Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

    Allah-ry iss chashm-e-anayat ka jaado
    ta-umr rha husn-e-mulaqat ka jaado
    aata ho jisey rasm-e-muhabbat ka wazifa
    chalta nahin uss pr gham-e-halat ka jaado


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

      yaa rab! Gam-e-hijraaN mein itanaa to kiyaa hotaa
      jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa
      Hasrat


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

        Aany ka keh gaye thy na aayin khuda kary
        Kya lutff aa rhaa hy hamyn intzaar myn


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

          ay RUB-E-SERWAR khuta ka hon ghar,rehm ho mujh per ba roz-e-mehshar,
          meri Qayamat shadeed hogi, gunah mery giny gaey jo.


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

            aap mehfil mein nazr aye Khuda khair krey
            khair ki koi khabar aye Khuda khair krey
            karwaN ruk to gya aap ki khatir mgr aap
            yoNhi gum-sum sy nazar aye Khuda khair krey


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

              Sabet es sy bhi hota hy Khuda ka hona
              Shiddat'e'dard myn hontoon py dua ka hona


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                khush rhey ya Khuda! wo jis ny mujhy
                rooney waloN mein by-misal kya


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                  Is dil'e'tang myn kis kis ko jaga doon da Rab?
                  Gham rahy, dam rahy, fariyaad rahy, yaad rahy?.


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                    Saleeka he nahi shayad usy mehsus krny ky
                    jo kehta hy khuda hy to nazar aana zruri hy


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                      apny hi khoon ka piyasa hy ibn-e-adam ab to,
                      aesy aadam ko banaya aey khudaya kis ny?.
                      miskeen.


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                        Khuda k wasty parda na kaaby sy utha zalim..
                        Kahen aisa na ho yaan bhi wohi kafir sanam nikly..


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                          Ye meri umer mery maah'o'saal dy us ko
                          Mery khuda mery dukh sy nikaal dy us ko


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                            men mehr-e-wafa ka goobar hon,men faqeer dil ki pukar hon,
                            kahin bikher na jaon ay khuda mujy daman-e-yar mn daal dy.

                            syed aijaz ali aijaz.


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                              Kabhi to aisi rut bhi bhej mosamon k Khuda.
                              K mere ghar ka pta bhul jae tanhai.


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ► ALLAH,RAB, MAULA,KHUDA ◄ ho

                                Kis kis ki khudayi ki shikayat karen ya Rab.
                                Har mor pe kuch log khuda ban k khare hen.


                                Comment

                                Working...
                                X