Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddin Mengal Ka Intikhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: MEra INTEKHAB.



    ye vaqt kis kii rauunat pe Khaak Daal gayaa
    ye kaun bol rahaa thaa Khudaa ke lahje meN




    yahii hai maslehat-e-Khabar- e-ihtiyaat to phir
    ham apnaa haal kaheNge chhupaa ke lahje meN
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • Re: MEra INTEKHAB.

      Kuch Khas Ishhar.
      Attached Files
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

        very nice choice

        Comment


        • Ajnabi shehar mein ajnabi rastey meri tanhai par moskratey hain

          Ajnabi shehar mein ajnabi rastey meri tanhai par moskratey hain
          Main bohat dair tak uoon hi chlta rha tum bohat dair tak yad atey rhey

          zehar milta rha zehar pitey rhey rooz mrtey rhey rooz jeetey rhey
          zindgi bhi humain aazmati rhi or hum bhi ose aazmatey rhey

          zakham jab bhi koi zehn o dil par lga ,zindgi ki traf eik daricha khola
          hum bhi goya ksi saaz k taar hain choot khatey rhey gongonatey rhey

          sakht halat k taiz tofan mein gir gya tha humara janon-e-wafa
          hum chiragh-e-tmana jlatey rhey woh chiragh-e-tmana bojhatey rhey
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

            Thanks So Much.
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • Terey pyar ki jab say hum nain dil mein joot jgai hai

              Terey pyar ki jab say hum nain dil mein joot jgai hai
              uoon lgta hia andheron mein shama jlai hai

              hum nain apni ankhon mein tasveer teri jo sjai hai
              apney khoon k ktron say hi yeh tasveer bnai hai

              drad mein dobi aahain ley kar or jiger ka khoon ley kar
              teri yadain sang hain apney or tanhai hai

              kitney kurab say hum gozrey hain jiger tujh ko bhi hai andaza
              kaasaa dekh kar hath mein ab loog khain sodai hai

              or koi bhi drad nahin hai hum rooain gey jis k liye
              modat bad jo tujh ko dekha aankh meri bhr aai
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • ~^~^~Tujhe.. ......~^~ ^~

                ~^~^~Tujhe.. ......~^~ ^~
                Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
                Tujhe sonay bina mujhe chain nahi aata
                Main aik aag hoon jo pani ki pyaasi hai
                Main aik jism hoon jo dil ka pyaasa hai
                Tujhe bhoolna namumkin se namumkin hai
                Tujh se judai main soch bhi nahi sakti hoon
                Tujhe paana meri tammana hai
                Tujhe khoodenay ka darr bayhad hai
                Main kerti hoon tum se pyar itna
                ke ik nazar mein sab keh dalti hoon
                Tujhe dekh ke aik sukoon sa aata hai
                Tujhe se juda honay ka darr har waqt laga rehta hai
                Na janay kyon main tujhe ko chahtiin hoon is kadar
                Ke ik baar tujh mein khoo jana chahtiin hoon
                Tujhe takleef mein dekha na jaii
                Meray ashqoon se pani beh jai
                Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
                Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                  v nice dost , bohat takleef hoti hai sachi.theek kha aap ne .

                  Comment


                  • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                    Thanks So Much.
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                      Ulfat ki naie munzil ko chala ,Tu baanhaiN daal ker baanhooN main
                      Dil tornay walay daikh kay chal , hum bhi to paray hain RaaahooN maiN


                      Kia Kia na jaafaaiN Dil pey SaheeN, per Tum say koi shikwa Na kia
                      Is Jurm ko bhi Shaamil ker lo , mere maasom GunaahooN maiN


                      JahaaN Chaandni RaatooN main tum nay khud hum say kia Iqrar-e-wafa
                      phir ajj kion hain hum baygaanay , tere berhum nigahooN maiN

                      hum bhi hain WaheeN, tum bhi ho Wohee, Yeh apni apni qismat hay
                      Tum khayl rahay ho KhushiooN say , Hum Doob gayee aahooN maiN
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                        Shaeri Sach Boolti Hay


