Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    kyaa jabr hai ke but ko bhii kahna paRhe khudaa
    voh hai khudaa to mere khudaa tujh ko kia kahooN ?


    Comment


    • #47
      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

      manzil kabhii bhii pyaar kii tujh ko na mil sake
      tuu bhii duaa ko haath uThaaye Khudaa kare


      Comment


      • #48
        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

        terii aaNkhoN meN hamane kyaa dekhaa
        kabhii qaatil, kabhii Khudaa dekhaa

        Sudarshan ''faaqir''


        Comment


        • #49
          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

          Lout Aati Hai Meri Shabb Ki Ibadat Khaali
          Janay Kis Arsh Pay Rehta Hai Khuda Shaam Kay Bad


          Comment


          • #50
            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

            kah diyaa main ne haal-e-dil apanaa
            is ko tum jaano yaa Khudaa jaane


            Comment


            • #51
              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

              ai Khuda dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
              aab-o-daana naheeN ke tujh se kaheN


              Comment


              • #52
                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                daavar ke saamne but-e-qaafir ko kyaa kahooN ?
                dono kee shakl ek hai kisko khudaa kahoon ?
                maaro bhII tum jilaao bhII tum, tumko kyaa kahoon ?
                tumko khudaa kahoon yaa khudaa ko khudaa kahoon ?


                Comment


                • #53
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                  1. na tha kuchch tho KHuda tha, kuchch na hotha tho KHuda hota
                  duboya mujhko hone ne, na hota maiN tho kya hota ?


                  Comment


                  • #54
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                    2. huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke katne ka
                    na hota gar juda tan se tho zaanooN par dhaRa hota


                    Comment


                    • #55
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                      3. huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
                      wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?


                      Comment


                      • #56
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                        miTaa do shauq se mujhako magar kahiin tumase
                        zamaanaa merii tabaahii kaa intaqaam na le


                        Comment


                        • #57
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                          Har Kisi Se Zyada, Bus Khuda Se Kum
                          Hamain Itni Muhabbat Hai Tumse Sanam
                          Ab Chahe Parain Ishq Main Jitne Sitam
                          Tumhe Paana Hai Chaahe Jitne Ho Ghum
                          Labon Ne Na Bola, Par Is Jahan Ki Kasam
                          Agar Hota Jayaz, Pujte Tum Ko Hum


                          Comment


                          • #58
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                            zara kah do ye jaa kar, aabidaan-e-be-amal se
                            Khuda uktaa gayaa hai ab, tumhaari bandagii se


                            Comment


                            • #59
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                              Khudaa wo waqt na laaye ki sogawaar ho tuu
                              sukuun kii niind tujhe bhii haraam ho jaaye
                              terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
                              terii hayaat tujhe talkh jaam ho jaaye

                              Faiz Ahmed Faiz


                              Comment


                              • #60
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                                yaad-e-Khuda ka waqt bhii aayega koii ya nahiiN ?
                                yaad-e-gunaah kab talak shaam-o-sahar namaaz meN ?

                                ''yaas'' yagaana


                                Comment

                                Working...
                                X