Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Spy009 *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

    My Appologize from all of you :rose , I never knew that kai abhi mods nai sawalat khatam nahi kye aur a kar sawal kar daley ..!! Hope mujhey pehli aur akhri baar mafee miley gi :) jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh

    Comment

    • #32
      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

      Originally posted by WorThless
      Asslam O Alaikum Spy,

      Kuch sawal bhai meri taraf sai bhi i hope kai bura nahi mano gey :)

      1) Zindagi aur Maut kai beech ka fasla kya hai ?

      2) Pyar, Mohabbat aur Ishq main faraq ?

      3) Sahi daulat kisey mantey ho ? Paisa ? Mohabbat ? yaa kuch aur ?

      4) Kisi bhi kaam ko shidat sey kertey ho yaa normaly ? Yani Junoon ki hadh tak yaa bas moderate reh ker ..!! ?

      5) Zindagi ka koi aisa lamha kai tumhein lagta ho kai wo zindagi nai tumhein aik pehley aur akhri maukey kai taur per deya tha aur tum nai usey ganwa deya ?
      Walekum Salam wa rahamtullah wa barkatahu

      Paa ji, aap ke inn sawalon ke jawabat diye jayenge, pehle Khawahish sahiba ka episode khatm ho jayen, phir
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment

      • #33
        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

        Originally posted by WorThless
        My Appologize from all of you :rose , :) jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh
        Paa ji aap kisi se ma'afi ke talabgar nahin hain. wajah simple, pehle aap ForumAdmin ke saath "Badbakht", avatar mein ek buzurg, phir Worthless, yehan bhi avatar mein "Lords of the Ring" ke danda wala Solomon ka image...Kishore Kumar ke sanjeede aur sad songs pasand karna, reply mein aksar 'Khush raheye', ye aap ki sakhi aur buzurgi ko batata hai...right...
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment

        • #34
          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

          Originally posted by Aanchal
          hmm abhi akhri hissa rehta hai ab worthles ki shamat aye gee us nay sawal poouch leye hain apnay :D
          Buzurgon se aisi baat nahin kartey...
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment

          • #35
            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

            Originally posted by Spy009
            Buzurgon se aisi baat nahin kartey...
            main sab ki yaha nani amman houn main kar sakti houn :devilsmil
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment

            • #36
              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

              Originally posted by Aanchal
              main sab ki yaha nani amman houn main kar sakti houn :devilsmil
              :lol
              Naano to bohot masoom aur payyaari hoti hein :P ye tum ney phir kyon itni devil face bana rakha hai
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #37
                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                Originally posted by WorThless
                My Appologize from all of you :rose , I never knew that kai abhi mods nai sawalat khatam nahi kye aur a kar sawal kar daley ..!! Hope mujhey pehli aur akhri baar mafee miley gi :) jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh
                It's okay Paa ji :rose aur Maafee ki baat nahin karein [-(
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment

                • #38
                  Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                  Sawalat ka Akhri Hisa :rose

                  34. Aap ki kis Adat say ghar walay be'zar rehtay hain ?

                  35. Sinf-e-Mukhalif main kessay log passand hain ?

                  36. Mohabbat par yaqeen rakhtay hian ?

                  37. Pegham kessay Join kya ?

                  38. Pegham par sab say ziyada dosti kis say aur kessay hoi ?

                  39. Pegham kay Barey main aap ki ra'ey ?

                  40. Pegham kay Members kay liyeah koi pegham ?

                  Lijyeah Janab meray Sawal khatam howay aur Baqi sab bhi aa kar Spy say sawal kar lein :evilsmile

                  khush rahyeah :rose
                  Attached Files
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment

                  • #39
                    Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                    Originally posted by ~khawahish~

                    Meri koi bhi aadat achhi nahin hai, shayad issi liye ghar wale mujh se bezaar rahte hain. Yaa yun samajh len ke ghar ke membran ki kuchh ghaltiyan hoti hain aur main uska mukhalfat karta hoon main tabhi bolta hoon jab ghar wale meri baat nahin maantey, aur meri marzi ke khilaf chaltey hain. yehi mera bolna hi meri kharab aadat hai, jisey ghar wale pasand nahin kartey,

                    35. Sinf-e-Mukhalif main kessay log passand hain ?
                    Jo jhoot bolta ho, saamne kuchh aur peeth peechey kuchh bolta ho, beimaan, khudgharz, aur jo adna sa ho aur apne aapko superior samjhey.

