Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Spy009 *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

    Originally posted by kanwal
    spy bhai aapka interview abhi thora sa hi parha hey magar aapkey khayalat bohat mature aur har cheez k barey main bohat wazeh nazaryat hain...achi lag rahi hain aapki batain magar khas tour par ye bat bohat achi lagi aapki :rose
    Mehnat karo aur paa lo...begher jid o jahad k waqyee kuch nahi mila aur dosra waqyee koyi nahi.khush rahyie :rose
    Shukriya Kanwal bhai...
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

      Originally posted by Spy009
      Shukriya Kanwal bhai...
      main kanwal bhai nahi kanwal behan hoon




      Comment


      • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

        Originally posted by kanwal
        main kanwal bhai nahi kanwal behan hoon
        :donno:
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

          AOA,


          Mere piyare bahi dair se hazri daine pe bohat mahzarat khawa hoon umeed hai aap dargozar farmain ge:phool:

          Aap k irshadat parR kar zindagi ki haqeeqat k kareeb hona parra jo k aik talkh haqeeqat hai:)


          Aap school k zamane ka koi waqiya sonain jo aap ko aksar yaad ata hoo:)

          kia aap nain apni manzil pa li ya uss k kareeb hain:)


          Aap ki zindagi main dost kia ahmiyat rakhte hain.



          Sohail Abbasi.
          Apna haq ada karo.

          Comment


          • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

            Originally posted by Saima Shaheen

            Sorry Spy aap ek interview per main thora late ho gayi, magar inshallah chand ek sawal hain jo zaror keroo gi :D
            sure inshAllah
            aaj akhri din hai qs poochney ka isi liye jaldi sey aap sab ney jo bhi poochna hai pooch lein :thmbup:
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

              Originally posted by khan
              AOA,


              Mere piyare bahi dair se hazri daine pe bohat mahzarat khawa hoon umeed hai aap dargozar farmain ge:phool:

              Aap k irshadat parR kar zindagi ki haqeeqat k kareeb hona parra jo k aik talkh haqeeqat hai:)


              Aap school k zamane ka koi waqiya sonain jo aap ko aksar yaad ata hoo:)

              kia aap nain apni manzil pa li ya uss k kareeb hain:)


              Aap ki zindagi main dost kia ahmiyat rakhte hain.



              Sohail Abbasi.
              Khan bhai kuchh dino se dekh raha hoon ke aap bhi yehan pe irregular hain...lagta hai kahin busy hain.

              Aap school k zamane ka koi waqiya sonain jo aap ko aksar yaad ata hoo

              School ke zamaney mein kayi aisi yaaden hain jinhen bhulaya nahin jaa sakta, jab school mein jaldi chutti ho jati to Indian Institute of Statstical chale jaate, yeh kaafi lambe chaude raqba mein phaila government baagh hai, jahan pe tarah tarah ke phal ke darakht lage huwe hain, wahan jaa kar phal todna, game khelna, football khelne mein waqt sarf karta...aur waqt milta to kuchh doston ke saath river nahaney chala jaata, nadi mein lagbhag 5-8 meter gahra paani rahta aur doston mein shart lagti nadi cross karne ka, kabhi kabhi to sailab ke mausam mein bhi nadi nahaney chala jaata tha, nadi ke kona kona se waqif tha iss liye darr nahin lagta, but Walid sahab se bahut darr lagta, kabhi kabhi maar padti, iss liye chori chhupe jaate thay, iske saath kabhi kabhar film bhi dekhne chale jaatey thay wo bhi chori chhupe warna Walid sahab ko pata lagta to phir apni khair nahin rahti. Iss tarah ke bahut saarey waqyat hain.

              kia aap nain apni manzil pa li ya uss k kareeb hain:)
              Janab yeh insaan ki fitrat hai ke jitna aagey pahunchta hai wo utna aur aage jaana chahta hai, Phir bhi main yeh kahoonga Alhamdullillah main apni manzil paa liya, ab yehan se smooth chalna hai ab chhoti chhoti task baaqi rahte hain wo Insha Allah waqt ke saath hal ho jayega.

