Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Spy009 *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

    19. Passandeeda Nazm , Ghazal ya Shair ?


    Yeh to bahut hai, filhal yeh kuchh mulhaaza farmayen:

    Peeyenge apna lahoo wo mizaaj kar dega
    Har ek shaKhs ko paagal anaaj kar dega

    Yeh sach hai ab ke agar maine sach kaha to meri
    Zuban Kaat ke goonga samaaj kar dega

    Jalenge roz yun hi ghar tu dekhna ek din
    Zamana iss ko bhi rasm o riwaaj kar dega


    Pehli si wo ab ham pe inaayat nahin karte
    Ham apne usoolon se baGhawat nahin karte

    Dukh ham bhi uTha lete hain Gham sahte hain ham bhi
    Yeh baat alag hai ke shikaayat nahin karte

    Ab to hai teri yaad tera zikar sohab o roz
    Yeh kis ne kaha hai teri chaahat nahin karte


    Dr. SaGhar Azmi ke yeh kalam mujhe bahut pasand hai:

    Uss se milti julti awaaz kahan se laao'onga
    Taj Mahal ban jaye gar to Mumtaz kahan se laao'onga

    Be-bas meri fikr hai saari aur qalam majboor mera
    Uss ko kuchh kahne ke liye alfaaz kahan se laao'onga


    Jism to bahut sanwar chukey rooH ka singar kijiye
    Phool shaKh se naa todiye, khushbu'on se pyar kijiye

    Suraj chhup gaya to kya kal subah to zaroor aayegi
    SharT hai waqt ka thoda intezaar kijiye



    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #17
      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

      20. Kitabein partay hian ? aghar haan tu kis kisam ki kitabein shoq say partay hian ?
      Jee haan kitabon se bahut pyar hai, main sota hoon to mere takiye ke paas kitab zaroor hota hia, agar kitab naa ho to mujhe neend hi nahin aayegi. Main waisi kitabon ko nahin padhta jisme tashadud, nafrat, fasadat, qatal, gharat geeri ki baaton se pages bhare padey hon, jo ke aaj kal dekhne ko milta hai,

      Main aaj ki duniya se bilkul hatt kar door bahut door nikal ka muta'ala karta hoon, aur wo duniya hai "Romani" duniya, yaani Romance and Love, jahan pe saaf suthri maasoom aur peaceful faza ki akkasi ho.
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #18
        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

        21. Koi aise Nazm ya Ghazal jo aap ko lagey aap ki aksai karti ho ?
        Anwar Faiz ki yeh Ghazal,
        (hame lagta hai mere dil ki baat ghalti se Anwar Faiz ke qalam se nikal gayi)


        Koyi faryaad tere dil mein dabi ho jaise
        Tune aankhon se koyi baat kahi ho jaise
        Jaagte jaagte ek umr kati ho jaise
        Jaan baaqi hai magar saans ruki ho jaise

        Har mulaaqat pe mehsoos yehi hota hai
        Mujhse kuchh teri nazar poochh rahi ho jaise

        Raah chalte huwe aksar yeh gumaaN hota hai
        Wo nazar chupke mujhe dekh rahi ho jaise

        Ek lamHe mein simat aaya hai sadiyon ka safar
        Zindagi tez, bahut tez chali ho jaise

        Iss tarahH pahroN tujhe sochta rahta hooN maiN
        Meri har saans tere naam likhi ho jaise

        Koyi faryaad tere dil mein dabi ho jaise
        Tune aankhon se koyi baat kahi ho jaise
        Jaagte jaagte ek umr kati ho jaise
        Jaan baaqi hai magar saans ruki ho jaise
        Last edited by Spy009; 3 September 2005, 09:24.
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #19
          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

          22. Aap ka Star ? Aur kya aap stars per yaqeen rakhtay hain...?

          Aquarius. But,
          Main star pe yaqin nahin rakhta, yeh imaan ko kamzor karta hai, shirk aur bid'att ke tarf uksata hai.
          Jo hota hai usse hone den Allah Sub'han o ta'ala Super natural Power hai, wo jo karta hai achha karta hai,


          23. Fariq waqt kessay guzzartey hain

          Koi khas ek tariqa nahin hai faarigh waqt guzarney ka, farigh waqt mein kabhi akhbar magazines ya kitaben padh leta hoon, music sunta hoon, ya kabhi romantic filme dekh leta hoon, agar iss se bhi zyadah waqt mil jaata hai to outing...outing picnic pe chala jata hoon, ya phir kis restaurant mein (jeb kharch se) farigh waqt bitata hoon.
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #20
            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

            Originally posted by Spy009
            Lijiye jawabaat haazir hain



            13. Pasandeeda Phool ?

            Gulab

            kaun sey rang ka?

