Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: hamari shahiry

    Tumhari bolti aankhein

    Zaban-o-lafz ki sari kee sari

    Un kahi batein

    Tumhari nazer kernay ko

    Meri baytab see aankhein

    Bohat himat to kerti hain

    Mager phir har jati hain !

    Tumhari bolti aankhoon say takra ker

    Her ek koshish ko thukra ker

    Kisi roothay howay, Sehmay howay say

    Tifal ki manand

    Meray ehsas k jhoolay main aa ker lait jati hain

    Meray sachay say ek jazbay ki aangasht-e-shahadat thaam ker

    Phir so bhi jati hai............

    Meri bay khawab see aankhein !
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: hamari shahiry

      Mohabbat

      MOHABBAT hai.......

      Thatharti aabsharoon main bichi thandi hawa sehna

      Shaboon k gunbadoon main goonjati baychainyoon k darmayan rehna

      Her ek mosam ko apnay androoni mosamoon ki zad main lay aana

      Kabhi mil k kisi say

      Bay khabir , aadhay samunder tak safer kerna

      Kabhi tanha kisi sahil pay aa k dair tak lehroon ko ginana

      Aor khala main dekhtay rehna Muhabbat hai

      Kisi khoay howay ko ghair iradi toor per

      Her aajnabi chehray main akser dhoondatay rehna.

      Hamesha bay khayali main

      Kitaboon , chand taroon , badloon per.

      Uss k barey jhilmilati baat likh daina.

      Ya phir likh k mita daina

      Kabhi rangoon ki lehroon per

      Ussay bay soot hontoon say sada daina

      Sada ko bazgasht aor gonj main dhal ker

      Khalaoon say tahi damin paltay dekhna

      Aor phir sada daina

      MOHABBAT hai.......

      Mein kia likhoon

      Kabhi aisa bhi hota hai

      Bohat hee rooth ker

      Naraz ho ker

      Napasandeeda khayaloon

      Nafratoon ki aoot say

      Ya mukhtalif heeloon bahanoon say

      Kisi ko jhankatay rehna

      Kisi ko sochatay rehna

      Woh manay ya na manay bas ussay likhna ussay kehna

      MOHABBAT hai.......
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: hamari shahiry

        Aftad

        Aaj phir uss ka phone aaya hai.......

        Aaj phir poocha kasay ho..........

        Kia kertay rehtay ho...........

        Kiya aab bhi awara phirtay ho..........

        Ya chain say ghar main rehtay ho........

        Kia aab bhi kisi ki yaad main khoay........

        Kaghaz kalay kertay ho.......

        Kia aab bhi kisi ko Insha g ki......

        Nazmein aor geet sunaya kertay ho..........

        Aaj phir uss ka phone aaya hai.........

        Aaj phir poocha kasay ho.........

        Aab hum uss ko yeh kasay batein kion ker batein..........

        K Insha g k mananay walay.......

        Chand nager k sodai........

        Dil wehshi,thamay donoo hathoon main............

        Jungle jungle, sehra sehra..............

        Shehroon shehroon, wadi wadi........

        Kabhi iss nagri , kabhi uss qaryey main...........

        Kabhi iss basti k ek kochay main........

        Jis chand ko apnay mun main basa lien..............

        Bus uss ko hee talasha kertay hain.........

        Chahay apnay ghar k aangen main............

        Pora chand hee uttra ho...........

        Aab hum uss ko yeh kaisay batein.....
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • Re: hamari shahiry

            Ahsaan hai tera dil par , ke ishq toone sikhaaya,
            Doondha kayi baar dil ko , dariya -e- gum hi paaya
            Lutaaya kayi baar is dilko , humne teri khaatir,
            Rang teri wafa ka mere , ashko mein nazar aaya
            Hoti hai band saanse , na hoga shikva kisiko
            Samjhenge wo ke unko, koi khwaab bura aaya
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Re: hamari shahiry

              Milay kab thay hum kisi mod per na ussay khaber na mujhe khaber
              K khayal-o-khawab ka tha safer,na ussay khaber na mujhe khaber

              Na woh saan main na guman main , na salam tha na payam tha
              Kisay kis nay dekha tha chonk ker,na ussay khaber na mujhe khaber

              Dar-e-dil pay naram see dastakein , kisay roktay kisay tokatay
              Woh mehak thi jan main gai utar,na ussay khaber na mujhe khaber

              Kabhi uss kay seenay main mera dil , bada natawan , bada mazmahal
              Meray rukh pay uss ki hai chashm-e-ter,na ussay khaber na mujhe khaber

              Dil muztarab, rahin kab talak kisi bay khaber kay khayal main
              Kisay dhoondatay rahin umer bhar,na ussay khaber na mujhe khaber

              Kabhi kho ** sabhi rastay kabhi rastoon say palat **
              Kahan uss ka ghar,kahan mera ghar,na ussay khaber na mujhe khaber

              Thay nazer main ajnabi rastay to yeh kasay aa gaya yak baik
              Ser-e-rah chahtoon ka nager,na ussay khaber na mujhe khaber
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • Re: hamari shahiry

                Uss nay phool bejhay hain

                Uss nay phool bejhay hain
                Phir meri ayaadat ko
                Aik aik pati main
                Unn laboon ki narmi hai
                Unn jamil hathoon ki
                Khushgawar hidat hai
                Unn lateef sansoon ki
                Dil nawaz khushboo hai


                Dil main phool khiltay hain
                Rooh main chiraghan hai
                Zindagi muatar hai !


