Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    wohi jhuki hui bailein wohi dareecha tha
    magar woh phool'sa chehra nazar na aata tha
    main laut aaya hoon khamoshiyon key sehra sey
    wahan bhi teri sada ka ghubar phaila tha
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Mery tasavvur ka jahan aabaad ha tery khayaal say
      Kitna milta hai tera haal mery haaal say
      Hamaray ta'alluq ky baary ma kabhi fursat say sochna
      Uljha para ha ye masla kitnay hi saaaaal say

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        bas keh dushwaar hai har kaam ka aasan hona
        aadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona
        wa-e-deewangi-e-shauq keh har dam mujh ko
        aap jana udher aur aap hi hairaan hona
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          Mai batao farq nasih ! jo hai tujh mai aur mujh mai
          Mri zindagi talatum , teri zindagi kinaaraa
          Mujhy guftugo sy barh ker ghum e azn e guftugu hai
          Wohi baat pochtay ho jo na kah saakon dobaraa

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            bojh woh sar peh gira hai keh uthaaey na baney
            kaam woh aan parra hai keh banaaey na baney
            ishq per zor nahin hai yeh woh aatish Ghalib
            keh lagaey na lagey aur bujhaaey na baney
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              Taabeer jo mil jaati to aik khawaab bohat tha
              Jo shakhs ganwa baithay hain nayaab bohat tha
              Mai kaisay bacha laiti bhala kashti e dil ko
              Deryaa e Mohabbat ma sailaab bohaat thaa

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                mujh sey milney key woh karta tha bahaney kitney
                ab guzaarey ga merey saath zamanaey kitney
                main gira tha to bohat log rukey they lekin
                sochta hoon mujhey aaey they uthaaney kitney
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Hamaary paas kiya hai jo isay gharaat koi kerta
                  Tumhaary baad kiya hai jo darain barbad hony sy

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    main ney maani hazaar manatein radd na hui bala-e-dil
                    meri tarah Khuda karey tera kisi peh aaey dil
                    tu bhi jigar ko thaam key kehta phirey keh haaey dil
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      Mai on hi ki thi on hi ki hon
                      Vo mery nahi toi naa sahiii

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        ashkon ka bahana aasan hai hasti ka mitana mushkil hai
                        jo aag sulaghti hai seeney mein paani sey bujhana mushkil hai
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          Waqf hai zahan sirf tujhy soochnay ki khaatir
                          Tujhay bhooli hii kaha thi jo tujhay yaad keron

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            shauq sey ishq kijiyey ga lekin
                            dhiyaan itna magar kijyey ga
                            khaal khichti hai gardan kat'ti hai
                            ishq karna tamasha nahin hai
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              choone se qabal rang ke peikar pighal ge
                              mutthi main aa na paye ke jugnu nikal ge
                              pheiley huwe thay jagti neendon ke silsile
                              aankhein khulein to raat ke manzar badal ge

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                maktab-e-Ishq ka Momin hai nirala dastoor
                                usko chhuti na mili jis ko sabaq yaad huwa
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X