                    Saath hi waise logon se bhi mujhe bahut nafrat hai jo Allah Allah karte rahta ho, namaz bhi pabandi se padhta ho, logon ko nek mashware deta ho, aur khud dhool mool ho. Waise log bhi jo hamesha taqdeer ko qasoorwar tehrata ho, aise logon se mujhe bahut chidh hai, main waise logon ke qarib nahin jaata.
                    36. Mohabbat par yaqeen rakhtay hian ?

                    37. Pegham kessay Join kya ?
                    Aanchal ke invitation pe

                    38. Pegham par sab say ziyada dosti kis say aur kessay hoi ?
                    Pegham ke wajood ke qabal se hi main in hastiyon ko jaanta hoon, ye ek aur website ke forum pe regular visit kiya kartey thay, wahan se

                    Barg e Gul (Jisse main Yellowsky kahta hoon)

                    Aanchal

                    Khan bhai (Sohail Abbasi) aur

                    Khurram

                    39. Pegham kay Barey main aap ki ra'ey ?
                    Bahut pyari forum hai, sabse badi chiz ke yehan koi ghalat (abusive) words istemaal nahin karta system usse automatically warning issue karta hai, this is the plus point of this forum, second flaming ya vulgar posts nahin hotey,

                    Education, IT studies ke bhi sections hain,
                    sabhi membran qaabil e taarif shakhsiyat hai.

                    Agar kuchh nahin hona chahiye tha to wo hai shora ke naam (Poets) ka sections mere khyal mein wahan bahut kam log posts kartey hain ya padhtey hain.

                    40. Pegham kay Members kay liyeah koi pegham ?

                    (Jiska mazmoon intna khubsoorat hai wo kitni haseen hogi)

                    sabhi members bahut achhay ja rahe hain, members ki pehchan unki achhi threads se ki jaati hai, achhay reply se kiya jaata hai, keep such affability.

                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #40
                      Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                      Originally posted by ~khawahish~

                      Lijyeah Janab meray Sawal khatam howay aur Baqi sab bhi aa kar Spy say sawal kar lein :evilsmile

                      khush rahyeah :rose
                      Itni jaldi...abhi abhi to aayin aap

                      By rules aapka question puchhney ka term khatm ho gaya, but iske baad bhi aap questions puchh sakti hain, sawalat achhi karti hain:thmbup: :wave
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment

                      • #41
                        Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                        Originally posted by WorThless
                        Asslam O Alaikum Spy,

                        Kuch sawal bhai meri taraf sai bhi i hope kai bura nahi mano gey :)

                        1) Zindagi aur Maut kai beech ka fasla kya hai ?

                        2) Pyar, Mohabbat aur Ishq main faraq ?

                        3) Sahi daulat kisey mantey ho ? Paisa ? Mohabbat ? yaa kuch aur ?

                        4) Kisi bhi kaam ko shidat sey kertey ho yaa normaly ? Yani Junoon ki hadh tak yaa bas moderate reh ker ..!! ?

                        5) Zindagi ka koi aisa lamha kai tumhein lagta ho kai wo zindagi nai tumhein aik pehley aur akhri maukey kai taur per deya tha aur tum nai usey ganwa deya ?
                        Walekum Salam Paa ji

                        Aapke sawalon ke jawabat dene ki koshish kar raha hoon, (waise aap ki buzurgi wala avatar dekh kar darr bhi lagta hai)

                        1) Zindagi aur Maut kai beech ka fasla kya hai ?
                        Bahut qeemti sawal hai.