            Originally posted by Spy009
            14. Pasandeeda Mausam
            Sardi ka, I love winter season. Iss season mein raatein lambi hoti hain, der tak lehaaf odh kar soney ka jaisa lutf Sardi mein milta hai wo kisi aur mausam mein kahan. Sweater, jacket, suit-boot mein har waqt aadmi shehazada bana rahta hai. Khane ke liye tarah tarah ki hari hari sabziyan bhi issi mausam mein milti hain, Sardi ke mausam mein subah ki sair aur subah subah bus ka safar karna bhi bahut achha lagta hai.

            :thmbup:
            shehzadon wali baat kafi theek hai , leykin phir garmion mey insaan kya lagta hai
            aur sardion mey mun sey bhaap(dhu'an) urahtey huye walk kerna bhi acha lagta hai

            Originally posted by Spy009
            15. Pasandeeda Gulukar ya Gulukara
            Lata Mangeshkar, (daadi Amma) ke naye purane sabhi gaye huwe songs mujhe pasand hai, Main ne inke lagbhag 1500 pasandeeda songs collect kiye hain. Gulukar mein koi nahin hai, jab song sun.ne ke liye hosh sambhala to best singers iss duniya se rukhsat ho chuke thay, phir bhi Mohammad Rafi, Kishore Kumar and Mukesh ke evergreen songs mere paas collected hain, jise mein fursat ke lamhon mein suntan hoon.

            hmm itney saarey songs ...aur in sab gaano mey sab sey acha gana kaun sa lagta hai jo aap akser suntey hein?

            Originally posted by Spy009
            16. Pasandeed Mashroob ?
            Orange Juice

            meyra bhi :D

            Originally posted by Spy009
            17. Pasandeed Khana ?
            Khane mein koi khaas nahin, naak bhonw nahi sikudta, jo milta hai Allah ka shukriya ada karke kha leta hoon.

            good boy

            Originally posted by Spy009
            18. Pasandeeda Shair (poet) ya Adeeb

            Pasandeeda shair (poet ) to nahin, agar kisi ka naam yun hi likh doon to sarasar wo be imaani hogi. Adeeb, Safah ko padhtey jayen aur saamne tasveer ubharti jaye, zuban lachhedar na ho hamari roz marrah ki zindgi mein istemaal hone wali zuban ho, aur kahani apne saamen ghume, wo hai Prem Chand (Munshi Dhanpat Rai Prem Chand). Pasand karne ki khas wajah yeh hai ke inki jitni bhi kahani, afsaney, novels (Jaise Idgaah, Bade Ghar Ki Beti, Lottery, Poos Ki Raat, Godan, Sewa Sadan) huwe usme main apna bachpan talash karta hoon, aur wo milta bhi hai.
            mey in mey sey sirf prem chand ko jaanti hun wo waqai acha likhtey hein
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #21
              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

              Originally posted by barg.e.gul
              :thmbup:
              shehzadon wali baat kafi theek hai , leykin phir garmion mey insaan kya lagta hai
              aur sardion mey mun sey bhaap(dhu'an) urahtey huye walk kerna bhi acha lagta hai
              garmi ka mausam ummm....mere khyal mein "be sharmi" ka, kitna kharab mausam hai uff, 2-3 times nahao phir paseena, kahin bahar ghoomne nahi jaa sakte, garmi hai to kuchh achha nahin lagta, na khana, na....anything


              hmm itney saarey songs ...aur in sab gaano mey sab sey acha gana kaun sa lagta hai jo aap akser suntey hein?
              jee bahut saare pasand ke hain, main yehan type nahin kar sakta, Lata dadi ke awaz mein to jaado hai, aur agar saath saath achhi musician ki composition hai to phir kya kahne sone pe suhaga...that song is evergreen.


              mey in mey sey sirf prem chand ko jaanti hun wo waqai acha likhtey hein
              Aap "Idgah, Poos Ki Raat, Kafan, aur Bade Ghar Ki Beti " Padhen, zaroor achha lagega.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #22
                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                i have a deffernt sawal
                kia aap suni sunai batoon ker yakeen ker laity hain....
                ????????????

