Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Spy009 *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

    Originally posted by Spy009
    Paa ji aap kisi se ma'afi ke talabgar nahin hain. wajah simple, pehle aap ForumAdmin ke saath "Badbakht", avatar mein ek buzurg, phir Worthless, yehan bhi avatar mein "Lords of the Ring" ke danda wala Solomon ka image...Kishore Kumar ke sanjeede aur sad songs pasand karna, reply mein aksar 'Khush raheye', ye aap ki sakhi aur buzurgi ko batata hai...right...
    :) to kya buzurg mafee nahi maang saktey ? yaa un ko sab ghalat kerna jiaz hey ?

    Comment


    • #47
      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

      Originally posted by ~khawahish~
      It's okay Paa ji :rose aur Maafee ki baat nahin karein [-(
      Acha soch lo

      Comment


      • #48
        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

        Originally posted by WorThless
        Acha soch lo
        Sochney wali kya baat hai [-( bus keh diya tu keh diya :>
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • #49
          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

          Originally posted by ~khawahish~
          Sochney wali kya baat hai [-( bus keh diya tu keh diya :>
          Hun eni wee koi gal nahi

          Comment


          • #50
            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

            Spy main nay tumharey jawab abhi parhey nahi hain jab parh loon ga to agey sawal keron ga :) hope u wont mind

            Comment


            • #51
              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

              Originally posted by barg.e.gul
              :na: bohot ghalt baat, gharwaley bhi insaan hotey hein aur un ki bhi koi marzi hoti hai


              Ghar walon ke baatein ghalat ho to...







              Q dobara perh lein

              Sinf mukhalfat mein kaise log pasand NAHIN hain.

              yeh nahin main samjha, btw, aap dobara iss question ko rise kar sakte hain.







              Aap key tamam jawabaat achey rahey kaheen kaheen jo masla hua wo mey inshAllah apney sawalon mey poochon gi



              kahin kahin masala kya huwa...yeh to mujhe bhi samajh mein nahin aaya, you're most welcome as a questionaire
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #52
                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                Originally posted by WorThless
                Spy main nay tumharey jawab abhi parhey nahi hain jab parh loon ga to agey sawal keron ga :) hope u wont mind
                Asslam Alaikum Paa ji

                I'll not mind, never Paa ji.

                aap sawal zaroor karen...
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #53
                  Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                  Originally posted by ~khawahish~
                  Aap kay is baat say main Agree nahin karti :) Paisa Bunyadi Zaroorat zaroor hai maghar Paisay say MOHABBAT nahin khareed nahin sakhtay main Paisay ki Ahmiyat say inqaar karti maghar Paisa SAB khuch bhi nahin hai :) aur sab say bari Baat aap nay Maa Baap ki ki Maa Baap khabi bhi Paisay ki waja say aap say Pyaar aap ka sath nahin detay :) Maa Baap appni Ulad say bagair kissi Silay kay pyaar kartay hain Paisay kay liyeah khabi nahin :)


                  khush rahyeah :rose
                  Paison se mohabbat nahin kharid sakte...ha ha ha...yeh sab kitabi baaten hain, aur filmo me hota dikhaya jaata hai, but jahan real life ki baat hoti hai to paisa.

                  Soch apni khyal apna, maine to apna pesonal experience bataya ke aaj paise se bada koi chiz nahin, jo log muhabbat, shifqat, aapsi bhaichargi ki baat karte hain wo sab paise ke baghair khokhla hai, aap shayad iss liye agreed nahin hain ke pesonal life mein aisa koi sabqa nahin pada.

                  agar koi insaan bhooka hai to koi ussey khane ke liye nahin poochhta, agar pet bhara hai to sab usse khane ke liye poochenge.

                  aur beshak maa baap bhi aulad se paison ka expectation karte hain. Mehboob/Mehbooba se MOHABBAT thode dino ke liye...phir paise pe aa ke khatm ho jata hai.
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • #54
                    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                    Originally posted by [b
                    ~khawahish~][/b]
                    aur jahaaan tak meray aur sawalo'n ki baat hai tu zaroor kyun nahin aur bhi Sawal main karo'n gi :)


                    khush rahyeah :rose


                    Most Welcome:rose

                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment


                    • #55
                      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                      Originally posted by khl
                      i have a deffernt sawal
                      kia aap suni sunai batoon ker yakeen ker laity hain....
                      ????????????
                      It's a common question not different

                      Depend karta hai ke matter kya hai, real life mein zindagi guzarne ke liye main dekh, chhoo kar main yaqeen karta hoon, suni sunai baaton pe yaqin nahin karta hoon, but kuchh aisi chizen hain jise padh kar log yaqin karte hain (mazhab shamil nahni hai)

                      Katrina Hurricane: abhi main na hi Florida mein hoon, aur na New Orleans visit kiya but news padh kar, aur videos dekh wahan ki tabahi ka yaqin kar raha hoon.

                      India Pakistan 1947 mein azad huwa, dekhne ke liye mere dada thay main, nahin, yeh padh kar, photographs dekh kar aur sun kar yaqin karta hoon.

