Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    aaiye dosto iss maah se nayaa lafz diyaa jaa rahaa hai aour us par aap sab naye-naye ash'aar pesh kar iss ''thred'' ki raunakeN baRhayeiN.....lafz hai...

    Khudaa

    aour merii janib se aap sab ki nazr ye sher haazir hai...


    khudaa ke vaaste daad is junooN-e-shauq ki denaa
    ke us ke dar pe pahuNchte haiN, naama-bar se ham aage


    <



  • #2
    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    khudaa hamko aisi khudaai naa de,
    ki apane sivaa kuchh dikhaaii naa de...


    Comment


    • #3
      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

      ai Khudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhi sun le
      Khoogar-e-hamd se thoRhaa sa gilaa bhi sun le


      Comment


      • #4
        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

        ae khuda rait k sehra ko samandar kar de
        ya chalakte howe aankhooN ko bhi patharr kar de

        tum ko daikha nahi mehsoos kiya hai maiN ne
        aa kisi din mere aehsaas ko yaqeeN kar de


        Comment


        • #5
          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

          Khuda jaane kahaaN hai ''Asghar"-e-diivaana barsoN se
          ki usko DhooNDhte haiN Kaaba-o-but-Khaana barsoN se

          ''Asghar'' goNDavi


          Comment


          • #6
            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

            manzilaiN bhi uski theeN 'raasta bhi uska tha
            ek maiN aklei thi 'qaafla bhi uska tha
            saath saath chalne ki soch bhi uski thi
            raasta badalne ka faisla bhi uska tha
            aaj maiN akeli hooN to dil sawaal karta hai
            log to us k the kiya khuda bhi uska tha....?


            Comment


            • #7
              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

              khudaa-e-bartar terii zamii.n par, zamii.n kii khaatir ye ja.ng kyo.n hai
              har ek fatah-o-zafar ke daaman pe khUn-e-iinsaa.n kaa ra.ng kyo.n hai.....
              Sahir Ludhianvi....


              Comment


              • #8
                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                Nikal kar dair-o-kaabaa se agar miltaa na mai-khaanaa
                To thukaraaye hue insaan khudaa jaane kahaan jaatey

                Qateel Shifai


                Comment


                • #9
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                  haan vo nahiin Khudaaparast, jaao vo bevafaa sahii
                  jisako ho diin-o-dil aziiz, usakii galii mein jaaye kyuun


                  Comment


                  • #10
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                    kaabe me.n jaa.N_balab the ham duurii-e-butaa.N se
                    aaye hai.n phir ke yaaro.n ab ke Khudaa ke yaa.N se


                    Comment


                    • #11
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                      Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
                      sukuun kii niind tujhe bhii haraam ho jaaye
                      terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
                      terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye


                      Comment


                      • #12
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                        Khuda nasiib kare un ko daaimi khushiyaaN
                        ''adam'' jo log hameiN be-qaraar rakhte haiN


                        Comment


                        • #13
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                          Pathar ke khuda patahar ke sanam
                          pathar ke hi insaan paaye hain

                          tuum shehr e mohabat kehte thea
                          hum jaan bacha kar aaye hain


                          Comment


                          • #14
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                            Khudaa kare ki muhabbat me.n vo mukaam aaye
                            kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye


                            Comment


                            • #15
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                              NahiN milte na miliye khair koi mar na jaayega
                              Khuda ka shukra hai pahle mohabbat aapne kam ki


                              Comment

                              Working...
                              X