Re: Balochistan Sharab Shairy
jaane kis tarah khushi miltee hai paimaane se
ham to gham aour bhee le aaye hain maiykhaane se
raat ham to piye huai the magar
aapkee aankh bhee sharaabi thee
fir hamaare kharaab hone mein
ap hi kahiye kyaa kharaabi thee
bik gaye jab tere lab,fir tumko kyaa shikvaa
zindgaanee baadaa-o-saagar se bahlaayi gayee
ai gham-e-duniyaa tujhe kyaa ilm,tere vaaste
kin bahaano.n sw abiyat raah par laayee gayee
maiy kee mastee to utar jaatee hai thodee der mein
zindgee bhar kaa nashaa aankhon ke paimaane mein hai
maiy chhootee na maiykadaa chhootaa
jab bhee gujare udhar se gujare hain
thokarein khaaee hain vaheen 'taskeen'
ham sanbhal kar jidhar se gujare hain
pattharon se sar takraane ke baad
hamne pee lee fir qasam khaane ke baad
jisko kahata hai zamaanaa maiykadaa
ek bastee see hai veeraane ke baad
jab gham-e-ishq sataataa hai to hans letaa hoon
haadisaa yaad jab aataa hai,to pee letaa hoon
meree ujarhee huee duniyaa mein muhabbat ka chiraag
jab koee aake bujhaataa hai,to pee letaa hoon
maikash hoon vo ki poochhataa hoon uthke hashr mein
kyon jee sharaab kee hain dukaane.n yahaan kaheen
hashr tak jee mein hai,behosh rahoon saaqee
kaash! maiy bhar de mere umr ke paimaane mein
dil shikastaa hai,nikal aate hain aksar aansoo
maiy tapak parhtee hai,toote huai paimaane se
saaqiyaa tashngee kee taab nahin
zahar de de agar sharaab nahin

Comment