Re: collection of Ghazals (غزل)
sunne ko bhiiR hai sar-e-mahshar lagii hu’ii
tohmat tumhaare ishq kii hum par lagii hu’ii
rindon ke dam se aatish-e-mai ke baGhair bhii
hai maikade meN aag baraabar lagii hu’ii
aabad kar ke shahr-e-KhaamoshaaN har ek suu
kis khoj meN hai teGh-e-sitamgar lagii hu’ii
jiite the yuuN to pahle bhii hum jaan pe khel kar
baazii hai ab ke jaan se baRh kar lagii hu’ii
aakhir ko aaj apne lahuu par hu’ii tamaam
baazi miyaan-e-qaatil-o-Khanjar lagii hu’ii
lao to qatl-naamaa meraa, maiN bhii dekh luuN
kis kis kii mohar hai sar-e-mahzar lagii hu’ii

Comment