                Comment


                • #23
                  Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                  Originally posted by Spy009
                  Jee haan kitabon se bahut pyar hai, main sota hoon to mere takiye ke paas kitab zaroor hota hia, agar kitab naa ho to mujhe neend hi nahin aayegi. Main waisi kitabon ko nahin padhta jisme tashadud, nafrat, fasadat, qatal, gharat geeri ki baaton se pages bhare padey hon, jo ke aaj kal dekhne ko milta hai,

                  Main aaj ki duniya se bilkul hatt kar door bahut door nikal ka muta'ala karta hoon, aur wo duniya hai "Romani" duniya, yaani Romance and Love, jahan pe saaf suthri maasoom aur peaceful faza ki akkasi ho.

                  Assalaam o alekum,



                  Phir to aap Bushra Rehman ki lagan zaroor perhien :)
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment


                  • #24
                    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                    Originally posted by khl
                    i have a deffernt sawal
                    kia aap suni sunai batoon ker yakeen ker laity hain....
                    ????????????
                    Khi aap nay Shayeed Rules nahin parhey main nay bola hai jab tab main Tamam Sawal na kar loon tab tak aap koi Sawal nahin karein gay
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment


                    • #25
                      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                      Lijyeah Spy Sawalat ka teesra Hisab :rose



                      24. Pooray din main sab say ziyada kaun sa waqat acha lagta hai ?

                      25. Kis kisam ki MOuseeqi Shoq say suntay hian ?

                      26. Qudarti nazaro'n main kya sab say acha lagta hia ?

                      27. Dil-o-Dimagh ki Jung main kis ki baat manein gay aur kyun ?

                      28. Koi aisa Shehar ya Mulk jahaan janey ko dil chahta ho ? Waja ?

                      29. Koi aisa shakas jo bichar gaya ho jisay aaj bhi yaad kartay hon ?

                      30. Bachpan ki koi SHarart ?

                      31. Zindagi say koi shikwa ?

                      32. Zindagi ka koi khushgawar Waqaia ?

                      33. Zindafi ka koi nakhushgawar waqaia ?
                      Attached Files
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • #26
                        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                        Originally posted by khurram_shaikh
                        Assalaam o alekum,



                        Phir to aap Bushra Rehman ki lagan zaroor perhien :)
                        Naam suna hoon per padha nahin hoon, mere koi jan.ne wale kah rahye unke book "Pyasi" kafi achhi hain.
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • #27
                          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                          Originally posted by ~khawahish~
                          Lijyeah Spy Sawalat ka teesra Hisab :rose






                          24. Pooray din main sab say ziyada kaun sa waqat acha lagta hai ?

                          25. Kis kisam ki MOuseeqi Shoq say suntay hian ?

                          26. Qudarti nazaro'n main kya sab say acha lagta hia ?

                          27. Dil-o-Dimagh ki Jung main kis ki baat manein gay aur kyun ?

                          28. Koi aisa Shehar ya Mulk jahaan janey ko dil chahta ho ? Waja ?

                          29. Koi aisa shakas jo bichar gaya ho jisay aaj bhi yaad kartay hon ?

                          30. Bachpan ki koi SHarart ?

                          31. Zindagi say koi shikwa ?

                          32. Zindagi ka koi khushgawar Waqaia ?



                          33. Zindafi ka koi nakhushgawar waqaia ?


                          Jee...jawabat dene ki koshish kar raha hoon.


                          24. Pooray din main sab say ziyada kaun sa waqat acha lagta hai ?
                          Subah aur Shaam ka waqt, Subah mere liye bahut hi khaas hai, ek to 5.30 morning uthta hoon, ghusal karta hoon, jo ki meri bachpan ki habit hai, then fajer ki namaz, phir duty ke liye tayyar hota hoon aur sharp 7:00 am pe office,

                          Jab India mein tha to ahle subah morning walk nadi ke kinare, subah subah suraj nikalne se pehle ek to taazi hawa milti hai, aur din bhar mood fresh rahta hai. Aur shaam ko mattar gashti


                          25. Kis kisam ki MOuseeqi Shoq say suntay hian ?
                          Jiske music composition and singers achhey hon, gaane ke bol (words) achhey hon, main naye purane sabhi sunta hoon, evern 1946 and 1949 ke songs bhi sunta hoon, jaise "Awaz de kahan hai, jawan hai muhabbat, phir 'Barsat' film ke gaane, film 'Mughal e Azam' and 'Pakeezah' ke gaane mujhe bahut pasand hai, then nayi filmo mein 'Ek Duje Ke Liye', 'Maine Pyar Kiya', 'Raaz', 'Hum Aapke Hain Koun', iske elawa aur bhi kayi, main songs ko weight karta hoon, jaise kuchh songs lakhon rupaiy ki evergreen to kuchh chawanni qism ke, I hate chawanni songs


