Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Balochistan Sharab Shairy

    jaane kis tarah khushi miltee hai paimaane se
    ham to gham aour bhee le aaye hain maiykhaane se

    raat ham to piye huai the magar
    aapkee aankh bhee sharaabi thee
    fir hamaare kharaab hone mein
    ap hi kahiye kyaa kharaabi thee

    bik gaye jab tere lab,fir tumko kyaa shikvaa
    zindgaanee baadaa-o-saagar se bahlaayi gayee
    ai gham-e-duniyaa tujhe kyaa ilm,tere vaaste
    kin bahaano.n sw abiyat raah par laayee gayee

    maiy kee mastee to utar jaatee hai thodee der mein
    zindgee bhar kaa nashaa aankhon ke paimaane mein hai

    maiy chhootee na maiykadaa chhootaa
    jab bhee gujare udhar se gujare hain
    thokarein khaaee hain vaheen 'taskeen'
    ham sanbhal kar jidhar se gujare hain

    pattharon se sar takraane ke baad
    hamne pee lee fir qasam khaane ke baad
    jisko kahata hai zamaanaa maiykadaa
    ek bastee see hai veeraane ke baad

    jab gham-e-ishq sataataa hai to hans letaa hoon
    haadisaa yaad jab aataa hai,to pee letaa hoon
    meree ujarhee huee duniyaa mein muhabbat ka chiraag
    jab koee aake bujhaataa hai,to pee letaa hoon

    maikash hoon vo ki poochhataa hoon uthke hashr mein
    kyon jee sharaab kee hain dukaane.n yahaan kaheen

    hashr tak jee mein hai,behosh rahoon saaqee
    kaash! maiy bhar de mere umr ke paimaane mein

    dil shikastaa hai,nikal aate hain aksar aansoo
    maiy tapak parhtee hai,toote huai paimaane se

    saaqiyaa tashngee kee taab nahin
    zahar de de agar sharaab nahin
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: Balochistan Sharab Shairy

      [B]mai.n nazar se pii rahaa huu.N, ye samaa badal na jaae
      na jhukaao tum nigaahe.n, kahii.n raat Dhal na jaae

      mere ashk bhii hai.n is me.n, ye sharaab ubal na jaae
      meraa jaam chhuunevaale, teraa haath jal na jaae

      abhii raat kuchh hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii
      teraa ri.nd girte girte, kahii.n phir sambhal na jaaaye

      merii zi.ndagii ke maalik, mere dil pe haath rakh_naa
      tere aane kii Khushii mei.n, meraa dam nikal na jaae

      mujhe phuu.Nk_ne se pahle, meraa dil nikaal lenaa
      ye kisii kii hai amaanat, kahii.n saath jal na jaae
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: Balochistan Sharab Shairy

        saqee mujhe sharaab kee tohmat nahin pasand
        mujhko teree nigah kaa iljaam chaahiye

        saaqee tere maiykhane mein jab ham nahin honge
        tab toote huai paimaane hamen yaad kareinge

        ye maiy chhalke bhee uss husn ko pahunch na saki
        ye phool khilke bhee teraa shabaab ho na sakaa

        main aur bazm-e-maiy se youn tashnaakaam aaoon
        gar maine kee thee taubaa saqee ko kyaa huaa thaa

        ek vo maiy jo aankhon se pilaade tumne
        madahosh kiye detee hain,ye aapkee ankhiyan

        saaqee ne bhar ke diye, diye sabko bazm mein
        saaghar jo hamne maangaa to sheeshaa dikhaa diyaa
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • Re: Balochistan Sharab Shairy

          main haadason se jaam larhaataa chalaa gaya
          hanstaa-hansaataa, peetaa-pilaataa chalaa gaaa
          vo raftaa-raftaa jaam pilaate chale gaye
          main raftaa-raftaa hosh mein aataa chalaa gaya

          ik sabr hai jiske sivaa kuchh paas nahin hai
          barbaad tamannaaon ka ehasaas nahin hai
          kam jarf nahin hoon jo main maange ke peeloon
          aour ye bhee nahin hai ke mujhe pyaas nahin hai

