Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Spy009 *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

    Originally posted by barg.e.gul
    6-apni ab tak ki zindagi sey kaun si aik aeysi baat seekhi hai jo aap hum sab sey kehna chahein gey?
    7-Kaun sey topics per baat cheet kertey huye mazza ata hai?
    8-baat kertey huye saamney waley mey sab sey pehley kya note kertey hein?
    6-apni ab tak ki zindagi sey kaun si aik aeysi baat seekhi hai jo aap hum sab sey kehna chahein gey?



    Sona aag mein tapp kar kundan banta hai, jo log jitni thokren khatey hain, utney hi wo mazboot hota hai, utna hi wo lesson sikhta hai. Wahi log zindgi ko qareeb se dekhta hai. Maine apne aap per yaqin karen sikha, doosra koi nahi hota, doosra naam hi dhokha hai.



    7-Kaun sey topics per baat cheet kertey huye mazza ata hai?



    Iske elawa tajassus (curisioty), aur Time Travel ke uper baatein karna achha lagta hai.
    abhi main Time Travel ke liye kuchh crazy sa hota ja raha hoon.





    8-baat kertey huye saamney waley mey sab sey pehley kya note kertey hein?
    Unki literacy aur pronounciation, iss se andaza lagta hai ke wo kitna taalim yaafta hai, yeh bhi ke bich mein baat kaat kar apni sunaney mein to nahi, daleelen de raha ho to kitna sach aur kitna thos.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #62
      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

      Originally posted by YAARAM
      Sawalat
      Walekum Salam !

      Jee janab Adnan saheb zaroor zaroor sawal poochhen.



      Khwahish ki sawalon ki bouchar mujhe itni pyari lagi ke maine unn se phir guzarish ki hai ke apna sawal jaari rakhen.
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #63
        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

        Originally posted by YAARAM
        Sawalat
        Aap ke jawabat hazir hain janab



        Adnan : Aakhir aap apne naam kyon nahin batana chahtey hain, mere khyal mein naam batane mein koi qabahat to nahin...?

        Dilip Kumar, Salman Khan, Akshay Kumar, Shilpa Shetty, Suneil Shetty, Amisha Patel, inn naamo ki bhi pehchan asli naam se nahin hai.

        Naam bataney mein qabahat to nahin hai albatta maine apni pehchan Spy009




        Aanchal ne,



        Adnan : Yehan aap rah kar kaisa mehsoos kartey hain ? Kya Pegham ki intizamiyah se mukammal mutmayein hain?

        Jee Pegham pe rozana visit kar ke aisa lagta hai ke main ek aise plateform pe aaya hoon jahan sab log ek dusre ko jaante hain, ek dostana mahol hai, phir thoda sa chit chat kar lete hain, koi tanz paas karta hai, koi comment, thoda saa hans lete hain, aur aaj ke zamaney mein hansi bahut mushkil hai, paise de kar bhi nahin milta, yehan thoda rang jamm jata hai.



        Mutmayein wali baat per itna zaroor kahoonga ke Mr. Masood ne iss forum ko achhi quality de rakha hai, saaf suthri aur meyari forum Pegham jaisa maine koi aur nahin dekha.



        Adnan: kabhi aap ne mehsoos kiya hai zindagi mushkilat ka naam hai, agar kiya to kab?




        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #64
          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

          Originally posted by YAARAM
          Sawalat
          Adnan: Jab aap bachchon ko dekhtey hain to dil mein kya sochtey hain.

          I love Kids, chhotey chhotey bachchey mujhe bahut pasand hai, Maine Delhi mein ek public school mein 3 saal tak teaching kiya, teaching mera pasandeeda hobby hai, wahan students ko dekh kar unke beech rah kar apne aap ko bhi students jaisa younger aur innocent feel kiya, mera aisa behave hai ke younger students aur chhotey bachchey mujh se bahut jaldi ghul mil jaate, kheltey, kudtye aur kabhi kabhi udham macha macha kar shararten kartey hain, recreation ke liye jab ussey park le jaatey, ya game field mein le jaatey, to maximum chhotey bachhey mujhey like kartey aur mere saath hi jana pasand kartey. Picnic pe jaana hota to teachron ko leadership di jaati ke kitne students aap ke zimma dekh rekh mein hogi, maximum students mere saath hi jaana pasand kartey,



          I loved them, today I missing all of them.