                Phir bhi dil yeh kehta hai
                Baat kuch bana laita
                Waqt k khazanay say
                Aik pal chura laita
                Kash woh khod aa jata !
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: hamari shahiry

                  :salam:

                  :rose :) all gazal

                  Comment


                  • Re: hamari shahiry

                    zaber10 great shaeyri great ummda

                    Comment


                    • Re: hamari shahiry

                      thanks to all of u............
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: hamari shahiry

                        :lpop: :wave

                        Comment


                        • MEra INTEKHAB.

                          Aslamolekum.
                          YEH MERA INTEKHAB HAI MUJAY UMEED HAI APP SAB KO PASAND HOGA.
                          Aap Se Kabhi Mil Na Paaye HuM



                          Aap se kabhi mil na paaye hum
                          phir bichadne ka darr kaisa
                          meri har dhadkan me aap ho shamil
                          phir aapki judaai ka gham kaisa


                          deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
                          unki talaash hai ab har taraf
                          umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
                          ab maut se bhi hume ghabdraana kaisa


                          aapki yaad yun zindagi ko mehka de
                          bahaar bankar fiza me rang bhar de
                          sanwaara hai mujhe aapne is kadar
                          ki patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa


                          sitaron ki mehfil saji thi har taraf
                          phir bhi roshni ko taras gaye the hum
                          mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
                          ab andheron ka humse naata kaisa


                          Khuda se jo maangi humne duayen
                          kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
                          zamana hume ab baddua de bhi toh kya
                          hume ab zamaane se shikayat kaisa


                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: MEra INTEKHAB.



                            Kal shayad mein rahun na rahun
                            Kal tum mujhe yaad karo na karo
                            Khushboo bana ker ek baar
                            Humain bhi yaad kar liya karo


                            Jaan jayegi tere intazaar mein
                            Tumhein main milun na milun
                            Awaz detin rahegi dhardkane meri
                            Saath tumhare chalun na chalun



                            Rasta dekhati hain nazar hamari
                            Thehar hi nahi pati aur kahin
                            Tum kya jano intezaar
                            Ya meri ankhon ki nami
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: MEra INTEKHAB.

                              BOHAT YAAD AATA HAI


                              Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
                              woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

                              woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
                              aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

                              teri awaaz ke saher se na nikal paana
                              tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

                              bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
                              na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon

                              bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
                              ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai

                              magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
                              tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

                              to tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
                              teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

                              tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
                              woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: MEra INTEKHAB.



                                "Phir na dena sada humko
                                phir na loat k aaiengey hum
                                phir na kehna bewfa humko
                                ye aur baat hey k ek baar nahi so baar
                                so bar nahi bar bar
                                tera naam lene se milti hey shafa humko
                                phir na dena sada humko
                                phir na loat k aaiengey hum
                                yeh waqt bhi bara zalim hey
                                na iss ke paas
                                dil hey
                                na aankh
                                na aansoo
                                na ehsaas
                                iss toofan main bikhar jaiengey hum
                                phir na sametna humko
                                phir na dena sada humko.....




                                Zindagi mein kuchh lamhaey aisay aatey hain
                                Har cheez dhundla jati hae sirf khvaab nazar atey hain

                                Khvaab hi tu hain jo hamesha saath rehtey hain
                                Woh janey kaha gaye ab tu bas un ki yadaien hain

                                Unn sae mil ke phir yeh ehsaas honey lagaa
                                Wohi ek bas apney han baqi sab tu paraaye hain

                                Unn ki yeh adda hii saab sae ziaadaa bha gai
                                jab bhi hum un ko dehktey hain woh sharma jatey hain

                                Hum ne kabhi bhi unse koi gila na kia
                                Phir bhi woh humey har waqt sataatey hain

                                Kuch aysa rishta tha merey un ke darmiyaa
                                Jaise do panchi milttay hain phir bichrr jatey hain

                                Hir haal mae hum ne kosshish ki bhoolany ki
                                Lekin phir bhi us ajnabi ke saaye nazar atey hain

                                Humary saath ab ziaadaa kuch tu nahi hae
                                Bas hae ye Chandni raat aur kuch sitaarey hain





