Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~* Spy009 *~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

    mera yeh sawal hay k aap k interview kab khatam huga??
    jokinggg


    aap ny tamam sawalat k jawabat buhat achy diy hain.
    buhat maza aaya hay read ker k
    ALLAH ap ko khush rakhy
    sada muskaraty rahoo
    takee care

    Comment


    • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

      Originally posted by Spy009
      bas kuch yehi sawalaat they kiun keh mein ne india nahin dekha bad jitna bhi janti hoon media ke zaerye hi khaber rehti hai keh wahan kiya ho raha hai...:)

      1.....INdia mein Gujrat waghera mein musalmanon per humley hotey rehtey hain...tu kiya aap samajhtey hain keh aaj bhi musalmanon ki jane gher mehfoz nahin?.... India mein rehtey howe kiya musalmanon ka future mehfooz hai?

      Jee future mehfooz to hai lekin agar musalman future ko sochey tab to, Gujarat mein jo kuchh bhi huwa, wo wahan ki bani banayi saazish thi, Ahmedabad Forensic Report ke mutabiq 58 hindus ko koi musalman nahin jalaya, balke ussey hindu ne hi jalakar musalman ka naam diya aur danga ka wajah banaya, Hindustan mein kuchh farqe warana tabqat hain iske saath saath Politics partiyan bhi Musalmano ko nishana banati hain. Hindustan mein 28 crore ki abaadi hai, agar 100 IAS (Indian Administrative Service) officer recruit hotey hain to usme se 28 musalman hona chahiye lekin mushkil se 6-8 hi milenge jiska matlab musalman khood hi utna uper nahin uThna chahta.

      2....musalmanon ki taraqqi ki rah mein rukawat tu nahin kiya yeh such nahin keh indian muslim behtreen mulazmat(jobs) ke liye baher ke mumalik ka rukh kerte hain?

      Aisi baat nahin Government sector se lekar Public sector mein musalman mulazim bhare pade hain, har saal hazaron musalman Urdu, Arabic, Persian, ke khidmat ke liye job mein jaa rahe hain, but higher level job mein bahut kam hian, lekin Public and Private sectors mein kaafi ta'adad hai, haan discrimination to hai but kuchh jaghon mein, job lene ke liye apni bhi qabiliyat honi chahiye.
      Abroad jaa rahey hain lekin musalman hi nahin, ghair musalman bhi ja rahe hain, kyon ke job option kam hota ja raha hai, competition badh gaya, candidates badh gaye.

      bas kuch yehi sawalaat they kiun keh mein ne india nahin dekha bad jitna bhi janti hoon media ke zaerye hi khaber rehti hai keh wahan kiya ho raha hai...



      You are welcome to see India , aap iss bhai ke ghar tashreef layen...





      bahut shukriya Aap ke jawabaat ka aur itne khalos ka...meri Dua hai aap jahan rahen khush aur Allah ki hifazat mein rahen ...Ameen:)

      Comment


      • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

        Originally posted by khl
        mera yeh sawal hay k aap k interview kab khatam huga??
        jokinggg


        aap ny tamam sawalat k jawabat buhat achy diy hain.
        buhat maza aaya hay read ker k
        ALLAH ap ko khush rakhy
        sada muskaraty rahoo
        takee care
        mera yeh sawal hay k aap k interview kab khatam huga??
        jokinggg
        Yeh aap interviewer se hi poochhen

        aap ny tamam sawalat k jawabat buhat achy diy hain.
        buhat maza aaya hay read ker k
        ALLAH ap ko khush rakhy
        sada muskaraty rahoo
        takee care
        Shukriya
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

          Originally posted by Ambreen
          bahut shukriya Aap ke jawabaat ka aur itne khalos ka...meri Dua hai aap jahan rahen khush aur Allah ki hifazat mein rahen ...Ameen:)
          Bahut shukriya Ambreen Sister:rose
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

            i was kidding aap apna interview jari rakhy
            take care

            Comment


            • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

              Asslam O Alaikum once again :) last session from my side

              1) Do u smoke ? if yes then why ? if NO then why not ?

              2) har kisi per kuch hee waqt main aetbar kertey ho ? yaa waqt darkar hey ? agar haan to kyun aur agar na to kyun ?

              3) Tum ney apney kisi sawal key jawab main kaha Seerat ko tarjeeh do gey bajaye soorat key ..!! Kasee adaton ko seerat mano gey ? (mukhalif sinf ki baat kar raha hoon )

              4) Khud per kitna bharosa hey ? aur ye self confidence kahan kahan kaam aya ? koi do misalein

              5) Zindagi key kis pehlu sey dar lagta hey aur us sey bhagtey ho ?

              Comment


              • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                5. Kia duniya mein NEUCLEAR POWER hona zaroori hey? Kisi bhi mulk ko dekh lein wo apnay difah k liye billions k hisab se kharch kertay hein jub k unn ki awaam aik waqt ki roti k tarasti hey,apnay comments dein iss baray mein k aisa hona chahiye k nhi ?


                Spyoo9 aap ne swalaat k jwabat diye, aap k waqt nikalnay k liye shukriya, mugar swal #5 k jwab se mein mutmaeen nhi hoon, kia aap nhi samjhtay k INDIA aur PAKISTAN ki awaam jin halaat ka shikar hey, woh difahi akhraajat mein kuch kami ker k unn ko behtar zindagi de saktay hein?

                Comment


                • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                  Originally posted by WorThless
                  Asslam O Alaikum once again :) last session from my side

                  1) Do u smoke ? if yes then why ? if NO then why not ?

                  2) har kisi per kuch hee waqt main aetbar kertey ho ? yaa waqt darkar hey ? agar haan to kyun aur agar na to kyun ?

