Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    Wo Janta Hai K Tu Uss k Muqaddar Main Nahin
    Phir bhi Har Roz Tujhe Yaad Kiya Karta Hai,,

    Kuch Nahin Mangta RAB Say Kabhi Kuch Apne Liye,
    Teri Khushiyon Ki Dua Mang Liya Karta Hai,,


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

      dair-o-haram ko dekhaa, Allaah re fizoolii
      ye kya zaroor thaa jab dil sa makaaN banaaya

      Mirza ''Sauda


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

        tasavor-e-ishrat-e-guzishta ka husn-e-taasiir Allah Allah
        wo hi fizayeN, wo hi hawayeN chaman sy kuch kam qafas nahin hy


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

          ai khuda rait kay sehraa ko samnunder ker day
          yaa chhalakti ankhoo koo bhii pather ker day


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

            hairat hai tum ko dekh ke masjid meN ai 'Khumar'
            kyaa baat ho ga_ii jo Khudaa yaad aa gayaa


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

              ik dil-nashin nigha mein Allah ye khalish
              nashtar ki nok jesy kalejey mein toot jaye


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                Khuda ka ghar banaanaa hai to naqsha le kisii dil ka
                ye deevaaroN kii tajveez hai, zaahid ye chhat kaisii


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                  anokhi waza hy sarey zmaney sy niraley hein
                  ye ashiq konsi basti ky ya RAB rehny waley hein


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                    ziNdagii beshak teraa in'aam hai ya_rab ! magar
                    sun sake to kuchh tere in'aam kii baateiN kareiN

                    PT. Harichand ''AKhtar''


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                      meri aaheN narasa, meri duaeN na_qabole
                      ya Illahi kya kron mein sharm-saar-e-intezar


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                        Meri duaon ka asar tha ya duniya ki fikar thi
                        Jaane kya soch kar KHUDA ne tujhe zameen pe utara

                        My friend's........


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                          Woh mujh se huey hamkalaam, Allah Allah
                          kahaaN maiN aur kahaaN ye muqaam, Allah Allah


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                            Allah re jism-e-yaar ki Khoobee ke Khud baKhud
                            RaNgeenyoN meiN Doob gaya pairahan tamaam


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                              MahkaiN terey aariz ke gulaab aur zeyaadah
                              Chhalkey tery aaNkhoN se sharaab aur zeyaadah
                              Allah karey zoar-e-shaab aur zeyaadah


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                                'Qamar' jaatey haiN maiKhaaney ko, tasbeeh paRhtey jaatey haiN
                                Koyee daikhey to samjhey yeh baRey Allaah waaley haiN


                                Comment

                                Working...
                                X