Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: sharabi collection by Salauddien Mengal

    Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
    jo do pal mein utar jayegi
    humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
    jo umar bhar naa utar payegi....
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: sharabi collection by Salauddien Mengal

      merii sharaab kii kyaa qadr tujh ko ai vaa_iz
      jise mai.n pii ke duaa duu.N vo jannatii ho jaaye

      merii tabaahii kaa ilzaam ab sharaab pe hai
      mai.n aur karataa bhii kyaa tum pe aa rahii thii baat

      Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
      nashaa ba.Dhataa hai sharaabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n

      rah ga_ii jaam me.n anga.Daa_iyaa.N leke sharaab
      ham se maa.Ngii na ga_ii un se pilaa_ii na ga_ii

      ruuh kis mast kii pyaasii ga_ii maiKhaane se
      mai u.Dii jaatii hai saaqii tere paimaane se

      garche ahal-e-sharaab hai.n ham log
      ye na samajho Kharaab hai.n ham log
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: sharabi collection by Salauddien Mengal

        shoor hay har taraf sahab sahab
        saqia saqia sharab sharab
        rindh bakshay gaey qiamat mein
        sheik kahta raha hisaab hissaab
        phir wohe mast bakabar nikla
        jis ko kahtay thay sab karab karab
        muj say wajhaey guna jab poche
        sar juka k kaha mein nay shabab shabab
        jam girnay laga to bahka sheik
        thamna thamna kitaab kitaab
        kab wo aata hay samnay kashfe
        jis ke har ek ada hijaab hijaab
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • Re: sharabi collection by Salauddien Mengal

          Haathoon mein liye paemaana, jaam dhoonda karta hoon
          Tumhare sang gujarne ko, ek shaam dhoonda karta hoon
          Duniya wale humare rishtey ko, yun hi badnaam karte hain.
          Duniya wale humare rishtey ko, yun hi badnaam karte hain.
          Ke main eis rishtey ko, dene ek naam dhoonda karta hoon.
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • Re: sharabi collection by Salauddien Mengal

            pattharon se sar takraane ke baad
            hamne pee lee phir qasam khaane ke baad
            jisko kahata hai zamaanaa maiykadaa
            ek bastee see hai veeraane ke baad
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • hamari shahiry

              Hum kasay pagel hotay thay


              Hum kasay pagel hotay thay

              Ek phool ko chonay ki khater

              Kantoon say zakhmi hotay thay

              Jo phool jholi main aa girta

              Ussay choonay say dar jatay thay

              Hum kasay pagel hotay thay

              K dhondaly aaeinoon main apna

              Hum aks sa dhoonda kertay thay

              Aor kirchayan chatkhay aaeinoon ki

              Muthi main daba ker rakhtay thay

              Hum kasay pagel hotay thay

              Jab sadak pay chalna hota tha

              Hum kashti lay ker chaltay thay

              Aor beech bhanwar janay k liyey

              Hum padel nikla kertay thay

              Hum kasay pagel hotay thay

              Jab barish barsa karti thi

              Hum chatri main chup jatay thay

              Aor jalti dhoop main nangay sir

              Hum chatt par uchla kertay thay

              Hum kasay pagel hotay thay

              Jab pass woh bohat hota tha

              Hum uss ko dekh na saktay thay

              Jab woh door chala jata tha

              Hum aahat uss ki suntay thay

              Hum kasay pagel hotay thay

              Jab sari dunya soti thi

              Hum chand say khela kertay thay

              Jab sari dunya jag utthti thi

              Hum thak ker so jatay thay

              Hum kasay pagel hotay thay

              Hum kasay pagel hotay thay

              Hum aaj b wasay pagel hain

              Hum aaj b wasay pagel hain
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • Re: hamari shahiry

                Husan


                Ager husan ranget ka muhtaj hota

                To majnu na laila ki furqat main rota

                To dara kunya say ulfat na kerti

                Kali gataoon pay dunya na martee




                Koi kali dewi ki pooja na kerta

                Koi hajar-e-aswad ko bosaa na deita

                Go her rang apni jaga haseen hai

                Mager husan rangoon ka tabei nahi hai
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: hamari shahiry

                  Khod say milnay ki fursat kisay thi

                  Apni pandar ki kirchayan

                  Chun sakoon gi

                  Shikasta udanoo k tootay howay par sametoon ge

                  Tujh ko baden ki ijazat say rukhsat karoon ge

                  Kabhi apnay barey main itni khaber hee na rakhi thi

                  Werna bicharnay ki yeh rasam kab ki ada ho chuki hotee

                  Mera hosala

                  Apnay dil par bohat qabal hee munkashaf ho gaya hota

                  Lekin-----Yahan

                  Khod say milnay ki fursat kisay thi
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • Re: hamari shahiry

                    Dil main phir dard howa dair talak

                    Na mili iss ko dawa dair talak

                    Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi

                    Phool khamosh raha dair talak

                    Tum nay to sirf suna hee ho ga

                    Mein nay jo dard saha dair talak

                    Shab ko phir mein nay sulgata paya

                    Mun ka khamosh diya dair talak

                    Uss nay kuch aur kaha tha shayed

                    Mein nay kuch aor suna dair talak

                    Uss nay poocha k mujhe yaad kiya?