          maan mausam kaa kahaa, chhaayee ghataa, jaam uthaa
          aag se aag bujhaa, phuool khilaa, jaam uthaa

          nazar nazar se milaakar sharaab peete hain
          ham unako paas bithaakar sharaab peete hai

          isee liye to andheraa hai maikade mein bahut
          yahaan gharon ko jalaakar sharaab peete hain

          hamen tumhaare sivaa kuchh nazar naheen aataa
          tumhein nazar mein sajaakar sharaab peete hain

          oonheen ke hisse mein aatee hai pyaas hee aksar
          jo doosaron ko pilaakar sharaab peete hain
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • Re: Balochistan Sharab Shairy

            naqaab kahateehai 'main parday-e-qayaamat hoon'
            agar yaqeen na ho dekh lo uthaake mujhe
            main dar rahaa hoon tumhaaree nasheeli aankhon se
            ki loot na lein kisee roz kuchh pilaa ke mujhe

            kahin botal,kahin saagar,kahin meenaa,kahin saaqee
            yah mahafil aisee bikharee hai ke pahachaanee nahin jaatee

            maiy chhuti aour na maiykadaa chhootaa
            jab bhee gujarein hain udhar se gujarein hain

            pattharon se sar takaraane ke baad
            hamane peelee fir qasam khaane ke baad
            jisko kahataa hai zamaanaa maiyqadaa
            ek bastee hai veeraane ke baad

            jab gham-e-ishq sataataa hai to haans letaa hoon
            hadisaa yaad jab aataa hai to pee letaa hoon
            meree ujarhee huee duniyaa mein muhabbat kaa chiraagh
            jab koee aake bujhaataa hai to pee letaa hoon
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Re: Balochistan Sharab Shairy

              too saaqee-e-maiykhana bhee too nashsh-o-maiy bhee
              main tishn-e-hastee mujhe mastaanaa banaa de
              allah ne tujh ko maiy-o-maiykhana banaayaa
              too saaree fazaa ko maiy-o-maiykhana banaa de

              miltee hai umr-e-abad ishq ke maiykhane mein
              ai azal too bhee samaaja mere paiymaane mein
              sab kuchh allah ne de rakkhaa hai maiykhane mein
              khuld sheeshe mein hai,firdaus hai paiymane mein

              garche aihal-e sharaab hein ham log
              ye na samjho kharaab hein ham log
              jab milee aankh hosh kho baithe
              kitne haazir javaab hein ham log
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • Re: Balochistan Sharab Shairy

                vo chiiz jis ke liye ham ko bahisht aziiz
                sivaaye baadaa-e-gul_faam-e-mushk_buu kyaa hai
                - Mirza Ghalib

                gar aag maikasho.n kii sazaa hai to yaa Khudaa
                dozaKh me.n ek nahar bahaa de sharaab kii
                - Unknown

                merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
                jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye
                - Unknown]

                merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
                jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye
                - Unknown]

                hijr me.n kaif-e-iztaraab na puuchh
                Khuun-e-dil bhii sharaab honaa thaa
                - Majaz
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Salauddin Mengal's Choice

                  Mujh Say Apna Pyar
                  Mujh say apna pyaar kabhi wapas mat lena
                  Mujh say ya iqrar kabhi wapas mat lena

                  Kehtai rehna mujh ko har pal main teri hoon
                  Mujh say ya izhaar kabhi wapas mat lena

                  Ankhain roshan rakhna apni yadoon say
                  Mujh sa ya deedar kabhi wapas mat lena

                  Khusboo ban kar basna mera tan man main
                  Mujh say ya mehkar kabhi wapas mat lena

                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • Kitni Be-chain hai ye Sansein Meri

                    Kitni Be-chain hai ye Sansein Meri

                    Kitni Be-chain hai ye Sansein Meri
                    Bina Tere boht Roti hai ye Aankhein Meri

                    ____________ _________ _________ _
                    ____________ _______

                    Aa ker lag ja Gale, k ab raha nahi jaata
                    Dil Bhoole se b nahi Bhoolta wo Batain Teri

