Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: kuch To Hai.

    nice

    Comment


    • Re: kuch To Hai.

      u Are Well Come
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Mein mohabbat k sabhi taqazay nibhanay janti hoon

        Mein mohabbat k sabhi taqazay nibhanay janti hoon
        Mager tairee safakiyan bhi zamanay, janti hoon

        Uss k hansanay say dil ki dunya bhi mehak utthay
        Aor uss k gham bhi hans ker utthanay, janti hoon

        Nafrat ki aakhri had ko bhi choo sakti hoon mein
        Chaho to chahat k phool mehkanay, janti hoon

        Mujhey maloom hai sab,kia hai khaboon ki haqeeqat yahan
        Jo kho gay hain meree aankhoon k sapnay suhanay, janti hoon
        Mein mohabbat k sabhi taqazay nibhanay janti hoon
        Mager tairee safakiyan bhi zamanay, janti hoon

        Uss k hansanay say dil ki dunya bhi mehak utthay
        Aor uss k gham bhi hans ker utthanay, janti hoon

        Nafrat ki aakhri had ko bhi choo sakti hoon mein
        Chaho to chahat k phool mehkanay, janti hoon

        Mujhey maloom hai sab,kia hai khaboon ki haqeeqat yahan
        Jo kho gay hain meree aankhoon k sapnay suhanay, janti hoon

        Uss ki rahoon k sab khar apni palkoon say chunoon
        Uss k aanay ki khushi main phool barsanay, janti hoon

        Phir say ek wada kia tha aanay ka aor tod biatha hai
        Aab kia hoon gay uss pashema'n k bahanay ,janti hoon

        Koi mairee nigahoon say pa na sakay meray dil ka haal
        Mein dard dil k dunya say chupanay ,janti hoon

        Phir sham dhal rahi hai so jaa aab tu Ghazal
        Werna aa jaey gi yaad uss ki tujhay rulanay ,janti hoon

        Uss ki rahoon k sab khar apni palkoon say chunoon
        Uss k aanay ki khushi main phool barsanay, janti hoon

        Phir say ek wada kia tha aanay ka aor tod biatha hai
        Aab kia hoon gay uss pashema'n k bahanay ,janti hoon

        Koi mairee nigahoon say pa na sakay meray dil ka haal
        Mein dard dil k dunya say chupanay ,janti hoon

        Phir sham dhal rahi hai so jaa aab tu Ghazal
        Werna aa jaey gi yaad uss ki tujhay rulanay ,janti hoon
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • some For Masood Sahib..

          Sah-ee Lahasil........

          Ek mudat kay baad
          Na chahray pay tab-bsum ki kiran
          Naa aankhoon main aana kaa zua'am!
          Rooh pay shikastagi ka bojh liyey,
          Lahjay main sadyoon ki thakan samaitay

          Woh keh raha tha
          Main lout aaya hoon
          Tum say bichder ker main
          Kuch bhi to raha nahi
          Tumhain bhula ker bhi
          Dil kabhi bhool paya nahi

          Maree aankhoon main abhi tak
          Tumhara chahra roshan hai
          Maree dhadkanoon main
          Abhi tum hi bastay ho
          Maree sansain abhi bhi
          Tumharay honay say chalti hain

          Jis k peechay main bhag raha tha
          Woh to faqut ek khawab tha
          Jis ka koi hasil nahi
          Aaisa woh saraab thaa
          Tum say bichda to maloom howa
          Jeena bhi ek aazab tha

          So hathoon ko phailaey howay
          Ashak-e-nadamat bahata howa
          Main lout aaya hoon

          Tub hairat say main nay
          Tuka tha usay dair talak
          Aor jab lab khulay
          to yeh harf zubaan per aaey thay

          "Jo chod jatay hain
          Un ka intizaar nahi kertay
          Jo bhool jaein
          unhain hum yaad nahi rakhtay

          Maree jaan!
          Yeh dil kay darwazay hain
          Band ho jaein to phir
          khula nahi kertay!!!!!!!"
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • Re: some For Masood Sahib..

