Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Balochistan Collections.

    whaa ! bro buht acha collection hai app kaa ... keep it up
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • Re: Balochistan Collections.

      Originally posted by Wafa View Post
      very nice collection balochistan.........:eye:
      THAKS...
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: Balochistan Collections.

        Originally posted by <<Muqadas>> View Post
        aray wahhhhhh baba blochistani v nice collection
        THANKS...
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • Re: Balochistan Collections.

          Originally posted by Hala View Post
          whaa ! bro buht acha collection hai app kaa ... keep it up

          THANKS SIS...
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

            Aslamoleklum
            Attached Files
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Re: Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

              bauhat zabrdast poem hai...
              waaqai muhabbat maar deti hai....
              Last edited by ummid; 14 November 2006, 11:35.

              Comment


              • Re: Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

                thanks so much...
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

                  Originally posted by Balochistan View Post
                  Aslamoleklum
                  WOW ! buhat khoob
                  magar Mujhay kuch ikhtelaf hay
                  Muhabat tu ammar kar dayti hay ...aap kia kehtay hein...agar wo waqee PURE LOVE hay tu:eye:

                  Comment


                  • Re: Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

                    Originally posted by Balochistan View Post
                    Aslamoleklum
                    bohat zaberdast sharing hai.kis ka kalam hai yeh.shukria.
                    chain kadi na paya mein apna ap gawaya .des parai dunya wich sada dada dil ghbaraya.

                    Comment


                    • Re: Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

                      v niceee

                      Comment


                      • Re: Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

                        Originally posted by ummid View Post
                        bauhat zabrdast poem hai...
                        waaqai muhabbat maar deti hai....
                        chanda mohabbat nahin maartee , maartay to wo log hain jo mohabbat ko jaan nahin paatay, samajh nahin paatay , aur mitana chahtay hain ......:)
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Ajeeb Modh Per aker Ruk Ghai Zindagi.

                          wow...bohot he zabardast sharing......:thmbup:
                          sigpic


                          Comment


                          • Balochistan Sharab Shairy

                            Aslamolekum..


                            merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
                            jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye


                            merii tabaahii kaa ilzaam ab sharaab pe hai
                            mai.n aur karataa bhii kyaa tum pe aa rahii thii baat


                            Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
                            nashaa ba.Dhataa hai sharaabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n


                            rah ga_ii jaam me.n anga.Daa_iyaa.N leke sharaab
                            ham se maa.Ngii na ga_ii un se pilaa_ii na ga_ii


                            ruuh kis mast kii pyaasii ga_ii maiKhaane se
                            mai u.Dii jaatii hai saaqii tere paimaane se


                            garche ahal-e-sharaab hai.n ham log
                            ye na samajho Kharaab hai.n ham log
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: Balochistan Sharab Shairy

                              lijiye zafar sahab chand ashaar maykashee par hamaaree tarafr se.....

                              irshaad ho to main ise aankhon pe fer loon
                              bheegaa huaa hai aapkaa daaman sharaab men

                              yah damaktaa huaa chehraa,ye nasheeleee aankhen
                              chaandanee raat men maykhaanaa khulaa ho jaise

                              pee-pee ke saaraa jism hi ab jaam ho gayaa
                              dafnaanaa meree laash bhi sharaabkhaane men

                              maine taubaa kaa iraadaa hi kiyaa thaa lekin
                              teree tasveer ubharne lagee paimaane men

                              bhalaa taubaa ka maykhaane men kyaa zikr
                              jo hai bhi to kaheen tootee parhee hai

                              har haal men sharaab ka peenaa gunaah hai
                              aankhon se koee pilaaye to kyaa karoon

                              peetaa hoon tasvvoor men unke labe-naazuk se
                              aagosh men saaqee hai,lab tak meraa paimaanaa

                              taubaa to kar chukaa thaa magar iskaa kyaa ilaaj
                              vaaiz ki zid ne fir mujhe majboor kar diyaa

                              maykade men mujhe mahsoos huaa hai aqsar
                              ye wo duniya hai jahaan gham ki koee raat nahin

                              meraa yahee khayaal go maine pee nahin
                              koee hansee.n pilaaye to ye shay buree nahin

                              ye dil ki mastee hai jo rang laatee hai
                              nashaa sharaab men hotaa to naachatee botal

                              saaqee jo aankh se pilaanaa shuroo kare
                              thokar lagaa doon jaam men rakkhee sharaab ko
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: Balochistan Sharab Shairy

                                shekh saahab muqaabilaa kaisaa
                                hamsari kyaa sharaabnoshon se
                                ek asmat-farosh behatar hai
                                aap jaise khudaa-faroshon se


                                fir haafiz-o-ghalib ko javaani de doon
                                khayyaam ko fir qaalib-e-saanee de doon
                                ek pal ke liye jo main khudaa ho jaaoon
                                duniyaa ko bas aangoor kaa paanee de doon

                                botal khulee jo hazarate-zaahid ke vaaste
                                maare khushee ke kaag bhee do gaz oochal gayaa

                                jab maiykadaa chhootaa to fir ab kyaa jagah kee qaid
                                maszid ho,madrasaa ho,koee khanqaah ho

                                huaa jo khaaq badan,saagar-e-sharaab banaa
                                hazaar shukr ke zarre se aafataab banaa

                                rindaan-e-beriyaa kee hai sohabat jise naseeb
                                zaahid bhee ham mein baithke insaan ho gayee

                                nazar milaake nazar se jo de diyaa saaqee
                                iss ek jaam pe kurbaan laakh maiykhaane

                                maiy bhee hai,meenaa bhee hai, saaghar bhee hai,saaqee nahin
                                jee mein aataa hai laga dein aag maiykhaane ko ham

                                angoor mein yahee thein paanee kee chaar boond
                                par jab khinch gayee hai,talvaar ho gayee hai

                                haath se kisne saagar patkaa maosam kee be-kaifee par
                                itnaa barsaa toot ke baadal doob chalaa maiykhaanaa bhee

                                maseehaa banke beemaaron ko kis par chhorhe jaate ho
                                tasllee bhee diye jaate ho dil ko bhee torhe jaate ho
                                sharaab-e-shauq peene ko pyaalaa nahin rakkhaa
                                faqat ek dam kaa saagar hai,usse bhee torhe jaate ho
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X