                        Lakh Perdoon MAin Rahoon Bhaid Meray Khoolti Hay
                        Shaeri Sach Boolti Hay

                        Main Nay Deakha Hay Jab Meri Zubaan Doolti Hay
                        Shaeri Sach Boolti Hay

                        Tera Israar K Chahat Meri Baytaab Na Ho
                        Waqif Is Ghum Say Mera Halqa_e_Ahbab Na Ho
                        Tu Mughay Zabt K Sehraoon Main Kion Roolti Hay
                        Shaeri Sach Boolti Hay

                        Ya Bhi Kia Baat K Chup Chup K Tughay Payar Keroon
                        Ger Koi Pooch Hi Baithay To Main Inkaar Keroon
                        Jab Kisi Baat Ko Dunnia Ki Nazer Toolti Hay
                        Shaeri Sach Boolti Hay

                        Main Nay Is Fiker Main Katein Kai Raatein Kai Din
                        Meray Shairoon Main Tera Naam Na Aye Lakin
                        Jab Teri Sans Meri Sans Main Ras Ghoolti Hay
                        Shaeri Sach Boolti Hay

                        Terai Jalwoon Ka Hay Perto Meri Aik Ik Ghazal
                        Tu Meray Jism Ka Saya Hay To Katra K Na Chel
                        Perda Dari To Khud Apna Hi Bharam Khoolti Hay
                        Shaeri Sach Boolti Hay
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                          Nigah main khawab nahin labon pay piyas nahin
                          Ab zindagee ko tere milnay ki aas nahin

                          Mera jism to arsa hua pather ka ho chuka
                          Jaanay kaisay jee raha hoon koi saans nahin

                          Yeh rang-o-noor mehfilain kis kaam keen
                          Mere Tan pay to koi umda libaas nahin

                          Her shakhs mila ban kay yahan ajnabee mujhay
                          Koi tujh sa mila phir chehra shanaas nahin

                          Had-e-nazar sehraon main kanton ki chubhan daykhi
                          Derd hi derd paaya gulon main baas nahin

                          Sawan kay jaisi til til barasti meri aankhain
                          Raha afsoos kay wo meri tarah has-saas nahin

                          Door to door sahi dooriyaan to imtihaan hain
                          Wasiay bhi kabhi itna raha mere pass nahin

                          Had say guzer gaye ho chahaton main shaiki
                          Ghum kya karay kay khushi tumahin raas nahin
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                            Woh Loag Buhat Khush Kismat Thay
                            Jo Ishq Ko Kaam Samajh'tey Thay
                            Yan Kaam Sey Ashique Kartey Thay
                            Hum Jeetay Jee Masroof Rahay
                            Kuch Ishq Kiya Kuch Kaam Kiya
                            Kaam Ishq Key Aarey Aata Raha
                            Or Ishq Kaam sey Ulajhta Raha
                            Akhir Tang Aa Kar Hum Ney
                            Dono Ko Adhora Chour Diya....
                            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                            Comment


                            • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                              Dukh fasana nahi k tujh see kahin
                              Aur dil b mana nahin k tujh see kahin

                              ajj tak apni baykali ka sabab
                              khud b jana nahi k tujh see kahin

                              bayterha haal e dil hai aur
                              tujh see dontana nahi k tujh see khain

                              aik tou hi harf ashna tha magar
                              aub zamana nahi k tujh see kahin

                              aye khuda dard e dil hai bukhish e dost
                              ab o dana nahi k tujh see kahin

                              aub tou apna uss gali main faraz
                              ana jana nahin jo tujh se kahin
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: Salauddin Mengal Ka Intikhab

                                Dukh fasana nahi k tujh see kahin
                                Aur dil b mana nahin k tujh see kahin


                                true... nice sharing :)
                                Visit My Early PS Work
                                You Are Welcome To Comment

                                Comment

                                Working...
                                X