                    Mein nay tab hans k kaha dair talak

                    Janay wala nahi ek pal bhi ruka

                    Aks aankhoon main raha dair talak

                    Maslahat reh gaee hontoon pay Batool

                    Rooh main shor macha dair talak
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Re: hamari shahiry

                      Yoon dil ko her ek shakhs pay wara nahi kertay
                      Aankhoon may her ek aks uttara nahi kertay

                      Honi hai to ek bar hee ho jaey mohabbat
                      Yeh bhool hai aisee k dobara nahi kertay

                      Aacha howa mein nay hee faqat dekha mager yoon
                      Mehfil main kisi ko bhi ishara nahi kertay

                      Mil jaey sir-e-rah jo bhichra howa koi
                      Chup chap hee taktay hain pukara nahi kertay

                      Kion payar ki bazi say ho iss darja gurezan
                      Kehtay hain k dil har k hara nahi kertay

                      Kajal say bhi aab kaam koi lay na saheli !
                      Yoon dard say aankhoon ko sanwara nahi ker
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: hamari shahiry

                        Teri yaad main gum rehtay hain, badel,geet,hawa aor mein
                        Taroon say batein kertay hain,badel,geet,hawa aor mein

                        Jab bhi aoos k thanday qatray phooloon main gum hotay hain
                        Janay kion gum sum rehtay hain,badel,geet,hawa aor mein

                        Aik samunder aankh main behta ek qadmoon k neechay hai
                        Pehroon sahil pay behtay hain,badel,geet,hawa aor mein

                        Aksir pehroon sham dhalay mein khul k roya kerti hoon
                        Aur kabhi khul k hanstay hain,badel,geet,hawa aor mein

                        Dil ka dareecha aaj khula to aankhoon nay yeh dekha hai
                        Kitnay sunder yeh lagtay hain, badel,geet,hawa aor mein

                        Qadmoon ki zangeer banay hain teray aansoo aor muskan
                        Sukh ki aas main dukh sehtay hain,badel,geet,hawa aor mein
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Re: hamari shahiry

                          zulmat-e-shab mein ujaaloun kii tamannaa na karo
                          Khvaab dekhaa hai to ab Khvaab ko rusvaa na karo

                          bojh suuraj kaa padegaa to lachak jaayeingii
                          raat kii surmaii shaakhoun pe baseraa na karo

                          Khvaab ummiid nashaa saans tabasuum aansuu
                          tuutane vaalii kisii shay pe bharosaa na karo

                          ham ne aankhoun ko jalaayaa thaa ki kuchh dhundh chhate
                          tum naii nasl ke suuraj ho tum aisaa na karo

                          ashk piine kaa hunar siikh lo ham se aakar
                          jazbaa-e-dil ko nigaahoun se havedaa na karo

                          mausamii barf hain kuchh der mein bah jayeinge
                          in badalate hue rishtoun pe bharosaa na karo

                          ye fazaa raas na aayegii tumhein ai "Najmi"
                          yaad guzare hue lamhaat kii taazaa na karo
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: hamari shahiry

                            Mohabbat ki yahi tareef hai k......................

                            Azal say hai mohabbat mavara lafzoon ki mala say

                            Mager yeh bhi haqeeqat hai

                            Mohabbat soch k akash per badel ki sorat main ,

                            Sada parwaz kerti hai

                            Kabhi barish ki bondoon main simatt ker dil ki dharti per,

                            Utarti hai............Bikharti hai

                            Ada lay ker saba say yeh , gulaboon say mehak lay ker

                            Dhanak say rang lay ker aor sitaroon say chamak lay ker

                            Haseen aanchal banatee hai

                            Issi anchal say phir khawaboon kay kachay ghar sajatii hai

                            Mohabbat aazmati hai

                            Kabhi yeh shair ban ker lafzoon ki hurmat badhati hai

                            Kabhi yeh saz ban ker dheeray dheeray gungunati hai

                            Sarapa aankh ban jati hai yeh mehboob ko pa ker

                            Anokha lams ban jati hai koay yar main ja ker

                            Na janay kon sa manter yeh padh ker holay holay say

                            Kisi ki band palkoon main bina dastak diyey yaqdam

                            Uttar ker ghar banati hai...............Mohabbat muskurati hai,

                            Yeh khushboo hai hamesha phool ki sansoon main hoti hai

                            Bana day chand, teera shab ko jo yeh aisa motii hai

                            Kasak hai daiieme iss main bohat baynaam lazat hai

                            Mohabbat ki yahi tareef hai k yeh Mohabbat hai
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: hamari shahiry

                              To soch laina

                              Gatein jhoom k sehra ki simat aa niklein

                              Gulab cheer k seena chattan ka mehkeein

                              Lagein jo rait k zaray bhi kehkashan jaisay

                              Falak k chand ko dharti pay rashk aanay lagay

                              Aor aabsharoon say naghma koi ubharnay lagay

                              Yeh tar dil ka kisi naam per larzanay lagay

                              Jo soti aankhoon main yakbar khawab jaag utthein

                              Fasso'n khazan ka baharoon say hamkalam lagay

                              Uttarnay palkoon main ek surmaei si sham lagay

                              Kisi k hontoon ki khamoshi ek payam lagay

                              Rafaqtoon ka bhi mosam thehar thehar jaey

                              To soch laina, Mohabbat tumhain howe k howe
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: hamari shahiry

                                Bandh lain hath pay seenay pay saja lain tum ko
                                G main aata hai k taweez bana lain tum ko

                                Phir tumhain roz sanwarain tumhain bharta dakhain
                                Kion na aangan main chambali sa laga lain tum ko

                                Jasay baloon main koi phool chuna kerta hai
                                Ghar k guldan main phoolon sa saja lain tum ko

                                Kia ajab khawahish utthti hain hamarey dil main
                                Ker k muna sa hawaoon main uchalein tum ko

                                Kabhi khawaboon ki tarha aankh k parday main raho
                                Kabhi khawahish ki tarha dil main bala lein tum ko

                                Jan dainay ki ijazat bhi nahi daitay ho
                                Werna mar jaein abhi mar k mana lain tum ko

                                Aab to bas aik hee khawahish hai kisi mod per tum
                                Hum ko bhikhray howay mil jao sanbhalein tum ko
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X