Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shairoun ki Barsaat :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

    Terey
    Attached Files

    Comment


    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

      Mere

      Mere wajood ko jalthal banake aage barhe
      jo meri aankh tak aaye sambhal gaye badal.

      Comment


      • Re: Shairoun ki Barsaat :)



        koocha-e-yaar mein jaaney ki kabhi Khoo na ga`i
        Thokarein kha ke bhi sambhaley na sambhalney waley


        Comment


        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

          KABHI

          Kabhi aah lab pay machal gayi kabhi ashk ankh say Dhal gayay
          Wo tumharay Gam kay chirag hain kabhi bujh gayay kabhi jal gayay
          sigpic

          Comment


          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

            shab-e-intazar kii kash-makash na puuchh kaise sehar huii
            kabhi ek chiraGh jala diya kabhi ik chiraGh bujha diyaa

            Comment


            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

              wah bohat hi khoob

              Fazool Taiz Hawaaoon Ko Dosh Daita Hay
              Usay Chiragh Jalaanay Ka Hosla Kam Hay
              sigpic

              Comment


              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                log Toot jaate hain ek ghar ke bananey mein
                tum taras nahin khaate bastiyaaN jalaaney mein



                Comment


                • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                  AAG nay apna kaam kia, saari basti ko weeran kia
                  Apnay ashkoon ki barish say yeh aag bujha na payo gay
                  Iss barbaadi ka ilzaam theraayoo kay kiss ko
                  In ahoon ko jazbaton ko sar-e-manzar la na payo gay!!


                  PS: Kuch shair zehan main nahi aaraha tha tou khudh hi toota phoota bana liye, ghalti ki paishgi maazrat!
                  Last edited by thefire1; 28 October 2009, 05:24.
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                    Originally posted by thefire1 View Post
                    AAG nay apna kaam kia, saari basti ko weeran kia
                    Apnay ashkoon ki barish say yeh aag bujha na payo gay
                    Iss barbaadi ka ilzaam theraayoo kay kiss ko
                    In ahoon ko jazbaton ko sar-e-manzar la na payo gay!!


                    PS: Kuch shair zehan main nahi aaraha tha tou khudh hi toota phoota bana liye, ghalti ki paishgi maazrat!

                    KEEP IT UP :thmbup:

                    Comment


                    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                      ye ab khula hai ki koi bhi manzar meraa na tha
                      main jis mein rah rahaa thaa wahi ghar mera na tha

                      main jis ko ek umr sambhaley phira kiya
                      miTTi bata rahi wo paikar meraa na tha

                      Comment


                      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                        kia baat hay janab, bohat khoob...

                        Apnay Ehsaas Ko Lafzoon Ki Qaba Kiyon Nahin Daitay
                        Uss Ko Chaha Hay Tou Phir Ussko bata Kiyon Nahin Daitay
                        Jab Say Toouta Hay Mera Rabt Meri Sansoon Say
                        Meray Hi Ghar Main, Mujhay Log Jagah Kiyon Nahin Daitay
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Shairoun ki Barsaat :)



                          کچھہ راہ عشق کی مستی تھی، کچھہ لوگ تھے ہم دیوانے سے
                          جب شہر تیرا چھوڑ دیا دل خوب لگا ویرانے سے
                          جو جان سے بھی پیارے تھے وہ لوگ نظر سے دور ہوئے
                          ایک ٹھیس سی دل میں اٹھتی ہے اب یادوں کو دہرانے سے

                          Comment


                          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                            Kiya baat hay Gul jee, bohat khoob, mehfil hi loout lee aap nay :)

                            @Topic...mera shaair haazir-e-khidmat hay....!

                            Raah-e-talab mainn kaun kisi ka apanay bhi beganay hain
                            Chand say mukhaRay rashk-e-Gazlan sab janay pehchanay hain
                            Uff ye talash-e-husn-o-haqiqat kis ja Thahrain, jayain kahan
                            Sehan-e-chaman main phool khilay hain sehra main Devanay hain
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                              dil akela hai bohat lalaa-e-sahraah ki tarah
                              tum ne bhii chhoR diya hai mujhey duniya ki tarah

                              Comment


                              • Re: Shairoun ki Barsaat :)


                                Koi yeh kaisay batayay kay woh tanha Kiyon Hay
                                Woh jo apna tha, wohi aur kisi ka kiyon hay
                                Yehi DUNYA hay tou Phir aisi yeh DUNYA kiyon Hay
                                Yehi Hota Hay Tou Aakhir Yehi Hota Kiyon Hay


                                Praying for your speedy recovery, ALLAH SWT aap jald hi beemari say nijaata ata farmayay AMEEN
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X