                  3) Tum ney apney kisi sawal key jawab main kaha Seerat ko tarjeeh do gey bajaye soorat key ..!! Kasee adaton ko seerat mano gey ? (mukhalif sinf ki baat kar raha hoon )

                  4) Khud per kitna bharosa hey ? aur ye self confidence kahan kahan kaam aya ? koi do misalein

                  5) Zindagi key kis pehlu sey dar lagta hey aur us sey bhagtey ho ?
                  Asslam O Alaikum once again :) last session from my side
                  Walekum Salam Paaji, and most welcome

                  1) Do u smoke ? if yes then why ? if NO then why not ?
                  No, someone said when you smoke slowly robbing yourself, cigarette peeney ki aadat nahin hai, not only this I hate those young people who smoke, main samajhta hoon ke cigarette wahi log pitey hain jinke paas zaroorat se zyadah paisa hai, suppose ke koi banda daily ek packet cigarette pee raha ho, to samjhiyie ke uske paas Rs. 20 zyadah hai, wo Rs. 20 uske admdani se deduct hona chahiye. Cigarettes should be heavily taxed. Heavy penalties or fines should be assessed for smoking in public places, tell me is it fair for the smoker to pollute the environment for other peoples.



                  http://english.sh.com/forum/expert/thread.jsp?forum=47&thread=2492

                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                    Originally posted by WorThless
                    Asslam O Alaikum once again :) last session from my side

                    1) Do u smoke ? if yes then why ? if NO then why not ?

                    2) har kisi per kuch hee waqt main aetbar kertey ho ? yaa waqt darkar hey ? agar haan to kyun aur agar na to kyun ?

                    3) Tum ney apney kisi sawal key jawab main kaha Seerat ko tarjeeh do gey bajaye soorat key ..!! Kasee adaton ko seerat mano gey ? (mukhalif sinf ki baat kar raha hoon )

                    4) Khud per kitna bharosa hey ? aur ye self confidence kahan kahan kaam aya ? koi do misalein

                    5) Zindagi key kis pehlu sey dar lagta hey aur us sey bhagtey ho ?
                    2) har kisi per kuch hee waqt main aetbar kertey ho ? yaa waqt darkar hey ? agar haan to kyun aur agar na to kyun ?
                    Nahin janab, bandey ko thodi waqt mein pehchan zaroor leta hoon, but etbaar nahin karta, kabhi zaroorat hi nahin padi to kyon aetbaar karoon

                    3) Tum ney apney kisi sawal key jawab main kaha Seerat ko tarjeeh do gey bajaye soorat key ..!! Kasee adaton ko seerat mano gey ? (mukhalif sinf ki baat kar raha hoon )
                    Insaan ki internal merits, unki achhi adateyn, achhey behaves, unka achha mijaz, loving nature, understanding power, saaf dil hi unke internal character ko batata hai aur yehi tamam tar khoobiyan hi unki seerat e kashish hai jo jo baahri chehre se kayi darja khoobsurat hai.


                    4) Khud per kitna bharosa hey ? aur ye self confidence kahan kahan kaam aya ? koi do misalein
                    Beyond to nahin kah sakta, ek limit tak self confidence hai, mera internal 6th sense mera madadgar hota hai, mera 6th sense kahta hai ke yeh kaam kar loge then I do, misalein kya doon, mujhe koi chiz yaad nahin hai, education and job ke field mein self confidence kaam aaya hai.


                    5) Zindagi key kis pehlu sey dar lagta hey aur us sey bhagtey ho?
                    Apni zindagi se nahin, death is a certain, jo paida huwa ussey marna hai, lekin jab apne ghar ka koi shakhs beemar ho jaata hai to mujhe bahut darr lagta hai, ghabrahat si hoti hai
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment


                    • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                      Originally posted by Muskan
                      Spyoo9 aap ne swalaat k jwabat diye, aap k waqt nikalnay k liye shukriya, mugar swal #5 k jwab se mein mutmaeen nhi hoon, kia aap nhi samjhtay k INDIA aur PAKISTAN ki awaam jin halaat ka shikar hey, woh difahi akhraajat mein kuch kami ker k unn ko behtar zindagi de saktay hein?


                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment


                      • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                        Aa ka interview perha mai ny bohaaaaaaat achaa diyay han aap sy sab sawalon ky jawab :)
                        mai to poch he nahe sake :( so perh ker he guzara ker liya ab ..:eye:

                        Comment


                        • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                          Originally posted by aik_lerki
                          Aa ka interview perha mai ny bohaaaaaaat achaa diyay han aap sy sab sawalon ky jawab :)
                          mai to poch he nahe sake :( so perh ker he guzara ker liya ab ..:eye:
                          Shukriya Komal

                          Jis waqt mera interview chal raha tha uss waqt aap ki ghair haazri ka wajah sab ko pata hai, ham sab membran aap ko really bahut miss kar rahey thay.

                          Khair aap aa gayi hain, aap sawal bila jhijhak poochh sakti hain.
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment


                          • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                            Kya main kuch pooch loon ab ???
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                              Originally posted by Saima Shaheen
                              Kya main kuch pooch loon ab ???
                              Maine kab roka, zaroor phoochheyie
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment


                              • Re: In The Spotlight ~* Spy009 *~

                                Aap ke is interview main bhi aur chand ek dosri post mei main ne notice kiya , ap ka man'na hai paisa hai to her rishta hai .......

                                Aap ko nahi lagta paisey se jo rishtey hain ager paisa na ho to yeh rishtey bhi nahi rahein gai. To phir kya faida aisey rishto'n ka jo paisey ke sath banein, is se acha nahi insan ke pass paisa na ho takey ousey wahi rishtey milein jo sachey hain.
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X