                        Zindgi aur Maut ke beech ka fasla utna hai jitna Adhan aur namaz padhne ke darmayan ka faasla.
                        Ek bachha paida hota hai to uske kaano mein adhan ki awaz di jaati hai, jab wo jawan hota hai, budha ho kar mar jaata hai, to janaze ki namaz bina adhan (bina aqamat) ke hoti hai, yehi fasla hai zidagi aur maut ke beech.

                        2) Pyar, Mohabbat aur Ishq main faraq ?

                        Pyar aur Mohabbat ek hi lafz hain, muhabbat urdu ka pyar hindi ka, Muhabbat ya pyar mere kyal mein insaan ko naram dil aur polite banata hai. Dil ke dhadkney ka ehsaas muhabbat (pyar) hi karata hai.

                        Ishq paagalpan hai, shaitaniyat karna bhi ishq hai

                        3) Sahi daulat kisey mantey ho ? Paisa ? Mohabbat ? yaa kuch aur ?

                        Baap bada na bhaiya sabse bada rupaiya,

                        Abba maange paisa, Amma maange paisa
                        Biwi maange paisa, Bachha maange paisa.

                        Issa peer naa Moosa peer,
                        Sabse bada hai Paisa peer

                        Goya Khuda ke raah mein bhi paisa chahiye

                        Paisa sab se badi cheez hai, agar aap ke paas paisa hai to maan hai, baap hai, biwi hain, bachhey hain, bhai bahan dost ahbaab sabhi hain, Paisa se bahut kuchh kharida ja sakta hai, imaan, mazhab, Paisa hai to muhabbat bhi hai, paisa hai to log khuda ko yaad bhi karte hain, yaani paisa hai to ibaadat bhi hai. Paise ke aage kuchh nahin.

                        4) Kisi bhi kaam ko shidat sey kertey ho yaa normaly ? Yani Junoon ki hadh tak yaa bas moderate reh ker ..!! ?

                        Maine aaj tak koi bhi kaam serious ho kar nahin kiya, normaly handle karta hoon.

                        Faltoo mein dimagh ko tension nahin dene ka baba...

                        5) Zindagi ka koi aisa lamha kai tumhein lagta ho kai wo zindagi nai tumhein aik pehley aur akhri maukey kai taur per deya tha aur tum nai usey ganwa deya

                        Jee govt. job (Banking Recruitment Board of Kolkata, Bank ka) miltey miltey rah gaya, kyon ke maine apne aapko tayyar nahin kiya tha aur serious bhi nahin tha, otherwise aaj Bank Employee hota,
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment

                        • #42
                          Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                          Originally posted by Spy009
                          34. Aap ki kis Adat say ghar walay be'zar rehtay hain ?
                          Meri koi bhi aadat achhi nahin hai, shayad issi liye ghar wale mujh se bezaar rahte hain. Yaa yun samajh len ke ghar ke membran ki kuchh ghaltiyan hoti hain aur main uska mukhalfat karta hoon main tabhi bolta hoon jab ghar wale meri baat nahin maantey, aur meri marzi ke khilaf chaltey hain. yehi mera bolna hi meri kharab aadat hai, jisey ghar wale pasand nahin kartey,

                          :na: bohot ghalt baat, gharwaley bhi insaan hotey hein aur un ki bhi koi marzi hoti hai

                          Originally posted by Spy009

                          35. Sinf-e-Mukhalif main kessay log passand hain ?
                          Originally posted by Spy009

                          Jo jhoot bolta ho, saamne kuchh aur peeth peechey kuchh bolta ho, beimaan, khudgharz, aur jo adna sa ho aur apne aapko superior samjhey.

                          Saath hi waise logon se bhi mujhe bahut nafrat hai jo Allah Allah karte rahta ho, namaz bhi pabandi se padhta ho, logon ko nek mashware deta ho, aur khud dhool mool ho. Waise log bhi jo hamesha taqdeer ko qasoorwar tehrata ho, aise logon se mujhe bahut chidh hai, main waise logon ke qarib nahin jaata.