              Aap ki zindagi main dost kia ahmiyat rakhte hain.
              Dost ki ahmiyat hoti hai agar zaroorat ke waqt kaam aaye, mera sirf aur sirf ek hi dost hai 22 saal purana, ham dono ki dosti aaj bhi qayam hai aur Insha Allah ta umr qayam rahegi, iss se ek chiz seekha ke dost se thodi doori bhi honi chahiye...tabhi dosti bani rahti hai aur ek doosrey ki khair o aafiyat ke liye hamesha tayyar rahtey hain, aur ek doosrey ko value bhi dete hain, agar nazdeeki badh gayi to kabhi na kabhi...
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                Assalaam o alekum,



                mera ek ahem aur akhri sawaal


                hum sab ke liye koee pegham jo aap denaa chaahate hoon???
                :tang: RISK IS MY BUSINESS

                DANGER IS MY GAME

                DONT PLAY WITH ME
                BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                Comment


                • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                  Asslam O Alaikum kuch mazeed sawalat :)

                  1) Mazhabko kahan tak mantey ho ? aur kitna amal kartey ho ?

                  2) Rutbey aur shohrat sey kitna pyar hey ?

                  3) Merey sawal number aik ko jo pehley poocha tha mazeed wazeha kero remember jo Pehley poocha tha :)

                  4) Seerat aur Soorat dono kitna impress kerti hein ?

                  5) Tumharey nazdeek ik ansoo ki wuqat ?

                  Comment


                  • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                    Originally posted by Spy009
                    Ambreen Bahan Kaisi ho...main aapko yeh dekh ker bahut khoosh hoon...itney dino ke baad...khair main samajhta hoon...waise jab bhi mauqa mile apni qeemti waqt yehan pe 1-2 minute ke liye ham logon ke liye bhi naikal den.

                    Aapke dobara aaney tak interview naa bhi rahe to aap sawal zaroor poochhen bahna.
                    Have a nice day:rose :rose
                    bahut shukriya bhai aap ke khalos ka....aap se ziada tar sawalaat INdia se mutaliq puchey jaa rahe hai aur zahir hai keh aap wahan ke shehri jo hai tau merey sawalaat bhi kuch usi ke mutabiq hain:)

                    1.....INdia mein Gujrat waghera mein musalmanon per humley hotey rehtey hain...tu kiya aap samajhtey hain keh aaj bhi musalmanon ki jane gher mehfoz nahin?.... India mein rehtey howe kiya musalmanon ka future mehfooz hai?

                    2....musalmanon ki taraqqi ki rah mein rukawat tu nahin kiya yeh such nahin keh indian muslim behtreen mulazmat(jobs) ke liye baher ke mumalik ka rukh kerte hain?


                    bas kuch yehi sawalaat they kiun keh mein ne india nahin dekha bad jitna bhi janti hoon media ke zaerye hi khaber rehti hai keh wahan kiya ho raha hai...:)

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                      Originally posted by khurram_shaikh
                      Assalaam o alekum,



                      mera ek ahem aur akhri sawaal


                      hum sab ke liye koee pegham jo aap denaa chaahate hoon???
                      Aapas mein unity and recognition ho.

                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                        Originally posted by WorThless
                        Asslam O Alaikum kuch mazeed sawalat :)

                        1) Mazhabko kahan tak mantey ho ? aur kitna amal kartey ho ?

                        2) Rutbey aur shohrat sey kitna pyar hey ?

                        3) Merey sawal number aik ko jo pehley poocha tha mazeed wazeha kero remember jo Pehley poocha tha :)

                        4) Seerat aur Soorat dono kitna impress kerti hein ?

                        5) Tumharey nazdeek ik ansoo ki wuqat ?
                        Asslam O Alaikum
                        Walekum Salam

                        1) Mazhabko kahan tak mantey ho ? aur kitna amal kartey ho ?

                        Mazhab ko mukammal maanta hoon,



                        2) Rutbey aur shohrat sey kitna pyar hey ?
                        Bahut...Rutba bananey mein waqt lagta hai, Alhamdullillah main pehle teaching field mein tha, kaafi shohrat thi, aur rutba aaj bhi bana huwa hai, rutbe ke khaatir main ne ek American MNC (Innodata) ke job ko resign kiya, doosra Saudi Arab mein Petromin ke job ko resign kiya. Apni dignity maine apni mehnat se khood banaya hai to phir iss se samjhauta kaisa.









                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                          Originally posted by WorThless
                          3) Merey sawal number aik ko jo pehley poocha tha mazeed wazeha kero remember jo Pehley poocha tha :)

                          4) Seerat aur Soorat dono kitna impress kerti hein ?

