Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    Khuda hum ko aisii khudaaii na de
    ke apne siwa kuchh dikhaaii na de

    Bashiir badr


    Comment


    • #17
      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

      gawaahii kaise TooTti, mu'amla Khuda ka thaa
      mera aour uss ka rabtaa to haath aur dua ka thaa

      Parveen shakir


      Comment


      • #18
        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

        baaten bhii kii Khudaa ne dikhaayaa jamaal bhii
        vallaah kyaa nasiib janaab-e-kaliim thaa


        Comment


        • #19
          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

          Khudaa k fazl se biibii-miyaaN donoN muhazzab haiN
          hijaab un ko nahiiN aataa, unheN ghussa nahiiN aataa :D

          ''Akbar'' allahbadi


          Comment


          • #20
            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

            ai Khuda ret ke saharaa ko samandar kar de
            yaa chhalakatii aankhon ko bhii patthar kar de


            Comment


            • #21
              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

              zamaana Khuda ko Khuda jaantaa hai
              yahii jaantaa hai to kyaa jaantaa hai

              Khuda aise baNdoN se kyoN fir na jaaye
              jo baiTha huaa maaNganaa jaantaa hai

              yagaana chaNgezii


              Comment


              • #22
                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                achchhaa yaqiin nahiin hai to kashtii Dubo ke dekh
                ek tuu hii naaKhudaa nahiin zaalim, Khudaa bhii hai


                Comment


                • #23
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                  naaKhudaa ko Khudaa kahaa hai to phir
                  Doob jaao ! "Khudaa-Khudaa" na karo


                  Comment


                  • #24
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                    na tha kuch to khuda tha' kuch na hota to khuda hota
                    daboya mujh ko hone ne 'na hota maiN to kiya hota...?

                    asad ullah khaN ghaalib


                    Comment


                    • #25
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                      Ham to chalate hain lo khudaa haafiz
                      But-kadaa ke buton khudaa haafiz

                      Kar chuke tum nasiihaten ham ko
                      Jaao bas naaseho khudaa haafiz

                      Aaj kuchh aur tarah par unn kii
                      Sunate hain guftaguu khudaa haafiz

                      Bar yahii hai hameshaa zakhm pe zakhm
                      Dil ke chaaraagaron khudaa haafiz

                      Aaj hai kuchh ziyaadaa betaabii
                      Dil-e-betaab ko khudaa haafiz

                      Kyon hifaazat ham aur kii dhuundhen
                      Har nafas jab ki hai khudaa haafiz

                      Chaahe rukhsat ho raah-e-ishq men aql
                      Aye "zafar" jaane do khudaa haafiz


                      Bahadur Shah Zafar


                      Comment


                      • #26
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                        zindagi apni jab is shakl se guzri Ghalib,
                        hum bhi kya yaad karenge kih khuda rakhte thai


                        Comment


                        • #27
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                          har zarraa chamakta hai anvaar-e-Ilaahi se
                          har saaNs ye kehti hai ham haiN to Khuda bhi hai

                          ''akabar'' allahabadi


                          Comment


                          • #28
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                            Saadiq hon apney qaul mein Ghalib Khuda gawah
                            kehta hon sach ke jhoot ki aadat nahi mujhe


                            Comment


                            • #29
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                              ai khuda log banaye the agar patthar ke
                              mere ehsaas ko shiisha na banaaya hota


                              Comment


                              • #30
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                                mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de
                                tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke


                                Comment

                                Working...
                                X