                    ____________ _________ _________ _
                    ____________ _______

                    Kab se Meri Aankho ko Neend aati nahi hai
                    Bahein mangti hai Mujh se Ratain Teri

                    ____________ _________ _________ _
                    ____________ _______

                    Tuu chali jati hai to Jaan nikal jati hai
                    Tere aane se Laut aati hai ye Sansein Meri

                    ____________ _________ _________ _
                    ____________ _______

                    Kab tak ye Lamha Judaii ka Rulayega Mujh ko
                    Dil laga betha hoon Mai ab Teri Yaadoon se

                    ____________ _________ _________ _
                    ____________ _______

                    Meri Rooh mai bas ker Tum ja paoge kaha tak Janam
                    Laut k le ayegi phir paas Tumhein Wafayein Meri
                    ____________ _________ _________ _

                    ____________ _______
                    Jaan Wapas aa jao k ab Dil kahin lagta hi nahi
                    Tum ko bula rahi hai ye Bahain Meri
                    ____________ _________ _________ _

                    ____________ _______

                    Kitni Be-chain hai ye Sansein Meri
                    Bina Tere boht roti hai ye Aankhein Meri
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Mai Admi Acha Nahi Hoon

                      Mai Admi Acha Nahi Hoon

                      Har kisi ki Haan mai, Haan karta nahi hoon
                      Is liye Mai Aadmi acha nahi hoon


                      Log Mujh se is liye katne lage hain
                      Tay-shuda Raston per mai Chalta nahi hoon
                      Mujh mai utro Pyaar ke Moti utha lo
                      Mai Samuadar hoon magar Gehra nahi hoon
                      Kaash kuch Deewaangi Paida ho us mai
                      Aur Wo sun le jo mai kehta nahi hoon


                      Ek Duaa

                      Tujhey Gham mile bhi to is Ada se miley
                      Tujhe wo Gham kabi Gham na lagey


                      To Sada Muskuraye Phoolon ki tarah
                      Teri Khushiyon ko kisi ki Nazar na lagey


                      Tamanna hai Meri Tuu paye sarey Jahan ka Pyar
                      Yeh Duaa hai, Tujhe kisi ki Bad-Duaa na lagey


                      Tera Gham Mera Gham hai, Teri Khushi Meri Khushi hai
                      Apna Gham Dedey Mujhe, aisey kisi ko pata na chaley


                      Yeh Pyar hi to deta hai, Kabi Dukh to kabi Judai MOHSIN
                      Duaa hai Meri Kabi kisi ko Pyar na lagey
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Bazm-e-yaaraan

                        BAZM-E-YAARAAN
                        Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
                        Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey
                        Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
                        Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey
                        Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey
                        Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
                        Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey
                        Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
                        Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey
                        Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
                        Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey
                        Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
                        Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey
                        Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey
                        Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
                        Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Comment


                          • Re: Bazm-e-yaaraan

                            kya bath hai thanks for repling..
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Salahuddin Megal's Choice

                              Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
                              Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai

                              Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
                              Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai

                              Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
                              Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai

                              Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
                              Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to ha

                              Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko ,
                              Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

                              Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
                              Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Jab dil ne kaha….

                                Jab dil ne kaha….

                                Aaj fizaaon main hai bahaar itney
                                Tere husn main sitaarein jitney
                                Dard ki kokh se janma aashiq ho main matwala
                                Akela duniya main anokha albela
                                Payal ki chanak sunayi di mujhe
                                Shahnayiyon ki gunj,duniya ki hansi,kya mujh se juda kar degi tujhe?
                                Shayari ka antim panna likh raha hoon main
                                Dard ke dariya main, tadapte dil ki is bebasi main ansoon bhari thori
                                aahen le raha hoon main
                                Is dil ko thora sukoon de do
                                Meri awaaz sun,chahey dil ka chain lo magar thora karar de do
                                Bahuth intezar kiya tum aaogi
                                Ek jhalak tho do, fir chahey amrit chahey zehar de do
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X