Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    Inhi raaston pey chal kar agar asako to aao.....
    Mere ghar k raastey mei koi kehkashan nahi hai

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Na muhabbaton ka hisab tha,na adawaton ka
      shumar tha
      kabhi zaat uski azab thi, kabhi rooh ka woh
      qarar tha
      tu bhi door hai,mei bhi door hoon,kyon juda
      hoye ye raaste Meri chahton ka garez tha ya teri Ana ka hisar
      tha......!

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        Aashqi dil'lagi nahin hoti
        jaan dena hansi nahin hoti
        is liyey main gunah karta hoon
        be'gunah zindagi nahin hoti
        Last edited by Masood; 26 September 2011, 14:47.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz
          Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            Main ney kaha: Zindagi gham ka is'tiara hai
            Us ney kaha: Muhabbat jeeney ka sahara hai
            Main ney kaha: Judaii mein tanhaii ka sag dhasta hai
            Us ney kaha: Magar pyaar to dilon mein basta hai
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se.
              Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain.

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                haadsey kya kya tumhari be'rukhi sey ho gaey
                saari duniya key liyey ham ajnabi sey ho gaey
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  zara si baat dair tak rulati rahi
                  Hansi me bhi aankhe aansu bahati rhi,
                  Koi kho k mil gya,koi mil K kho gya,,
                  Zindagi hamko bas aise Hi aazmati rahi..!!

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    pathar key jigar walo gham mein woh rawani hai
                    khud raah bana ley ga behta huwa paani hai
                    phulon mein ghazal rakhna yeh raat ki rani hai
                    is mein teri zulfon ki be'rabt kahani hai
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
                      Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
                      Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
                      Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        kaun kehta hai muhabbat ki zubaan hoti hai
                        yeh haqeeqat to nigahon sey biyaan hoti hai
                        woh na aaey to stati hai khalish si dil ko
                        woh aa jaey to khalish aur jawaan hoti hai
                        Last edited by Masood; 28 September 2011, 13:08.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r


                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            main apney ghar mein hi ajnabi ho geya hoon aa ker
                            mujhey yahan dekh'kar meri rooh dar gaii hai
                            seham key sab aarzuein kono mein jaa chhupi hain
                            lawein bujha di hain apney chehron ki hasarton ney
                            keh shoq pehchanta hi nahin
                            muradein dehleez hi peh sar rakh key mar gaii hain
                            main kis watan ki talash mein yun chala tha ghar sey
                            keh apney ghar mein bhi ajnabi ho geya hoon aa ker
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              Wo koi dost tha achey dino ka
                              Jo pichli raat say yaad aa raha hay

                              Kissey dhoondo gey in galiyon main nasir
                              Chalo ab ghar chalain din ja raha hay ..

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                kuchh to AHSAAS-e-ziyaan tha pehley
                                dil ka yeh haal kahan tha pehley
                                ab to manzil bhi hai khud garm-e-safar
                                har qadam sang-e-nishaan tha pehley
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X