          Adnan: Aap kya bane hain aur kya ban.na chahtey thay

          Main Government Sector mein employee ban.na chahta tha, Private Sector mein ban gaya, lekin yeh soch kar dil ko tasalli hoti hai ke agar govt employee banta to internal qabiliyat mein jung lag jata.





          Adnan main to aap ko dekha bhi nahin hai to kya kah doon, :wk waise by heart you are not bad and I think you were







          Adnan : Kabhi dil bardashta huweaur agar huwe to kis baat per

          Please question dobara bolenge, zara aasan zubaan mein



          Adnan: Pehli Mulaqat mein dusre mein kya dekhte hain, jiss se aap us ski shakhsiyat ka andaza laga saken.



          Ha ha ha same question of Gul.



          Bolney wale ki literacy aur pronounciation dekhta hoon, iss se andaza lagta hai ke wo kitna taalim yaafta hain, kis tarah se baat karta hai, kis andaz se, kis topic per aur, baaten kar raha ho to kitna thos aur kitna sach.



          Adnan: Pegham ke koi se 3 pasandeeda members ke naam batayen

          Yaar aise naa phansao ke main sar pakad ke baith jaon aur imagination mein tasveer khinchun phir bataon ke koun sa member by face pretty ya smart hai.

          yehan sabhi jo regular hain wo bahut bahut achhey hain,

          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #65
            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

            Originally posted by [b
            YAARAM][/b]

            Sawalat


            Adnan: Pegham ke liye koi dili jazba

            Dili jazba yeh hai ke ham sab memberan Pegham pe jama hotey hain, thik ussi tarah jaise sab log ek platform pe jama hotey hain, sabhi members itne civilized ho ke yehan member kam family members zyadah lage. Yaani Pegham ham sab ka liye ek family ke ghar ke jaisa ho, aur jahan tak ho sakega insha allah main iss mein tawwun karoonga.



            Adnan: Pegham ko aap mustaqbil mein kya dekhte hain

            Jo abhi members hain aur yeh continuously regular rah gaya to sach main Pegham ek Family ke ghar ke jaisa hoga.



            Adnan: Aap ko Punjabi aati hai



            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment


            • #66
              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

              Originally posted by YAARAM
              Sawalat







              Chalo phir bhi aap ka dil rakh leta hoon




              Paas hota hai door hota hai
              Hasraton o gham ka suroor hota hai
              Kuchh haqeeqat na MUHABBAT ki
              Lekin ek nasha sa zaroor hota hai :rose
              (yeh aap ke liye)




              Aap to aankh milatey huwe sharmatey hain
              Aap to dil ke dhadkne se bhi darr jaatey hain.:rose




              Ghanimat ke yeh chand lamHe aur kuchh hans bol lo yaaro
              Naa hongey yehaN ham jab kis qadar berounaqi hogi:rose





              Jab teri maang mein sindoor bhara jayega. :rose




              Khandar yaaro wafa ka kured kar dekho
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega:rose





              Adnan: Baaqi ba'ad mein...

              Romba romba Chetta.
              Last edited by Spy009; 7 September 2005, 11:03.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #67
                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                hahaha Bohat acha lagaa aap ke jawabat parh kar.....aik ajeeb se kefyat main se guzra.......:) Bohat maza aaya........
                aur yeh kya likha hay :D

                hmmmmmmm dil ka to waqua bura nahi hooN......aur han yeh sahi hay aur aapne were ka istimal kya hay apne is answ main jo shai hay....................:)
                Allah

                Comment


                • #68
                  Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                  Assalamo allaikum Spy

                  Meri janib sey kuchh sawalaat hain, unka jawab nawaz dein:

                  1) Islam aur Watniyat; inki aapis mein kya haqeeqat hai?

                  2) Kya mojoodah duniya mein KHILAFAT qaeem ki ja sakti hai? Agar ki jaa sakti hai to uskey asbaab kya honey chahiye?

                  3) Suneney mein aaya hai keh Hindustan key kuchh elaqo mein muslim larkiyon ko hindu larkon sey biyaha jata hai, kya yeh jaiz hai?

                  4) Hindustan key aik muddabbar ka kehna hai keh Hindustan mein Islam mukamil aazad hai, aap is per kya kahein ge?