            Jis kaa koi hasil nahi aisa ek khawab dekha tha
            Raat hathoon main apnay ek mahtab dekha tha

            Shab bhar khushi say jagee rahi hain aankhain
            Aaj pehli bar apnay liyey usay baytaab dekha tha

            Aab k bahar main bhi woh zard sa dikhaee diya
            Khiza'n rut main b jis chahray ko gulab dekha tha

            Jo sab kuch hee baha ker saath lay gia hai maraa
            Dil kay darya main aisaa aik sailaab dekha tha

            Aaj yoonhi choti see maat pay roya hai dair talk
            Ye dil jisay baray baray dukhoon per shadab dekha tha

            Dunya poochay taray dil kee busti kia howi Ghazal
            Kaha!nahi maloom,ek baar usay zair-e-aab dekha tha
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Re: some For Masood Sahib..

              adaab...arooj here with all new confidence to make a place in this forum and win ur hearts...
              this poem is close to my heart as it is based on a true thing...it was that day i was walking alone in cold breeze,weather was beautiful and "this" happened...
              wanna share it with all u guyz..
              arz kiya hai..


              Khunk hawa thi
              Abr ka ik awaara tukRa
              Neel gagan par tair raha tha
              Uss mein machalti
              Tanha,akaili
              Barish ki ik boond ne jab
              Mujh ko bhi apni hi tarha
              Iss dharti par tanha dekha
              To abr ki bahon k hissaar ko
              ToR k nikli
              Aur mere maathay ko aa kar
              Choom gaii...
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • Re: some For Masood Sahib..

                Ye meri talkh nawaaii
                Ye meri talkh hansi
                Ye zeher-khund sa lehja
                Ye guftagu meri
                Ye na samajh ae meri jaan!
                K atta teri hai
                Main jaanti hun to itna
                K khatta meri hai
                Bus issi baat ki khud ko
                Yun saza deti hun
                Main aur kissi se nahin
                Khud se khafa rehti hun..
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: some For Masood Sahib..

                  apni tanhai main us shaks ko kaisay dai doon
                  woh tu pahlay say hi bikhra hoa lagta hai
                  apni choton par marham kon rakhay ga ab
                  woh maseeha tu khoya hoa rahata hai
                  apni khushi kiss kay main naam karoon
                  ab tu mujh ko bhi ik dar naya rahta hai
                  honton say hansi tu roth hi gaye hai ab tu
                  daman main ab dukh roz naya rahta hai
                  kis say shikwa karoon main apnay bikharnay ka Shahid
                  woh tu khud bhi ab ranjoor sa rahta hai
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • Re: some For Masood Sahib..

                    teri yadain aur meri tanhai Shahid....
                    Jan lai lai gi kissi roz tu yad aaonga



                    tujh ko jan likhonn , jan wafa ya jane tamana likhon
                    bol teri yadon ko kiss para-han main abad karoo



                    Khamoshi kissi Toufan ka Paish khaima hai Shahid
                    zara sambhal kay kaheen sab kuch ujar na jaye



                    itna mat hanso kay roya bhi na jaye Shahid
                    khushi kay bad anso badi takleef daitay hain


                    Us Ko Shamil jo karo gay tum apnay nagar main Shahid
                    tu dar kis bat ka hai gar woh neendon kay safar main ho tu
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Re: some For Masood Sahib..

                      Jinti Koshish tu karay g a utna hi dard milay ga
                      pass janay say bahtar hai us say dor hi rah
                      woh tu pathar hai us pat mohabbat ka koi asar hi nahi
                      tu tu insan hai sang bari main zara dor hi rah
                      gar hakekat ko samjh lo tu bohat acha hai
                      har wakt ka ronay say tu abhi dor hi rah
                      sharminda na ho , is bat say dil azar na kar
                      woh bhi totay howay pathar ki tarah bikhray ga
                      bas tujhay is aas par ab jeena hai ai shahid
                      kay us kay bikharnay say pahlay, tu abhi dor hi rah
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: some For Masood Sahib..

