Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    kisi sey laga key dil dekho keh dil ki lagi kya hai
    jo meri halaat peh hanstey ho tum keh be'kali kya hai
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Dil e nadaan ajab justuju mai hai
      Tum say phir shoq e guftugu ma hai
      Juda khud say keron to kaisay keron
      Teri chahat to meri gardish e lahu ma hai

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          us key dil per bhi karri ishq mein guzri ho gi
          naam jis ney bhi muhabbat ka saza rakha hai
          ab merey deed ki duniya bhi tamashaii hai
          tu ney kya mujh ko muhabbat mein bana rakha hai
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Last edited by Nareem; 7 October 2011, 00:18.

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              umer jalwoun mein basar ho yeh zaroori to nahin
              har shab-e-gham ki sehar ho yeh zaroori to nahin
              chashm-e-saaqi sey piyo ya lab-e-saagar sey piyo
              bekhudi aathon pehar ho yeh zaroori to nahin
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r


                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Taaza hawa kay shouq mai aay sakinan e shahar
                  itnay na dar banao kay deevar gir paraay

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    Uljhan tamaam umr ye taar-e-nafas mein thi
                    Dil ki murad aashiqi, ya hawas mein thi

                    Dar tha khulaa, pe baiThay rahy parr samet kar
                    Kartay hee kya ke jaa-e-amaan hee qafas mein thi

                    Saktay mein sab chiragh thay, taaray thy dam ba khud
                    Main us k ikhtiyaar mein, Wo meray bass mein thii

                    Ab ke bhi hay,jami hueey, aankhon k saamnay
                    Khwabon ki ek dhuund jo pichlay baras mein thi

                    kal shab toh uski bazm mei aesa laga mujhay!!
                    Jaissay keh qa'enaat meri das-taras mein thi

                    Mehfil meni aasma'n ki, bolay keh chup rahay
                    'Amjad' sada zameen isi pesh-o-pas mein thi

                    AMJAD ISLAM AMJAD
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      Eshaa Bibi tumhein aik muddat baad is thread mein dekh ker bohat achha laga...

                      Yeh shair tumharey naam:

                      Main tera naam na loon phir bhi log pehchaanein
                      keh aap apna ta'aruq hawa bahar ki hai
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        Mit jaye yay doori ager tum chaho
                        Na ho koi majboori ager tum chaho
                        Waisay to humay chahny valy aur bohat
                        Meri ha yay husrat mujhy sirf tum chaho

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          woh paas aye to mozu e guftugu na mile
                          woh lout jaye to tamam guftugu ussi se rahe

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            Tujh sey chahey ab koi waasta nahi laikin,
                            Tere hissay ka waqt ab bhi tanha guzarta hai,

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              very nice sher..
                              @
                              woh kehin bhi rahe sir pe uss ke ilzaam to hai
                              uss ke haathon ki lakeerin main mera naam to hai

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                Khubsorat shair,

                                @

                                Chaha us ko dil ki gehraaiiyon ke saath,
                                Zinda hun apni rooh ki tanhaiiyon ke saath,
                                Rooka nahi us ko bichartay waqt
                                Apni wafa pe naaz tha sachaiiyon ke saath,

                                Comment

                                Working...
                                X