.

                                Comment

                                Working...
                                X