                          Q dobara perh lein

                          Originally posted by Spy009

                          36. Mohabbat par yaqeen rakhtay hian ?
                          Originally posted by Spy009

                          :thmbup:
                          Originally posted by Spy009
                          39. Pegham kay Barey main aap ki ra'ey ?
                          Bahut pyari forum hai, sabse badi chiz ke yehan koi ghalat (abusive) words istemaal nahin karta system usse automatically warning issue karta hai, this is the plus point of this forum, second flaming ya vulgar posts nahin hotey,

                          Education, IT studies ke bhi sections hain,
                          sabhi membran qaabil e taarif shakhsiyat hai.

                          Agar kuchh nahin hona chahiye tha to wo hai shora ke naam (Poets) ka sections mere khyal mein wahan bahut kam log posts kartey hain ya padhtey hain.

                          :D
                          shairi sec. ki baat aap ney ki hai magar merey khyal sey members beyshak post nahi kertey apni replies magar perhtey zaroor hein :-)

                          Aap key tamam jawabaat achey rahey kaheen kaheen jo masla hua wo mey inshAllah apney sawalon mey poochon gi :thmbup:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #43
                            Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                            Originally posted by Spy009
                            Itni jaldi...abhi abhi to aayin aap

                            By rules aapka question puchhney ka term khatm ho gaya, but iske baad bhi aap questions puchh sakti hain, sawalat achhi karti hain:thmbup: :wave
                            thanx Spy aap nay sab sawalo'n kay jawab buhat khoobusrati say diyeah hain Par aap nay aapna Naam nahin bataya :-s bata detay tu acha lagta hum sab ko :)

                            aur Jahaan tak Sinf-e-Mukhalif ka Sawal hain wo Aap nay pata nahin us ka kya jawab diya hai lagta Sawal sahi say parha nahin aap nay :-s

                            aur jahaaan tak meray aur sawalo'n ki baat hai tu zaroor kyun nahin aur bhi Sawal main karo'n gi :)

                            anywayz khush rahyeah :rose
                            Zindagi Thak Gaye ..!!

                            Comment

                            • #44
                              Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                              3) Sahi daulat kisey mantey ho ? Paisa ? Mohabbat ? yaa kuch aur ?

                              Baap bada na bhaiya sabse bada rupaiya,

                              Abba maange paisa, Amma maange paisa
                              Biwi maange paisa, Bachha maange paisa.

                              Issa peer naa Moosa peer,
                              Sabse bada hai Paisa peer

                              Goya Khuda ke raah mein bhi paisa chahiye

                              Paisa sab se badi cheez hai, agar aap ke paas paisa hai to maan hai, baap hai, biwi hain, bachhey hain, bhai bahan dost ahbaab sabhi hain, Paisa se bahut kuchh kharida ja sakta hai, imaan, mazhab, Paisa hai to muhabbat bhi hai, paisa hai to log khuda ko yaad bhi karte hain, yaani paisa hai to ibaadat bhi hai. Paise ke aage kuchh nahin.

                              Aap kay is baat say main Agree nahin karti :) Paisa Bunyadi Zaroorat zaroor hai maghar Paisay say MOHABBAT nahin khareed nahin sakhtay main Paisay ki Ahmiyat say inqaar karti maghar Paisa SAB khuch bhi nahin hai :) aur sab say bari Baat aap nay Maa Baap ki ki Maa Baap khabi bhi Paisay ki waja say aap say Pyaar aap ka sath nahin detay :) Maa Baap appni Ulad say bagair kissi Silay kay pyaar kartay hain Paisay kay liyeah khabi nahin :)

                              khush rahyeah :rose
                              Zindagi Thak Gaye ..!!

                              Comment

                              • #45
                                Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                                Originally posted by Spy009
                                Walekum Salam wa rahamtullah wa barkatahu

                                Paa ji, aap ke inn sawalon ke jawabat diye jayenge, pehle Khawahish sahiba ka episode khatm ho jayen, phir
                                Theek hey janab

                                Comment

                                Working...
                                X