Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    Jalain hain dono kise aag main tu roushan hain
    usay charaagh na samjho,mujhay diya na kaho
    bichar gaya hai tu kia ab bhe meray saath hai wo
    kabhi na saath chala jo usay juda na kaho
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Bdal liya hai mujhay us ne pe'rahan ki tarha
      wo aadmi tha hamesha se khush-mizaaj bohat
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        rasam e ulfat hi ijazat nae deti warna
        hum tumain esa bhoolian k sada yaad kro
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          toofan barray gharoor se lalkaarta raha
          kashti barray nayaz se zid par arri rahi
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            Hum se tu bohat aur bhe mil jaaen gain tumko
            hai baat bas itni se k nayaab ye dil hai
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              Dukh pohancta hai bohat dil ko raviiye se teray
              aur madawa teray alfaaz nahi kar saktay
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                Wo ek baat bohat talkh kahi thi us ne
                baat tu yaad nahi,yaad hai lehja us ka
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Mujhay wafa ki talab hai magar har ek se nahi
                  koe milay magar us yaar-e-be-wafa ki tarha
                  aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                  kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    ye tumhari talkh-nawaiyan koe aur seh k dikhaey tu
                    ye jo hum main tum main nibah hai meray houslay ka kamaal hai
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      Palat kar aankh num karna mujhay har giz nahi aata
                      gaaey lamhoun ka ghum karna mujhay har giz nahi aata
                      muhabbat ho tu be-had ho,jo nafrat ho tu be-payan
                      koe bhe kaam kam karna mujhay har giz nahi aata
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        تیری آس تھی تو تو ملا نہین
                        میری جان تجھ سے گلہ نہیں
                        تیرے دل میں رہا جو دیر تک
                        وہ شخص اتنا برا نہیں
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          Mere aa'maal-e-siyah ne kiya jeena doobhar
                          Zehr khata tere irshaad ne khaaney na diya

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            خونِ احساس کو موجوں کی روانی سمجھے
                            اشکِ گل رنگ تھے وہ ہم جنہیں پانی سمجھے
                            کون کرتا ہے خرابوں میں دفینوں کی تلاش
                            کس کو فرصت ہے جو زخموں کے معانی سمجھے
                            Last edited by Gul; 3 March 2009, 22:35.

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              sakoot-e-shaam-e-khizaan hai qareeb aa jao
                              barra udaas samaan hai qareeb aa jao
                              na tum ko khud peh bharosa na ham ko zom-e-wafa
                              na aetbar-e-jahaan hai qareeb aa jao
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                ہوا جب زرد پتوں کوجدا شاخوں سے کرتی ہے

                                تو ہمیں تم سے بچھڑ جانا بہت ہی یاد آتا ہے
                                Last edited by WASI ANJUM; 6 March 2009, 19:08.
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X