                  5) Tsunami ka jo waqeya huwa tha, us mein sab sey bada nuqsaan Indonesia ka huwa tha jahan per muslim ki aksariyyat thi. Kuchh logon ka kehna hai keh ham musalmano ney Thailand waghera mein Islam ka pegham nahin dey sakey jiski wajah sey itna bada hadisa huwa hai. Aaap kya kehtey hain?
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #69
                    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                    itne mushkil sawal.......:( :khi:
                    Allah

                    Comment


                    • #70
                      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                      Originally posted by Spy009
                      Yellowsky!
                      Aapke sawalon ke jawabat dene ki koshish kar raha hoon.

                      1-Agar is dunya ka naam da'rul imteyhaan nahi to Akhrat ko da'rul jaza kyoon kehtey hein?
                      Yeh todhoda conflict question hai,



                      to phir imteyhaan kahan. Ham jaisa karenge Allah aakhrat mein waisa hi jaza ata farmayenga.


                      kya aap ko nahi lagta key yahi sab theek thak imteyhaan hai?apney nafs sey larhna...seedhey raastey per rehna...aur Allah ki taraf sey jo tests hotey hein un per sabr kerna ...jaisey aap aik barhey hein ghar key aur jitni zimdarein thien ya hein...kya wo sab imteyhaan nahi hai?

                      (ye q mey ney aap key reply to "zindagi aik daarul imteyhaan" ki waja sey kiya tha)


                      Originally posted by Spy009
                      4-kya koi aeysi lang. hai jo aap seekhna chahtey hon aur abhi tak na seekhi ho?

                      French,



                      Aaj bhi Lawra K Lawless ka learning package by email aata hai

                      good french aik achi lang. hai aur mushkil bhi hai
                      anyways good luck:thmbup:
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #71
                        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                        Masood aap k swalaat dekh ker mujhey gumaan ho raha hey jaisay SPYOO9 boht barray syasatdaan hon ya koi tajziya nigar hon.

                        Spy kia aap aisay hi kisi shohbay se munsalik hein?

                        Comment


                        • #72
                          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                          aik sawal yeh poouchna hai kay india kay muslmaan Kahmir kay barey maain apni kia raye reakhtay hain ? :) :rose
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #73
                            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                            Originally posted by Muskan
                            Masood aap k swalaat dekh ker mujhey gumaan ho raha hey jaisay SPYOO9 boht barray syasatdaan hon ya koi tajziya nigar hon.

                            Spy kia aap aisay hi kisi shohbay se munsalik hein?
                            Spy teacher hain :D
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #74
                              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                              Originally posted by YAARAM
                              hmmmmmmm dil ka to waqua bura nahi hooN......aur han yeh sahi hay aur aapne were ka istimal kya hay apne is answ main jo shai hay....................:)
                              To janab aap hi batayen naa...WERE ke baarey mein yeh present mein hone ke bajaye PAST kyon ban gaya...kya majbooriyan thein, kya khamiyan thein, ya kya burayiaan thein...

                              try to find and change Past into Present...enjoy yaar zindagi ko khushgwar banana apne haath mein hai.
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment


                              • #75
                                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                                Originally posted by barg.e.gul
                                kya aap ko nahi lagta key yahi sab theek thak imteyhaan hai?apney nafs sey larhna...seedhey raastey per rehna...aur Allah ki taraf sey jo tests hotey hein un per sabr kerna ...jaisey aap aik barhey hein ghar key aur jitni zimdarein thien ya hein...kya wo sab imteyhaan nahi hai?

                                (ye q mey ney aap key reply to "zindagi aik daarul imteyhaan" ki waja sey kiya tha)

                                Zindagi mein rukawatein aati hain, pareshaniyan hoti hain, majbooriyan bhi hoti hain. Imteyhaan ka result "Fail ya Paas" pe tika hai to kya inn rukawaton se munh mod le, zindagi se haar maan le, agar haar maan liya to kya karega...burayi ke raaste pe chale, paise kamane ke liye underworld gangster ban jaye, chor ban jaaye, ya kuchh aur...Allah ke khilaf, ya suicide...nahin naa to phir imteyhaan kahan.Yeh zindagi ke sabaq hi aisa hai, yehi sach hai aur sach kadwa hota hai usse imteyhaan nahin kah sakte.
                                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                                Comment

                                Working...
                                X