                        woh itni jhooti kioon hai shahid ..
                        har bat par na kar jati hai ...
                        kal main nay us say pocha tha...
                        tum khoye khoye kioon rahti hoo...
                        us nay mujh ko daikha tha...
                        phir mujh say na kar baithi woh...
                        kahtee thee tum pagal hoo...
                        kioon meray baray sochtay hoo...
                        main tu bilkul hansi khushi...
                        har pal apna ji rahi hoon...
                        tum socha ka darwaza apna...
                        ab band hi karo tu acha hai...
                        main ik azad panchi hooon...
                        mujhay na kaid karo tu acha hai...
                        janay us main aissa kia hai...
                        main phir bhi pagal phierta hoon...
                        woh kitni pagal ladki hai ...
                        har bat pay na na karti hai..
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Re: some For Masood Sahib..

                          Kal Sochon Kay samandar main Gum Tha
                          tumhari Yad aaye Ik Jhonkay ki tarah
                          main soch raha tha
                          zakham kharonch raha tha

                          khon rista raha meraay zakmon say
                          dard be be hisab hoa Laiken
                          phir mujh ko hosh aaya
                          jab khon aasham gidh
                          achanak mujh par lapka
                          mujh ko noch dala tu
                          mujhay lagay kay
                          tum aaye hoo
                          tum aaye Hoo

                          Ab ki bar main soch raha tha
                          jeenay ka kaya maksad hai
                          kioon na ab main ab mar jaoon
                          khud ko main dai doon un koo
                          jo meray Khon kay payasay hain
                          jin ko Bhok Mitani Hai

                          tum Mujh ko Gidh Lagtay thay
                          Tum nay bhi tu payar ko meray
                          ankhon kay izhar ko meray
                          pagal dil kay payar ko meray
                          be jan rooh aur jism ko meray
                          issi tarah tu nocha tha

                          Main Kar bhi kia sakta tha
                          May phir bhi khush tha sath teray
                          lo aaj usi khayal main aa kar
                          Khud ko murda kar dala
                          han usi khayal main Shahid
                          Khud ko murda kar dala
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: some For Masood Sahib..

                            us say kah doo kay har bat par rotha na karay....
                            us say kah do kay har roz manaya nahi jata....
                            us say kah do kay jo shamil ho zindagi main...
                            un ko kabhi zindagi main bhulaya nahi jata...
                            us say kah do kay wafa naam hai mohabbat ka ...
                            mohabbat karnay waloon ko azmaya nahi jata...
                            us say kah do kay woh lot aaye warna...
                            mohabbat main kabhi kissi ko azmaya nahi jata...
                            us say k ah do kay dukh hi miltay haain is say...
                            dard apna bhi kissi ko sunaya nahi jata...
                            us say kah do kay umeed khatam hoti ja rahi hai...
                            dil bhi aisa hai kay ab kissi say lagaya nahi jata...
                            us say fakt sirf itna kah doo SHAHID...
                            jo na nibah sakoo tu dil ko lagaya nahi jata...
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: some For Masood Sahib..

                              Sochon ka Darwaza Band Kar Do kai ab to
                              Khawahishon ka nagar bhi ab tot Raha hai
                              zamanay bhar nay jo Morad-e-Ilzam Tahraya hai
                              Kai Ab tu Zabt ka Daman bhi Hath say Chot Raha hai
                              Woh Rasta badal gayen hain Laiken Phir bhi mujhay
                              un Kay Lot aanay ka gumaan kioon hoo Raha hai
                              totay howay dil ko raiza raiza karnay kay bad bhi
                              woh be wafa ham say kioon Roth Raha hai
                              Apni Be basi ka Matam Mana raha Hoon Main Shahid
                              wo phir bhi mout ko ham say kar Dor RAha Hai
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: some For Masood Sahib..

                                itna socho gi tu khud ko bhi kho baithoo gi..
                                har safhe par ik dastan likhi hai
                                yah woh kitab hai jis ka koi ikhtatam nahi ...
                                chalo jo sath tu mujh ko bhi kho baithoo gi
                                naazar kay samnay hoon tu nazar nahi aata...
                                jo na mila tu tamam umer hi ro baitho gi
                                chalo abhi say hi alag ho jayen tu bahtar hai .
                                jo dair hoi tu sab kuch hi kho baithoo gi
                                hoga tu malal mujh say bichrnay ka tum ko bhi laiken ..
                                yah jo Shahid hai us ko bhi kho baithoo gi
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X