Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar
    hamane nahii.n kiyaa vo kaam haa.N baa-Khudaa nahii.n kiyaa....
    joun Eliya...


    Comment


    • #32
      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

      aagahee meiN ik khalaa maujood hai
      is ka matlab hai, Khudaa maujood hai


      Comment


      • #33
        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

        Bara sada ha tu or shehr bara ha ayar
        Khuda kara k tuja shehr ki hawa na laga


        Comment


        • #34
          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

          yaa Khuda ab ke kis raNg meiN aayii hai bahaar
          zard hi zard hai peRhoN par haraa kuchh bhii nahiiN


          Comment


          • #35
            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

            kar chuke tum nasiihaten ham ko
            jaao bas naaseho Khudaa haafiz


            Comment


            • #36
              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

              na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
              duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
              huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
              na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hot
              huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
              wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?


              Comment


              • #37
                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                mire khudaa mujhe itnaa to motabar kar de
                maiN jis makaaN meiN rahta hooN us ko ghar kar de


                Comment


                • #38
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                  Na Shehar Dekho Na Biyabaan Dekho,
                  Khuda ka Iklauta Naam-o-Nishaan Dekho,
                  Bas aankh uthaao,
                  Aur Rehan Dekho.


                  Comment


                  • #39
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                    E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
                    Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
                    Bahut Dukh Sahe He Maine,
                    Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
                    Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
                    Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
                    Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
                    Use Utna Kareeb Karde.
                    Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
                    To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.


                    Comment


                    • #40
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                      Madine Jaa Ke Nikalna Na Shehr Se Bahar
                      Khuda Na Khasta Ye Zindagi Wafa Na Kare

                      Khuda Ka Zikar Keray Aur Zikar-e-Mustafa (Sallaallahu ;Alaihi Wa sallam) Na Kare
                      Hamare Muu Me Ho Aisi Zubaan Khuda Na Kare

                      Kami Ho Ishq-e-Nabi Me Kabi (Sallaallahu Alaihi Wa sallam) Khuda Na Kare!


                      Comment


                      • #41
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                        Samait le tera dil her khushi zamane ki
                        Khuda kare yeh khushi tujh ko bar bar mile


                        Comment


                        • #42
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                          ham ne dekhaa hai kaii aise khudaaoN ko yahaaN
                          saamne jin ke vo sach-much ka Khuda kuchh bhi nahiiN


                          Comment


                          • #43
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                            Khuda hum ko aisey khudai na dey
                            Ke apney siwa kuch dekhai na dey

                            Hanso aaj itna ke iss shor mein
                            Sada siskion ke sunai na dey

                            Khata war samjhey gi dunya tujhey
                            Ab itni zaida safai na de

                            Khuda aisey ehsas ka naam hai
                            Rehay samney aur dekhai na dey

                            Ke apney siwa kuch dekhai na dey
                            Khuda hum ko aisey khudai na de


                            Comment


                            • #44
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                              Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe
                              Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale


                              Comment


                              • #45
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                                Har zarraa chamak taa hai anavaar-e-ilaahii sey
                                Har saans ye kehatii hai ham hain to Khuda bhii hai

                                Akbar Allahabadi


                                Comment

                                Working...
                                X