                          26. Qudarti nazaro'n main kya sab say acha lagta hia ?
                          Natural adventures, Pahad, barf se dhaki huwi pahadon ki chotiyan, wadiyan, harey harey ghas se dhakey maidan,

                          Agar koi mujhe yeh offer kare ke Taj Mahal dekhne jaana hai ya Himalay ki tarai wadiyon mein, to main Himalay ke tarai wadiyon mein Shimla, Mussoorie jaana chahoonga, Man made khubsoorti thodi der ke liye hai jab ke qudrati khubsoorati ka jawab nahin, kam az kam Jannat ki yaad dila deta hai.

                          27. Dil-o-Dimagh ki Jung main kis ki baat manein gay aur kyun ?
                          Badi achhi baat puchhi aap ne, Zaahir hai dimagh ki baat manoonga.

                          waise ab dil hai bhi nahin, 4 saal pehle dil ko siney se nikala ek gathri mein bandha aur ek darakht ki daali se latka diya, kyon ke jab dil hoga to dillaggi hogi, dillaggi hogi to muhabbat hoga, aur Muhabbat mein dard hai aur main tadapna nahin chahta.


                          28. Koi aisa Shehar ya Mulk jahaan janey ko dil chahta ho ? Waja ?
                          Scandinavian Countries,
                          peacefull countries hain, logon ki bhid bhaad nahin, shor shraba nahin and qudrati nazare bhi wahan hain.


                          29. Koi aisa shakas jo bichar gaya ho jisay aaj bhi yaad kartay hon ?

                          Heena Giri


                          30. Bachpan ki koi SHarart ?
                          Shararat se related Gupshup mein Aanchal ne ek thread start kiya tha, jisme main apni shararten bhi wahan post kiya tha, aisi khatarnak khatarnak shararten...uff raat ko soye huwe aadmi ka charpayi utha ker main road pe rakh dena, Amrood churaney, aam churaney, nadi mein nahaney se le kar kayi shararten bhara huwa hai mera bachpan.


                          31. Zindagi say koi shikwa ?
                          Shikwa karne si agar khwahishen puri ho jaati to main roz shikwa karta, shikwa karna mere khyal mein "Na shukra" ka symbol hai, main apne se nichey dekhta hoon to paata hoon ke main uss se behter hoon, phir shikwa ki koi gunzayish nahin rahti.


                          32. Zindagi ka koi khushgawar Waqaia ?
                          Koi nahin....


                          33. Zindafi ka koi nakhushgawar waqaia ?
                          5th December 1988 ka din jab mere Walid sahab ek road accident mein inteqal ho gaye.
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment


                          • #28
                            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                            aap kay Walid Sahib ka suyn kar buhat Afsoos howa Allah unhein Janat-ul-Firdose main jaga dey Ameen :rose


                            aur Baqi aap nay Sawal buhat khoobsurati say diyeah hian :) abhi Sawalo'n ka akhri Hisa rehta hai us kay baad Members Sawal karein gay aap say :)
                            Zindagi Thak Gaye ..!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                              Asslam O Alaikum Spy,

                              Kuch sawal bhai meri taraf sai bhi i hope kai bura nahi mano gey :)

                              1) Zindagi aur Maut kai beech ka fasla kya hai ?

                              2) Pyar, Mohabbat aur Ishq main faraq ?

                              3) Sahi daulat kisey mantey ho ? Paisa ? Mohabbat ? yaa kuch aur ?

                              4) Kisi bhi kaam ko shidat sey kertey ho yaa normaly ? Yani Junoon ki hadh tak yaa bas moderate reh ker ..!! ?

                              5) Zindagi ka koi aisa lamha kai tumhein lagta ho kai wo zindagi nai tumhein aik pehley aur akhri maukey kai taur per deya tha aur tum nai usey ganwa deya ?

                              Comment


                              • #30
                                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                                Originally posted by ~khawahish~
                                abhi Sawalo'n ka akhri Hisa rehta hai us kay baad Members Sawal karein gay aap say :)

                                hmm abhi akhri hissa rehta hai ab worthles ki shamat aye gee us nay sawal poouch leye hain apnay :D
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X