                                apna ehsaas mar na jaye kahin
                                dard had se guzer na jaye kahin
                                un ko dekhe huye hoin sadiyan
                                un ka chehra bekher na jaye kahin
                                ab ke awaz doon to aa jana
                                dil dewana sudher na jaye kahin
                                un ka wada to hai mager dil ko
                                darr hai ke kafer muker na jaye kahin
                                dard,jugnoo, hawa,gilley shikway
                                yeh mukader sawer na jaye kahin
                                meri duniya hai dard ki surat
                                gull ki surat nikher na jaye kabhi
                                khak se aab tak tu aa pohchey
                                ab yeh derya uter na jaye kahin
                                yeh muhabbat bhi ek balla tehri
                                hum ko derr hai woh derr na jaye kahin
                                is liye muskuraye phirta hoon
                                un ki aakh bhi na bhar jaye kahin
                                dil se guzra to hai mager wasif
                                apni jaan se guzer na jaye kahin



                                *~*~* TERI YADOON KE SARD MOUSAM MEIN *~*~*


                                Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                                Main Ne Raatein Guzar Di Apni
                                Par Sukoon Mila Nahi Mujh Ko
                                Teri Soorat Ka Vo To Sadqa Thy
                                Dil Ka Mousam Yunhi Raha Yaaron
                                Khoon Hasratoon Ka Phir Baha Yaaron
                                Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                                Dil Jala Deep Ki Soorat
                                Khuwab Mery Bikhar Gaye Saray
                                Raiza Raiza Meri Hasti Ko Kar Diya Tune
                                Meri Chahat Ka Dam Jo Bharta Tha
                                Khud Se Zyada Pyar Mujh Se Karta Tha
                                Aaj Tak Hay Meri Soch Ka Mehwar
                                Dil Tere Bin Udas Hay Ab Tak
                                Meri Chahat Ka Kya Koi Sila b Nahi
                                Uss Ko Mujh Se Koi Gila b Nahi
                                Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                                Aaj Phir Khud Ko SamaitTa Hoon Main
                                Kal Jo Tootay Thy Khuwab Saray Vo
                                Ashk Aankhon Se Bahay Saray Vo
                                Teri Yadoon Mein Guzra Ik Ik Pal
                                Meri Umer Ka Vo Hissa
                                Jo Kabhi Saath Tery Guzra Tha
                                Jo Kabhi Bichaye Thy Main Ne
                                Gul Vo Saray Samait loon Ab To
                                Jo Kabhi Chah Se Tune Likhay Thy
                                Vo Tery Khat Sambhal Rakhay Hain
                                Main Tujhay Kaisy Bhool Paon Ga
                                Meri Nas Nas Mein Tu Samayi Hay
                                Teri Yadoon k Sard Mousam Mein
                                Ahhh! Zindagi Ko Luta Diya Hum Ne
                                Apna Aap Khud Mita Diya Hum Ne
                                Teri Yadoon k Sard Mousam Mein...!!!






                                Saans Lenay Se Teri Yaad Aati Hay
                                Yaad Anay Se Meri Jaan Jati Hay
                                Kaisy Keh Doon k Sirf Saans Par Zinda Hon
                                Saans b To Teri Yaad k Baad Aati Hay...!!!







                                Pehla Pyaar
                                Ye mujhe ajkal kya ho raha hai
                                Sapne mein koi aa raha hai
                                Aankhein jo bandh karun apna
                                Usika chehra samne aa raha hai

                                Is khayal ko kya kahu
                                Is mushkil ka kya karu
                                Tumhi bataon ae dostv Kya ise hi pyaar kahu?

                                Usike ke khayalon mein khoyi hoon main
                                Usike yaadon mein gum hoon main
                                Gazab ki baat to ye hai doston
                                Aajkal shayari likh rahi hoon main

                                Dur Naa Jao!
                                Dur jana kya jaroori he
                                jab hum khadde hain intejar mein
                                ake toh ek baar dekh lo
                                kitne sapne rakkhe hain tumhare liye
                                inn sapno ka mey kya karoon
                                agar tum nahin rahe toh
                                bikhar jayenge woh waqkt se pehle
                                na tum honge, na sapne honge
                                hum to yuhin reh jayenge intezar mein!





                                Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Diya
                                Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia

                                Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain
                                Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia

                                Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
                                Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia

                                Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay
                                duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya

                                Nasir Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
                                Mele Mein Is Jahan Ke khone Nahi diya

                                Tumhe Ishq Ho Khuda Kare

                                Tumhe Ishq Ho Khuda Kare
                                Koi Tumko Us Se Juda Kare

                                Tere Hont Hansa Bhool Jain
                                Teri Annkh Mein Nami Raha Kare

                                Tujhay Hijar Ki Woh Jhari Lage
                                Tu Milan Ki Har Pal Dua Kare

                                Tere Khoawab Bikhrein Gali Gali
                                Tu Bhi Kirchi Kirchi Chuna Kare

                                Tujhay Ishq Par Phir Yaqeen Ho
                                Isse Tasbiyon Mein Parha Kare

                                Mein Kahoon Ishq To Dhong Hai
                                Aur Tu Nahi Nahi Kaha Kare.
                                Salauddien Mengal
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X