Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    yaa Khudaa ab ke ye kis rang se aaii hai bahaar
    zard hii zard hai peron pe haraa kuchh bhii nahiin


    Comment


    • #77
      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

      jo sajda-e-shukr meN jhukaa hai, haNso na uss faaqaa-kash gadaa par
      Khuda-n-karda yah waqt aaye ki baNdagii taNz ho Khuda par

      jamiil mazhari


      Comment


      • #78
        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

        Ab banayaa hai use apnaa khuda
        Sau dafaa jis ki shiqayat kar chuke


        Comment


        • #79
          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

          tum bhii naam-e-Khudaa ho mashq-e-zulm-o-jor ho
          aasmaaN se mashvaraa kar lo jafaa ke vaaste


          Comment


          • #80
            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

            aa merii kaayenaat-e-dil ! merii bahaar-e-ziNdagii
            aa ki maiN yah na kah sakooN ''mujhko Khuda na mil sakaa''

            ''Bahzad'' lucknavi


            Comment


            • #81
              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

              Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?
              Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai?


              Comment


              • #82
                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                Khudii ko kar buland itanaa ki har taqdiir se pahale
                Khudaa bande se Khud puuchhe bataa terii razaa


                Comment


                • #83
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                  khudawand yeh teray sada dil banday kidher jayee
                  kay derwaishi bhi ayari hai sultani bhi ayari


                  Comment


                  • #84
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                    hum ussey yaad na rakhain tu ghunahgar banney
                    woh hamain bhool bhee jayee tu khuda hota hain


                    Comment


                    • #85
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                      Ye roz-marraa ke kuch vaaqeaat-e-shaadii va gham
                      Mere Khudaa yehii insaan kii zindagaanii hai

                      Abdul Hameed Adam


                      Comment


                      • #86
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                        Ae KHUDA is dil ko tu pathar ka kar de
                        Keh iss phool se dil ko logon ne sataaya boht hai


                        Comment


                        • #87
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                          Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
                          sukuu.N kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaaye
                          terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
                          terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye

                          (Faiz Ahmed Faiz )


                          Comment


                          • #88
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                            Yun Khuda ke liye chhiino naa mere hosh-o-havaas
                            Aisii nazaron se na dekho ke Khumaar aaa jaaye

                            Aziz Kashmiri


                            Comment


                            • #89
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                              Hairat hai tum ko dekh ke masjid men aye 'Khumar'
                              Kyaa baat ho gaii jo Khudaa yaad aaa gayaa

                              Khumar barabankvi


                              Comment


                              • #90
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                                wo Lamha e Nazool e qyamat Sahii Magar
                                Eik in to Aaye Mera KHUDA Meray Saamney


                                Comment

                                Working...
                                X