Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shairoun ki Barsaat :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

    mai paa saki na is khalish say chutkara ab tak
    Wo mujh say jeet bhi sakta tha jany hara kion

    Comment


    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

      Khalish

      ik khalish ko haasil-e-umr-e-rawaan rehney diya
      jaan ker ham ney unhein be'khaanmaan rehney diya
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

        Aaaj socha kay tera daman sitaron say bhar doo
        Apni hayaat saari teri nazar ker doo
        Koi jo mujh sy pochay meri
        umer bhar ki kamai
        Mai muskurao aur tumhain saamnay ker do

        Comment


        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

          hayaat

          Laii hayaat aaey qaza ley chali chaley
          na apni khushi aaey na apni khushi chaley
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

            Ooos ki in boondon aur mery aanso'on main
            farq mai nay bas itna hi paaya hai
            In boondo ma chalakti hai khushi
            Aur mery aanso'on ma tera saya hai

            Comment


            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

              Khushi - Khusiyaan

              khushiyaan hamari sar-e-daar tak gaein
              ruswaiyaan bhi koocha-e-bazaar tak gaein
              tanhaiyon ney faasley sarey mita diyey
              parchhaiyaan meri teri deewar tak gaein
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                Kise ko mohabbat ki sachai maar dalay gi
                Kise ko mohabbat ki gahraai mar dalay gi
                Kar kay mohabbat koi nahi bachy ga
                Jo bach gaya osay
                tanhai mar dalay gi

                Comment


                • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                  Muhabbat

                  muhabbat soz bhi hai saaz bhi hai
                  khamoshi bhi hai aawaz bhi hai
                  nasheman key liyey betaab ta'air
                  wahan pabandi-e-parwaz bhi hai
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                    Tum Jo Chaho To Mujhe Chorr K Bhi Ja Saktay Ho -
                    Mera Kya Hai, Maine To Muhabbat Ki Hai..!!
                    Last edited by Mahvish Waqas; 22 June 2011, 15:57.


                    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                    Comment


                    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                      Hum kuch is tarah piroay ga'ay khayalo mai
                      wo hum ko choor dain hum choor ker nahi jaty

                      Comment


                      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                        خیال کو کسی آہٹ کی آس رہتی ہے
                        نگاہ کو تیری صورت کی پیاس رہتی ہے
                        تیرے بغیر کسی چیز کی کمی تو نہیں لیکن
                        تیرے بغیر یہ طبیعت اداس رہتی ہے





                        Comment


                        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                          Aaas

                          Ab aaas toout gai os kay lout aany ki faraaz
                          lagta hai vo jeena seekh giya mery binaa

                          Comment


                          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                            Lagta

                            Lagta nahin hai jii mera ujrrey diyaar mein
                            kis ki bani hai aalam-e-na'paidaar mein
                            umre draaz maang key laaey they chaar din
                            do aarzu mein kat gaey do intizaar mein
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                              jii

                              Manzilain bhi oski thin raasta bha oska tha
                              Aik ma akaile thi qaafla bhi os ka thaa
                              Saath saath chalnay ki sooch bhi oski thi
                              Phir raasta badalnay ka faisla bhi oska tha
                              Aaaj mai aikaili hon
                              Jee sawal kerta hai
                              Loog to os k thay kiya Khuda bhi oska tha

                              Comment


                              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                                Raasta

                                Hum per yeh sakhti ki nazar, hum hain faqeer-e-rehguzar
                                RAASTA kabhi rouka tera, Daaman kabhi thaama tera
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X