                          5) Tumharey nazdeek ik ansoo ki wuqat ?
                          3) Merey sawal number aik ko jo pehley poocha tha mazeed wazeha kero remember jo Pehley poocha tha :)



                          a) Zindagi aur Maut kai beech ka fasla kya hai ?

                          Zindgi aur Maut ke beech ka fasla utna hai jitna Azaan aur namaz padhney ke darmayan ka faasla.

                          Jab mauzzin azaan deta hai to namaz ki adaayegi ke liye wazoo bana kar tayyar ho jatey hain aur masjidon ke taraf daudtey hai. Yeh 5-8 minute ka faasla hota hai phir namaz ki jamaayet khadi ho jaati hai, bas yehi faasla hai maut aur zindagi ke bich, thik ussi tarah jab ek bachha paida hota hai to uske kaano mein azaan ki awaz di jaati hai, yaani azaan ho gaya ab namaz ki tayyari karen, wo jab marta hai (chahey jitney umr mein) to janazey ki namaz bina azaan ke (bina aqamat) ke hi hoti hai, paida hone se marne tak ka faasla azan aur namaz ke liye jamaayet khadi hone tak ka hai.

                          4) Seerat aur Soorat dono kitna impress kerti hein ?

                          Seerat aur qaabiliyat impress karti hai,

                          main kai aise logon se mila jo kaafi khubsoorat, handsome hain, but jab ussey parkhne ki baari ayi to dil ka syah nikla.

                          5) Tumharey nazdeek ik ansoo ki wuqat ?




                          Aansoo ki qeemat jagah ke eitbaar se hai, koi filme dekhta hai to emotional scene pe ro deta hai, jab ke haqeeqat kuchh aur hai, ham paisa de kar roney kyon jaayen.

                          Yehi aansoo agar Darwaza e Multazim pe nikley to wo kitni qeemti hogi bata nahinsakta.




                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                            Originally posted by Ambreen
                            bahut shukriya bhai aap ke khalos ka....aap se ziada tar sawalaat INdia se mutaliq puchey jaa rahe hai aur zahir hai keh aap wahan ke shehri jo hai tau merey sawalaat bhi kuch usi ke mutabiq hain:)

                            1.....INdia mein Gujrat waghera mein musalmanon per humley hotey rehtey hain...tu kiya aap samajhtey hain keh aaj bhi musalmanon ki jane gher mehfoz nahin?.... India mein rehtey howe kiya musalmanon ka future mehfooz hai?

                            2....musalmanon ki taraqqi ki rah mein rukawat tu nahin kiya yeh such nahin keh indian muslim behtreen mulazmat(jobs) ke liye baher ke mumalik ka rukh kerte hain?


                            bas kuch yehi sawalaat they kiun keh mein ne india nahin dekha bad jitna bhi janti hoon media ke zaerye hi khaber rehti hai keh wahan kiya ho raha hai...:)
                            bas kuch yehi sawalaat they kiun keh mein ne india nahin dekha bad jitna bhi janti hoon media ke zaerye hi khaber rehti hai keh wahan kiya ho raha hai...:)

                            1.....INdia mein Gujrat waghera mein musalmanon per humley hotey rehtey hain...tu kiya aap samajhtey hain keh aaj bhi musalmanon ki jane gher mehfoz nahin?.... India mein rehtey howe kiya musalmanon ka future mehfooz hai?

                            Jee future mehfooz to hai lekin agar musalman future ko sochey tab to, Gujarat mein jo kuchh bhi huwa, wo wahan ki bani banayi saazish thi, Ahmedabad Forensic Report ke mutabiq 58 hindus ko koi musalman nahin jalaya, balke ussey hindu ne hi jalakar musalman ka naam diya aur danga ka wajah banaya, Hindustan mein kuchh farqe warana tabqat hain iske saath saath Politics partiyan bhi Musalmano ko nishana banati hain. Hindustan mein 28 crore ki abaadi hai, agar 100 IAS (Indian Administrative Service) officer recruit hotey hain to usme se 28 musalman hona chahiye lekin mushkil se 6-8 hi milenge jiska matlab musalman khood hi utna uper nahin uThna chahta.

                            2....musalmanon ki taraqqi ki rah mein rukawat tu nahin kiya yeh such nahin keh indian muslim behtreen mulazmat(jobs) ke liye baher ke mumalik ka rukh kerte hain?

