Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: Jo tu naheen hai to phir tera intezaar kyun

    nice poetry:)

    Comment


    • #92
      Re: kahan aa kar rukay thay rastay

      excellent
      buht achi poetry hai
      keep it up:)

      Comment


      • #93
        Re: kahan aa kar rukay thay rastay

        Thanx:)

        Comment


        • #94
          Re: Terey Janay K bad

          :thmbup: :shh:
          Attached Files

          Comment


          • #95
            Re: kahan aa kar rukay thay rastay

            Originally posted by musaddaq View Post
            kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
            woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

            bohat achi gazal hy ye,

            Comment


            • #96
              Re: kahan aa kar rukay thay rastay

              U Are Well Come.
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • #97
                main jo mehka to meri shaakh jala di uss ne

                main jo mehka to meri shaakh jala di uss ne
                Sabz mausam mian mujhe zard hawa di uss ne
                pehle ik lamhe ki zanjeer se baanda mujh ko
                or phir waqt ki raftaar barha di uss ne
                uss keh hone se thin saansain meri dugni shaid
                wo jo bichra to meri umer ghatta di uss ne

                Comment


                • #98
                  Re: main jo mehka to meri shaakh jala di uss ne

                  buht khoob ... thanks for sharing
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #99
                    Aankhoo main Koi khwab uternay nhi deata

                    Aankhoo main Koi khwab uternay nhi deata
                    ya dil k muje baychain say merny nhi deata

                    Bicheray to ajeb payaar jatatata hai khtaoo main
                    mill jay to phir hed say guzernay nhi deata

                    wo shakhs khzaan rut main bhi Mouhtaat hai kitna
                    Sookhay howy phooloo ko bikhernay nhi deata

                    main Oss ko manaoo k Gum-e-Ruher say Uljhoo
                    Mohsin wo koi FAISLA bhi kerny nhi deata

                    Comment


                    • Rotey Hein Bagoley Merey Daman Se Lipat Kar


                      Har But Yahan Tootey Hoyee Pathhar Ki Tarah Hey
                      Ye Shehr Tou Ujrdey Hoyee Mandir Ki Tarah Hey
                      Mein Tishna-i-Deedar Ke Jhonka Houn Hawa Ka
                      Woh Jheel Mien Utrey Hoyee Manzar Ki Tarah Hey
                      Kam-zarf Zamaney Ki Haqarat Ka Kiya Gila
                      Mein Khush Houn, Mera Piyar Samander Ki Tarah Hey
                      Iss Charakh Ki Taqdees Kabhi Raat Ko Dekho
                      Ye Qabar Pe Pheli Hoyee Chadar Ki Tarah Hey
                      Mein Sang-e-Teh- Aab Ki Soorat Houn Jahan Mein
                      Aur Waqt Bhi Soye Hoyee Sagar Ki Tarah Hey
                      Rotey Hein Bagoley Merey Daman Se Lipat Kar
                      Sehra Bhi Tabiaat Mein Merey Ghar Ki Tarah Hey

                      Comment


                      • Hasrat Hai

                        Hasrat Hay Tumhari Deed Karain
                        Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain...


                        Kuch Dair To Dil Ko Chain Milay
                        Kuch Roz To Man Ka Phool Khilay
                        Kehtay Hain Eid Ki Aamad Hay
                        Ab Log Bhi Kuch Ta'eed Karain

                        Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain...


                        Tum Say Yeh Aik Guzarish Hay
                        Yeh Apnay Dil Ki Khowahish Hay
                        Aik Baar Milo, Aik Baar Milo
                        Har Baar Yehi Takeed Karain
                        Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain...


                        Jab Ghum Kay Badal Chayay Thay
                        Us Waqt Bhi Tum Na Aaye Thay
                        Is Baar Bhi Tum Nahi Aai Ho
                        Sub Dushman Yeh Tanfeed Karain
                        Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain...


                        Maana Kay Hum Deewanay Hain
                        Sub Baataon Say Anjanay Hain
                        Jab Apnay He Baiganay Hain
                        Kya Ghairon Say Umeed Karain
                        Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain!!!.

                        Comment


                        • Kitni azeeyat

                          Kitni azeeyat say us nay mujh ko bhulaya ho ga
                          Meri yaadon nay us ko khoob rulaya ho ga...
                          Baat bay baat yoon he aankh jo teri chalki ho gi
                          Us nay chehray ko bazo'on main chupaya ho ga...
                          Socha ho ga us nay din main kayi baar muj ko
                          Naam hathaili par likh likh kar mera mitaya ho ga...
                          Jahan mera zikr suna ho ga us nay kisi say
                          Us ki aankhon main aansoo to aaya ho ga...
                          Ho kay nidhaal meri yaadon say tu nay Janan!
                          Meri tasveer par sar tikaya hoga...


                          Raat kay bheegnay tak neend nahi aayi ho gi tujhay
                          Tu nay takiye ko bhi bahon main chupaya ho ga...
                          Poocha ho ga jo kisi nay teri haalat ka sabub
                          Tu nay baaton main usay khoob chupaya ho ga !!!

                          Comment


                          • bikhar rahi hay meri zaat ,osay kahna

                            bikhar rahi hay meri zaat ,osay kahna
                            kabhi milay tow yahi baat ,osay kahna

                            wo sath tha tow zamana tha humsafar mera
                            magar ab koi nahi mere sath ,osay kahna

                            osay kahna, k bin os k din nahi kut-ta
                            sisak sisak k kati hay raat osay kahna

                            osay pukaroon k khood hi pohanch jayoon oskay pass
                            nahi rahi wo haalat ab osay kahna

                            Comment


                            • Re: Kitni azeeyat

                              nice

                              Comment


                              • Re: Kitni azeeyat

                                bohot khoob

                                Comment

                                Working...
                                X