Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

    Some verses


    Aj tu bay-subab oodas hey dil
    Ishaq hota tu koi baat b thi

    Daikhi thi kuchi omer mei'n ankhai'n sharab see
    Manan, is liyay mei'n sadaa dhoolta raha

    Teray muamlay mei'n khud mera dil
    Meray mud-e-muqabil dutt gaya hey

    Kaash aisa hoo k ab k bay-wafaee mein karoo'n
    Tu phiray karya-ba-karya, koo-ba-koo meray leeay
    Mei'n tu laa-mehdood hoo jaoo'n sumandar ki tarah
    Tu bahay darya-ba-darya, joo-ba-joo meray leeay

    Adat hee bana lee hey tum ney tu Munir apni
    Jis shehar mein b rehna, ooktaa'y hooay rehna

    Tum maang rahay hoo meray dil say meri khawhish
    Bacha tu kabhi apney khiloonay nahin dayta
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

      tum bhula saktay ho mujh ko
      main bhala kesay bhula doo0on

      ghunta ghunta dua.aien kar k
      chnad lamhay jo mil jatay thay
      un lamhoun ki farhat souchoo0o
      main bhala kesay bhuladooun

      tum aaatay chalay jatay thay
      aur main souchtii rehtii thii
      un soochooun ka ghera khumar
      main bhala kesay bhula doo0on

      fone ki ghuntii halkii kar k
      deeer talak wo bataien karna
      un bataoun ka peyara lehja
      main bhala kesay bhula doo0oun

      meray geerd (around) jo rang hai teray
      wo sab rang main aap meta doo0on
      tum bhula saktay ho mujh koo0o
      main bhala kesay bhula doo0on.....
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

        v nice collection thanks 4 sharing

        Comment


        • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

          buhat khoob
          ~**Dil Bhi Lagaya Tu Humne Aik Baar
          Humne Koi Bhi Jurm Dobara Nahin Kiya~**

          Comment


          • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

            very nice sharing lexicon.....:rose
            sigpic


            Comment


            • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

              Originally posted by <<Muqadas>> View Post
              v nice collection thanks 4 sharing
              thanks..
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

                Originally posted by Salmaan View Post
                buhat khoob
                thanks..
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

                  Originally posted by Wafa View Post
                  very nice sharing lexicon.....:rose
                  thanks sister..
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • Re: Zindagi meri zindagi (Collection)

                    nice collection bro

                    Thanks for sharing

                    Comment


                    • Balochistan Collections.

                      Aslamolekum...

                      kuch udaas kuch khamosh
                      kuch bebas see lakeerien merey
                      haath ki?
                      Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
                      Aik lakeer tere naam ki
                      Kuch maloom bhi hey
                      Kuch dil bhi janta hey
                      Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
                      Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
                      Aksar ek lakeer tere naam ki
                      Aik lakeer
                      terey naam ki.
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: Balochistan Collections.

                        Teri yaad aur tere dyaan mein guzri hai

                        Saari zindagi ek makaan mein guzri hai



                        Es tareek fajha mein meri saari umer

                        Diya jalane ke emkaan mein guzri hai



                        Apne liye jho shaam bacha ker rakhi thi

                        Wo tujhse ahado-paimaan mein guzri hai



                        Tujhse ugtha jaane ki ek sa-ath bhi

                        Tere Ishq hii ke dauraan mein guzri hai



                        Diwaro ka shauk jahaa tha sabko "Roja"

                        Umer meri us khandaan mein guzri hai...
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Re: Balochistan Collections.

                          Humere khayalon mein to aap hain
                          aur meri aankhon mein bhi aap hain
                          meri dhadkano mein bhi aap hain
                          meri sanson mein bhi aap hain
                          ye puchhiye kahaan nahin hai aap
                          mere rag rag mein base hain aap
                          phir ye duri kyun phir ye majburi kyun
                          mujhe to aap ka intzar hai
                          aap ko aana hai mere liye
                          main yehaan to aap kahaan
                          aap bhi yehaan kyun nahin
                          aap ka intzar hai mujhe
                          to aap ko mera intzar kyun nahin
                          hum to aap ke paas hain
                          aap mere paas kyun nahin
                          hamein to aap ka intzar hai
                          aap ko hamara intzar kyun nahin
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: Balochistan Collections.

                            HER WOH LAMHA YAAD
                            KER KE ROYE DIL
                            Wo pyaar jo mujhe chod ke chala gaya
                            Koii mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
                            Tadap raha hai dil uska chaira dikha de
                            Dhonde the hi reh gai hum disha zindagi ka
                            Us se milne aaye hai use itna bata de
                            Mujhko mallom hai na hai ye khber
                            Dhondho usko bhla ab main kidher
                            Kitne anjaan raaste hame hai mile
                            Mere dost mujhe tum zara uska pata de
                            Ji rahi ho mager zindagi se nahi
                            Mil rahi ho sab se per khoshi se nahi
                            Be-basi ne mujhe aaj etna tod diya
                            Ke maot ne bhi daman ab chord diya
                            Usse pochta hai dil kis baat ki wo saza de
                            Koii mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
                            Tadap raha hai dil uska chaira dikha de
                            Zindagi se alag hum kab tak jiye
                            Laash banke bhi dafan hum na hoye
                            Maar ke apne hatho se zindagi maang rahe thy
                            Jisko baat diye thy logo main wo khoshi maang rahe thy
                            Hai dard bhut hame koi hamko dawa de
                            Koii mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
                            Tadap raha hai dil uska chaira dikha de
                            Mere aarma mujh se mera haq maangte hai
                            Es bimaar dil ki dawa maangte hai
                            De diya hum ne apna sab kuch khood ko bhola ke
                            Jaise jita hai koi khood ko mita ke
                            hai khta ye meri kiya mujhe tu bata de
                            Mere dost mujhe tu zara uska pata de
                            Koii mujh ko zara kuch pal zindagi se mila de
                            Tadap raha hai dil uska chaira dikha de
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: Balochistan Collections.

                              very nice collection balochistan.........:eye:
                              sigpic


                              Comment


                              • Re: Balochistan Collections.

                                aray wahhhhhh baba blochistani v nice collection

                                Comment

                                Working...
                                X