                      Rasool Allah S.A.W. ka Jibrail a.s. ne M'eraj (miraculously night journey) Makkah se Jerusalem aur Jerusalem se Jannat ka safar karwaya, kisi ne nahin dekha, lekin sabhi Muslim Ummah sun kar haqin kar rahe hain.

                      So it's depend upon the materialistic phenomena.
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • #56
                        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                        mera sawal hai kaay zindagi ko apnaay tareekay say jeena chaye yah jaisa doosray chahtay hain waisa bannay ki kushish karni chaye ?? :rose
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #57
                          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                          Originally posted by Aanchal
                          mera sawal hai kaay zindagi ko apnaay tareekay say jeena chaye yah jaisa doosray chahtay hain waisa bannay ki kushish karni chaye ?? :rose
                          Jis tarah ek ghar ko sajaney sanwarne ke liye bahut si chizon ki zaroorat hoti hai usi tarah zindagi ko bananey ke liye bhi kayi chizon ki zaroorat hoti hai, apne tariqey se akele zindgi jee to lenge lekin zindgi mein wo nikhar nahin rahegi, wo zindagi aimless yani bina maqsad ke hoga.

                          Ham chal to padey hain jazba e dil, jaana hai kidhar ma'aloom nahin
                          Aagaaz e safar pe naazan hain, anjaam e safar ma'aloom nahin

                          Doosray log agar apne hon jaise dost ahbaab to wo bura nahin chahega, phir apne parents unki nasihat hamarey achhey ke liye hoti hain, hamey zindgi guzarney ke liye kisi na kisi ka naqsh e qadam ki zaroorat padti hai, unke aadat unke principles ko apne andar dhaltey, aur saath hi saath apna aqal sha'our ka bhi istemal karna chahiye.
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment


                          • #58
                            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                            ok merey sawal
                            1-Agar is dunya ka naam da'rul imteyhaan nahi to Akhrat ko da'rul jaza kyoon kehtey hein?
                            2-Aap kitni zabanein (lang.) bol leytey hein?
                            3-koi aik zaban jo aap ko bohot achi lagti ho?
                            4-kya koi aeysi lang. hai jo aap seekhna chahtey hon aur abhi tak na seekhi ho?
                            5-kuch log doosron key baarey mey bohot jald raa'ye qaim ker leytey hein-aap ka in logon key liye kya kahein gey? aur aap ka khud kin logon mey shumaar hota hai ?
                            6-apni ab tak ki zindagi sey kaun si aik aeysi baat seekhi hai jo aap hum sab sey kehna chahein gey?
                            7-Kaun sey topics per baat cheet kertey huye mazza ata hai?
                            8-baat kertey huye saamney waley mey sab sey pehley kya note kertey hein?
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #59
                              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                              Sawalat
                              Attached Files
                              Allah

                              Comment


                              • #60
                                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                                Originally posted by barg.e.gul
                                ok merey sawal
                                1-Agar is dunya ka naam da'rul imteyhaan nahi to Akhrat ko da'rul jaza kyoon kehtey hein?
                                2-Aap kitni zabanein (lang.) bol leytey hein?
                                3-koi aik zaban jo aap ko bohot achi lagti ho?
                                4-kya koi aeysi lang. hai jo aap seekhna chahtey hon aur abhi tak na seekhi ho?
                                5-kuch log doosron key baarey mey bohot jald raa'ye qaim ker leytey hein-aap ka in logon key liye kya kahein gey? aur aap ka khud kin logon mey shumaar hota hai ?
                                6-apni ab tak ki zindagi sey kaun si aik aeysi baat seekhi hai jo aap hum sab sey kehna chahein gey?
                                7-Kaun sey topics per baat cheet kertey huye mazza ata hai?
                                8-baat kertey huye saamney waley mey sab sey pehley kya note kertey hein?
                                Yellowsky!
                                Aapke sawalon ke jawabat dene ki koshish kar raha hoon.

                                1-Agar is dunya ka naam da'rul imteyhaan nahi to Akhrat ko da'rul jaza kyoon kehtey hein?
                                Yeh todhoda conflict question hai,







                                2-Aap kitni zabanein (lang.) bol leytey hein?

                                English, Hindi, Urdu, Khortha, Bangla and Arabic



                                Khortha Hindustan ke suba Jharkhand ke kuchh divisional area mein boli jaati hai, yeh wahan ki local zubaan hai.



                                3-koi aik zaban jo aap ko bohot achi lagti ho?

                                Urdu,

                                shereen zuban hai, kahte hain muhabbat ka izhaar urdu zubaan mein karne se achha asar hota hai.



                                4-kya koi aeysi lang. hai jo aap seekhna chahtey hon aur abhi tak na seekhi ho?

                                French,



                                Aaj bhi Lawra K Lawless ka learning package by email aata hai

                                5-kuch log doosron key baarey mey bohot jald raa'ye qaim ker leytey hein-aap ka in logon key liye kya kahein gey? aur aap ka khud kin logon mey shumaar hota hai ?







                                Mera khud kin logon mein shumar hota hai yeh to main khud nahin bata sakta.

                                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                                Comment

                                Working...
                                X