Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    Jhooti suchii tabeeron ki khawaahish main
    kaisay kaisay khawab bikharty jaaty hain
    Phir say toot kay roony ki rut aaai hai
    Pihr say diloon ky zakhm nikharty jaty hain

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      jo log jaan boojh key na'daan ban gaey
      mera khiyaal hai keh woh insaan ban gaey
      ham hashar mein gaey magar kuchh na poochiyey
      woh jaan boojh ker wahan anjaan ban gaey
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        Kaha tha kuch bhi na pocho gay ger milay to kabhi
        Ab milay ho to aankhon mai phir yay sawal kaisay
        Tumhaari yaad nay to sha'ir hi bana diya mujhay
        Bichar k tum say hoay yay hum say kamaal kaisay

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          hanste hanste ro pardti thi
          kitni pagal woh lardki thi
          uss ke honth to chup rehte they
          aankhon se batein karti thi

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            sunaaney ko bheerr hai sar-e-mehshar lagi hui
            tohmat tumharey ishq ki ham per lagi hui
            rindon key dam sey aatish-e-may key bghair bhi
            hai mai'kadey mein aag braber lagi hui
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              mila tha hijar ke raste main subha ki manind
              bichard gaya tha musafir se raat hone tak
              main uss ko bhoolna chahon to kiya karon akhir
              woh mujh main zinda hai meri zaat honey tak

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                Hum bhi shikasta dil pareshaan tum bhi ho
                Ander say raiza raiza meri jaan tum bhi ho
                Hum bhi hain aik ujray hoay shahar ki misaal
                Aaankhain bata rahe hain k veeran tum bhi ho

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Aey dost muhabbat key sadmey tanhaa hi uthaaney parrtey hain
                  rehbar to faqat is rastey mein do'gaam sahara deta hai
                  do naam hain sirf is duniya mein ik saaqi ka ik yazdaan ka
                  ik naam pareshaan karta hai, ik naam sahara deta hai
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    Apni aaaghosh ma kise rooz chupa lo mujh ko
                    Ghum e dunya say mery hamsafer bacha lo mujko
                    On ky naam likh di hai ab to zindagi mai nay
                    Mangnay say na milon tou chura loo mujh ko

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      saagar sey lab laga key bohat khush hai zindagi
                      sehan-e-chaman mein aa key bohat khush hai zindagi
                      aa jao aur bhi zara nazdeek jaan-e-man
                      tum ko qareeb paa key bohat khush hai zindagi
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r


                        زیست کا حاصل بنایا دل جو گویا کچھ نہ تھا
                        غم نے دل کو دل بنا یا ورنہ کیاتھا کچھ نہ تھا
                        __________________
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          Zara udaas hoon lakin zara masroor bhi hon
                          Tumhary pas hon shayad , shayad door bhi hon
                          Yoon pathereely raston pe chalna shoq nahi mera
                          Kuch maamla chahat ka hai kuch majboor bhi hon

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            خوشبو کی طرح آیا وہ تیز ہواؤں میں
                            مانگا تھا جسے ہم نے دِن رات دعاؤں میں
                            تم چاہت پر نہیں آۓ میں گھر سے نہیں نکلا
                            یہ چاند بہت لٹکا ساون کی گھٹاؤں میں
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              uljhein ge kei baar abhi lafz se mafhoom
                              saada hai bohat woh na main asaan bohat hon

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                Oski yaad ma jalna ajeeb lagta hai
                                Dheery dheery sy pighalna ajeb lagta hai
                                Sari dunya kay badalny sy mujhy fark ni perta
                                Bas ek tera badalna ajeeeb lagta haiii

                                Comment

                                Working...
                                X