Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sarfraz chouhdary,s most wanted

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

    A small nazm titled 'jhalak':

    sirf laharaa ke rah gayaa aa.Nchal
    rang ban kar bikhar gayaa ko_ii

    gardish-e-Khuu.N rago.n me.n tez hu_ii
    dil ko chuukar guzar gayaa ko_ii

    phuul se khil gaye tasavvur me.n
    daaman-e-shauq bhar gayaa ko_ii
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment


    • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

      banaa banaa ke tamannaa miTaa_ii jaatii hai
      tarah tarah se vafaa aazamaa_ii jaatii hai

      jab un ko merii muhabbat kaa aitabaar nahii.n
      to jhukaa jhukaa ke nazar kyo.n milaa_ii jaatii hai

      hamaare dil kaa pataa vo hame.n nahii.n dete
      hamaarii chiiz hamii.n se chhupaa_ii jaatii hai

      'Shakeel' duurii-e-manzil se naa-ummiid na ho
      ab aa hii jaatii hai manzil ab aa hii jaatii hai
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment


      • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

        pahaluu-e-shaah me.n ye duKhtar-e-jamahuur kii qabar
        kitane gum_gushtaa fasaano.n kaa pataa detii hai
        kitane Khuurez haqaayaq se uThaatii hai naqaab
        kitanii kuchalii hu_i jaano.n kaa pataa detii hai

        kaise maGruur shahanshaaho.n kii taskii.n ke liye
        saal_haa_saal hasiinaao.n ke baazaar lage
        kaise bahakii hu_ii nazaro.n kii taa_ish ke liye
        surKh mahalo.n me.n javaa.N jismo.n ke anbaar lage

        sahamii sahamii sii fizaao.n me.n ye viraa.N marqad
        itanaa Khaamosh hai fariyaad_kunaa ho jaise
        sard shaaKho.n me.n havaa chiiKh rahii hai aise
        ruuh-e-taqadiis-o-vafaa marsiyaa_Khvaa.N ho jaise

        tuu merii jaa.N hairat-o-hasarat se na dekh
        ham me.n ko_ii bhii jahaa.N nuur-o-jahaangiir nahii.n
        tuu mujhe chho.D ke Thukaraa ke bhii jaa sakatii hai
        tere haatho.n me.n meraa saat hai zanjiir nahii.n
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment


        • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

          duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa
          tumhaare ghar kaa safar is qadar to saKht na thaa

          itane masaruuf the ham jaane kii taiyaarii me.n
          kha.De them tum aur tumhe.n dekhane kaa vaqt ka thaa

          mai.n jis kii khoj me.n Khud kho gayaa thaa mele me.n
          kahii.n vo meraa hii ehasaas to kam_baKht na thaa

          jo zulm sah ke bhii chup rah gayaa na Khaul uThaa
          vo aur kuchh ho magar aadamii kaa rakt na thaa

          unhii.n faqiiro.n ne itihaas banaayaa hai yahaa.N
          jin pe itihaas ko likhane ke liye vaqt na thaa
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment


          • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

            ye soch kar ki terii jabii.n par na bal pa.De
            bas duur hii se dekh liyaa aur chal pa.De

            dil me.n phir ik kasak-sii uThii muddato.n ke baad
            ik umr ke ruke hue aa.Nsuu nikal pa.De

            siine me.n beqaraar hai.n murdaa muhabbate.n
            mumkin hai ye charaaG kabhii Khud hii jal pa.De

            ai dil tujhe badalatii hu_ii rut se kyaa milaa
            paudho.n me.n phuul aur daraKhto.n me.n phal pa.De

            ab kis ke intazaar me.n jaage.n tamaam shab
            vo saath ho to niind me.n kaise Khalal pa.De
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment


            • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

              zindagii ke mele me.n
              Khvaahisho.n ke rele me.n
              tum se kyaa kahe.n jaanaa
              is qadar jhamele me.n
              vaqt kii ravaanii hai
              baKht kii giraanii hai
              saKht bezamiinii hai
              saKht laamakaanii hai
              hijr ke samandar me.n
              taKht aur taKhte kii
              ek hii kahaanii hai
              tum ko jo sunaanii hai

              baat go zaraa sii hai
              baat umr bhar kii hai
              umr bhar kii baate.n kab
              do gha.Dii me.n hotii hai.n
              dard ke samandar me.n
              anginat jaziire.n hai.n
              beshumaar motii hai.n
              aa.Nkh ke dariiche me.n
              tum ne jo sajaayaa thaa
              baat us diye kii hai
              baat us gile kii hai
              jo lahuu kii Khilvat me.n
              chor ban ke aataa hai
              lafz ke fasiilo.n par
              TuuT TuuT jaataa hai
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment


              • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                ye saaraa jism jhuk kar bojh se duharaa huaa hogaa
                mai.n sajde me.n nahii.n thaa aap ko dhokaa huaa hogaa


                yahaa.N tak aate aate suukh jaatii hai.n sabhii nadiyaa.N
                mujhe maaluum hai paanii kahaa.N Thaharaa huaa hogaa

                Gazab ye hai ki apanii maut kii aahaT nahii.n sunate
                vo sab ke sab pareshaa.N hai.n vahaa.N par kyaa huaa hogaa


                ka_ii faake bitaakar mar gayaa jo us ke baare me.n
                vo sab kahate hai.n ab aisaa nahii.n aisaa huaa hogaa
                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                Comment


                • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                  yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
                  lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale


                  dil ko sa.nbhaalate rahe har haadase pe ham
                  ab kyaa kare.n ki Khud tere gesuu bikhar chale

                  har gaam pe shikast ne yuu.N hausalaa diyaa
                  jis tarah saath saath ko_ii ham_safar chale]

                  shauq-e-talab na ho ko_ii baang-e-jaras to ho
                  aaKhir ko_ii chale to kis ummiid par chale
                  "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                  Comment


                  • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                    dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai
                    itanaa besimt na chal lauT ke ghar jaanaa hai

                    us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai
                    jaise paanaa hii use asl me.n mar jaanaa hai

                    bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa_ii kyaa hai
                    dil ko rukanaa hai ki taaro.n me.n Thahar jaanaa hai

                    kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke
                    us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hai

                    mai.n khilaa huu.N to isii Khaak me.n milanaa hai mujhe
                    vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai

                    vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil
                    har musaafir ko isii ghaaT utar jaanaa hai
                    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                    Comment


                    • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                      raato.n me.n gar na ashk bahaa_uu.N to kyaa karuu.N
                      ik pal bhii us ko bhuul na paa_uu.N to kyaa karuu.N

                      mai.n ne sunaa hai un ko andhere nahii.n pasand
                      raaho.n me.n ab mai.n dil na jalaa_uu.N to kyaa karuu.N

                      tumhii.n kaho ki chho.D de jab zindagii bhii saath
                      phir maut ko gale na lagaa_uu.N to kyaa karuu.N

                      sochaa to thaa ki chho.D duu.N us kii galii 'Murad'
                      lekin kahii.n qaraar na paa_uu.N to kyaa karuu.N
                      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                      Comment


                      • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                        dil-e-pur_Khuu.N kii ik gulaabii se
                        umr bhar ham rahe sharaabii se

                        dil dahal jaaye hai sahar se aah
                        raat guzaregii kis Kharaabii se

                        khilanaa kam kam kalii ne siikhaa hai
                        us kii aa.Nkho.n kii niim_Khvaabii se

                        kaam the ishq me.n bahut se 'Meer'
                        ham hii faariG hue shitaabii se
                        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                        Comment


                        • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                          jab lage zaKhm to qaatil ko duaa dii jaaye
                          hai yahii rasm to ye rasm uThaa dii jaaye

                          tishnagii kuchh to bujhe tishnaalab-e-Gam kii
                          ik nadii dard ke shaharo.n me.n bahaa dii jaaye


                          dil kaa vo haal huaa ai Gam-e-dauraa.N ke tale
                          jaise ik laash chaTTaano.n me.n dabaa dii jaaye

                          ham ne insaano.n ke dukh dard kaa hal Dhuu.NDh liyaa
                          kyaa buraa hai jo ye afvaa u.Daa dii jaaye
                          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                          Comment


                          • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                            zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa
                            dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa


                            muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
                            vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa

                            shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise
                            kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa

                            guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah
                            abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa

                            pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii
                            mai.n chand Khvaab zamaane me.n chho.D aayaa thaa
                            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                            Comment


                            • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                              ye raat ye tanhaa_ii
                              ye dil ke dha.Dakane kii aavaaz
                              ye sannaaTaa

                              ye Duubate taaro.n kii
                              Khaamosh Gazal_Khvaanii
                              ye vaqt kii palko.n par
                              sotii hu_ii viiraanii
                              jazbaat-e-muhabbat kii
                              ye aaKhirii anga.Daa_ii
                              bajatii hu_ii har jaanib
                              ye maut kii shahanaa_ii

                              sab tum ko bulaate hai.n
                              pal bhar ko tum aa jaao
                              band hotii merii aa.Nkho.n me.n
                              muhabbat kaa
                              ik Khvaab sajaa jaao
                              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                              Comment


                              • Re: sarfraz chouhdary,s most wanted

                                vo log bahut Khush_qismat the
                                jo ishq ko kaam samajhate the
                                yaa kaam se aashiqii karate the
                                ham jiite jii masaruuf rahe
                                kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaa

                                kaam ishq ke aa.De aataa rahaa
                                aur ishq se kaam ulajhataa rahaa
                                phir aaKhir tang aakar ham ne
                                dono.n ko adhuuraa chho.D diyaa
                                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                                Comment

                                Working...
                                X