                            Aisi baat nahin Government sector se lekar Public sector mein musalman mulazim bhare pade hain, har saal hazaron musalman Urdu, Arabic, Persian, ke khidmat ke liye job mein jaa rahe hain, but higher level job mein bahut kam hian, lekin Public and Private sectors mein kaafi ta'adad hai, haan discrimination to hai but kuchh jaghon mein, job lene ke liye apni bhi qabiliyat honi chahiye.
                            Abroad jaa rahey hain lekin musalman hi nahin, ghair musalman bhi ja rahe hain, kyon ke job option kam hota ja raha hai, competition badh gaya, candidates badh gaye.

                            bas kuch yehi sawalaat they kiun keh mein ne india nahin dekha bad jitna bhi janti hoon media ke zaerye hi khaber rehti hai keh wahan kiya ho raha hai...



                            You are welcome to see India , aap iss bhai ke ghar tashreef layen...





                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                              Originally posted by Muskan
                              Saheeeee kaha aap ne SPy009, mujhey ehraz nhi aap k sath humdardi mehsoos ho rhi thi:D .
                              Gul aur KHwahesh k dimaghi salahiyaton ka to kia kehna! Har suboh bheegay huye BADAAM khati hein yeh dono aur unn ka asar inn k achay achay threads aur postings ki soorat mein nazar aata rehta hey.:)
                              ye badam wali baat aap ko kaisey pata Muskan :D
                              aur meyri apni hamdardi aap sab key sath hai :P
                              -----
                              spy,
                              aap key saarey jawabaat parhey aur mey bas aap ka shukriya ada karun gi key aap ney itna time diya :thmbup:

                              Is interview key akhri akhri sawal
                              -Jab aap ko interview key liye kaha gaya to aap foran sey maan gaye ya phir is key liye apney aap ko tayyar kerna perha?
                              -Is interview key shuru , darmayan mey aur akhir mey aap ki kya feelings rahein?
                              -kaheen koi jawab deytey huye mushkil to nahi pesh ayi ?
                              -koi aisa sawal jissey deykh ker beyzaar ho gaye hon?
                              aur
                              -koi aeysi baat jo hum poochna bhool gaye hon ...agar haan to us ka jawab khudi dey dien :-)
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                                Thanks a lot Gul and Khawahish:rose :rose

                                Is interview key akhri akhri sawal
                                -Jab aap ko interview key liye kaha gaya to aap foran sey maan gaye ya phir is key liye apney aap ko tayyar kerna perha?

                                Jab mujhe Khawahish ka PM mila ke mujhe Spotlight pe bulaya ja raha aur inteview ka next number mera hai, then that time I was busy, officialy 2 days weekend ke baad, ek din company holiday tha, uske next din mujhe ek urgent meeting attend karna tha, yeh saari mashghooliyat ki wajah se off line rahne ki baat main Khawahish ko PM karke bata diya tha, halanke unhone kaafi support kiya aur mere wapis aane tak ki intezaar ki, Shukriya Khawahish...

                                -Is interview key shuru , darmayan mey aur akhir mey aap ki kya feelings rahein?

                                Normal, sabhi waqt Normal feelings thi.

                                -kaheen koi jawab deytey huye mushkil to nahi pesh ayi ?

                                Jee kahin bhi nahin, all were nice questions

                                -koi aisa sawal jissey deykh ker beyzaar ho gaye hon?

                                Aisa koi sawal tha hi nahin jis se main beyzaar hota

                                -koi aeysi baat jo hum poochna bhool gaye hon ...agar haan to us ka jawab khudi dey dien :-)


                                but bahut saarey aise sawalat thay jisse poochhna chahiye tha wo miss kar gaye...
                                btw Khawahish sahiba ka 40 sawaal bahut achchay, tabhi to maine unhe dobarah sawal poochhne ki request bhi ki thi, baaqi membran ne bhi achhey sawal kiye, khas kar WorThless ka ek sawal jo bahut aham tha " Ke maut aur zindagi ka kya faasla hai," pata nahin mere jawab durust thay ke nahin, but sawal bahut hi achha tha.

                                Once again main aap sab membran ka shukriya adaa karta hoon, yehan bulakar interview karne ke liye

                                [/QUOTE]
                                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                                Comment

                                Working...
                                X