Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin

    Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
    duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.

    lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
    kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.



    dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
    jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.


    her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
    dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.


    sehra ke her waraq pe tehreer hai us ka naam
    kal tak jo keh raha tha ke wehshat usse nahin


    Comment


    • Bhool ker bhi bhula nahi sakte

      Bhool ker bhi bhula nahi sakte
      Aur hum tujh ko paa nahi sakte

      Khud pe ilzaam dhar liya hum ne
      Tujh pe tohmat laga nahi sakte

      Dil pe likha hai yun tera naam
      Chah ker bhi mita nahi sakte
      Us ne duniya bhula ker rakh di hai
      Hum to lab bhi hila nahi sakte

      Bhool jaate hain roz woh yeh keh ker
      Hum tum ko bhula nahi sakte

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        bauht khoobsoorat shairi

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          :)
          Originally posted by aquari View Post
          bauht khoobsoorat shairi
          Thanx:)

          Comment


          • kaha tha na

            kaha tha na
            is tarah sotay huye mat chor k jana
            mujhe besha jagga dena
            bata dena
            muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
            judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
            tumhain rasta badalna hai
            mere had se nikalna hai
            tumhain kis baat ka dar tha
            tumhain jane nahi deta
            kahen pe qaid kar leta
            aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
            jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
            jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
            na koi rok paya hai
            na koi rok paye ga
            tumhain kis baat ka dar tha
            mujhe beshak jagga detay
            main tum ko dekh hi leta
            tumhain koi dua deta
            kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
            tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
            magar khonay se darat hoon
            main ab sonay se darta hoon.

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by musaddaq View Post
              WOH MERA THA YEH BATANA AJEEB LAGTA HAI
              AB US SE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI ...
              JO ZINDAGI MAI KABHI BHI MERA HO NA PAYA
              AB US KA KHWAAB MAI AANA AJEEB LAGTA HAI ...
              BARAY KHULOOS SE DAWAT TO US NE BHAJE HAI
              PAR US KI MEHFIL MAI JANA AJEEB LAGTA HAI...
              THA JIS KA HAATH HAMESHA HAMARAY HAATHOO MAI
              AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI...
              bauhtt khoobsoorat intekhab :clap:

              Comment


              • Re: kaha tha na

                Originally posted by musaddaq View Post
                kaha tha na
                is tarah sotay huye mat chor k jana
                mujhe besha jagga dena
                bata dena
                muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
                judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
                tumhain rasta badalna hai
                mere had se nikalna hai
                tumhain kis baat ka dar tha
                tumhain jane nahi deta
                kahen pe qaid kar leta
                aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
                jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
                jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
                na koi rok paya hai
                na koi rok paye ga
                tumhain kis baat ka dar tha
                mujhe beshak jagga detay
                main tum ko dekh hi leta
                tumhain koi dua deta
                kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
                tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
                magar khonay se darat hoon
                main ab sonay se darta hoon.
                Kiyaa bat haii ..lagta hai meri kahani is nazm k alafzoo main sama gaii haii :)
                Bauhtt khoobsoorat

                Comment


                • Re: kaha tha na

                  Originally posted by aquari View Post
                  Kiyaa bat haii ..lagta hai meri kahani is nazm k alafzoo main sama gaii haii :)
                  Bauhtt khoobsoorat
                  yeh meri bhi favourite nazam hia, or bohat haqeeqat hai iss mian,dunia main normally sab rota choor jate hian or wairaani ker jate hain, but akser un ka kasoor bhi nahi hota shaid

                  Comment


                  • Re: Dukh kia Hota Hai

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    Tum Ne Poocha Hey ke
                    Dukh kia Hota Hai ???

                    To Suno.....
                    Aisa Karna
                    Kabhi kisi ko Chahna
                    aur Chahate Hi Rehna...
                    Din Bher us ko Sochte hi Rehna....


                    Apne Haath ki Lakeeron mein us ka Naam Tarashte hi Rehna...

                    aur Jab kabhi Wo,
                    in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
                    samne aaey to ........


                    Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena.

                    Ager Wo kuch kahey to,
                    Muskura ker Anjaan Ban Jana.


                    Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to...

                    Apne Ander Jhankna,
                    aur,
                    Khud se Poochna ......


                    Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
                    Ke....


                    Dukh kisko kihtey Hain.
                    aur...
                    Dukh kia Hota Hai.
                    bohat khoob :rose
                    Visit My Early PS Work
                    You Are Welcome To Comment

                    Comment


                    • Re: Dukh kia Hota Hai

                      Originally posted by Aania View Post
                      bohat khoob :rose
                      :blush:

                      Comment


                      • Re: kaha tha na

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        yeh meri bhi favourite nazam hia, or bohat haqeeqat hai iss mian,dunia main normally sab rota choor jate hian or wairaani ker jate hain, but akser un ka kasoor bhi nahi hota shaid
                        bilkul thek kaha app ney ..aksar hum logo woh saza miltihai joo khataa hum ney ki hi nahi hotii..............shayed isi ka naam zindagi haii

                        Comment


                        • Re: kaha tha na

                          Originally posted by aquari View Post
                          bilkul thek kaha app ney ..aksar hum logo woh saza miltihai joo khataa hum ney ki hi nahi hotii..............shayed isi ka naam zindagi haii
                          woh ek poem hai na yahan post ki hai main ne keh yeh zindagi badi ajeeb si, to ups and downs hota hian but as individual we think keh hamari zindagi mian downs zaiada hian,or dukh khud hi aa jate hian halankeh khushion ki talash kerni perti hia

                          Comment


                          • Re: kaha tha na

                            Originally posted by musaddaq View Post
                            woh ek poem hai na yahan post ki hai main ne keh yeh zindagi badi ajeeb si, to ups and downs hota hian but as individual we think keh hamari zindagi mian downs zaiada hian,or dukh khud hi aa jate hian halankeh khushion ki talash kerni perti hia
                            aap thori si is per mazeed baat karein gey??
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • Re: kaha tha na

                              Originally posted by yellowsky View Post
                              aap thori si is per mazeed baat karein gey??
                              yeh to fact of life hia na, keh khushian hamesha dhoondni perti hain but gham or takleefain bin bulae hi aa jati hain,ager dukh bhi khushion ki tarah talash kerne hota to shaid yahan gham hote hi na,:)

                              Comment


                              • unkii Khushii yahii hai to acchaa

                                unkii Khushii yahii hai to acchaa yuuNhii sahii
                                ulfat kaa naam aaj se diivaangii sahii


                                har chand naa-murad huuN phir bhii huuN kaamyaab
                                koshish to kii hai koshish-e-barbaad hii sahii


                                GhunchoN ke dil se puuchiye lutf-e-shaguftagii
                                baad-e-sabaa pe tohmat-e-aavaargii sahii


                                jab chhiR gayii hai kaakul-e-shab rang kii Ghazal
                                aise maiN ek qasiidah-e-ruKhsaar bhii sahii

                                Comment

                                Working...
                                X