Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • koi Aisa shakas bhi hua keray

    Na Shikayatain na gila keray
    koi Aisa shakas bhi hua keray
    jo meray liyey hi Saja keray
    mujh say hi batain kia keray
    kabhi royye jayey woh be panah
    kabhi bay panah udass hou
    kabhi chupkay chupkay bay qadam
    meray pechay aker hansaa keray
    meri qurbatain meri chahtain
    koi yaad ker k qadam qadam
    main taweel safar main hooon mager
    meri wapsii ki dua keray

    Comment


    • haiN aabaad laakhoN jahaaN mere dil meN

      haiN aabaad laakhoN jahaaN mere dil meN
      kabhii aao daaman-kushaaN mere dil meN


      utartii hai dhiire se raatoN kii chup meN
      tere ruup kii kahkashaaN mere dil meN


      ubhartii haiN raahoN se kirnoN kii lahreN
      sisaktii haiN parchhaiiyaaN mere dil meN


      zamaane ke lab par zamaane kii baateN
      merii dukh-bharii daastaaN mere dil meN


      Comment


      • Bikhre hue khawab ke furjhe utha raha tha woh

        Bikhre hue khawab ke furjhe utha raha tha woh

        Umr bhar pista raha who rishto ki chakhi mein

        Baaki rahe rishto se daaman chuda raha tha woh

        Apni zidd to woh puri na kar saka

        Ruthe hue bacho ko mana raha tha woh

        Sehre me khile phool ko bachane ke liye

        Apne ashko se uski pyaas mita raha tha woh

        Uski yaado ko kuch is tarah bhula raha tha

        Apne haatho apna likha mita raha tha woh

        Sirf kirdaar hi to badle the usne

        Apni hi kahani suna raha tha woh " " "

        Comment


        • Ham dosti, ehsaan, vafaa, bhul gaye hein

          Ham dosti, ehsaan, vafaa, bhul gaye hein
          zindaa to hain jene ki adaa bhul gaye hain


          karate hain muhabbat kaa, aur ehasas kaa saudaa
          matalab ke liye karate hain imaan kaa saudaa


          Dar maut kaa aur Khauf-e-Khudaa bhuul gaye hai.n
          ab mommen Dhalakar ko_ii patthar nahii.n hotaa


          ab ko_ii bhii qurbaan kisii par nahii.n hotaa
          kyuu.N bhaTake hai.n manzil kaa pataa bhuul gaye hai.n

          Comment


          • Wo pal tanhai ke wo mithi mithi yaadain

            Wo pal tanhai ke wo mithi mithi yaadain,
            Kuch nami sazi ashqo ke wo sadiyo lambi raatain;


            Saanso se uljhi sard hawa jaane kya baat sunaye,
            Tute patto pe chalte kadam tere aane ki chaah jagaye;

            Maddham sa lagta suraj jab mausam bhina ho jaye,
            Halka sa ujla dhuaan khwaab sa kyun ban jaye;
            Milker bhule na kuch thi aesi natkhat wo shaitaan,
            Ab to chehre per padhta hai harkoi uska naam;
            Har shakhs mai tera aks dikha tu es'se anjaan,
            Dil ki dharkan mai chup ja jaise patthar me bhagwan;
            Kiski nazroon main dekhun khud ko bhuli bisri yaadain,
            Tum bin kaise jite hain gar mar jaate to samjhaate;

            Wo pal tanhai ke wo mithi mithi yaadain;
            Kuch nami sazi ashqo ke wo sadiyo lambi raatain"

            Comment


            • Dukh kia Hota Hai

              Tum Ne Poocha Hey ke
              Dukh kia Hota Hai ???

              To Suno.....
              Aisa Karna
              Kabhi kisi ko Chahna
              aur Chahate Hi Rehna...
              Din Bher us ko Sochte hi Rehna....


              Apne Haath ki Lakeeron mein us ka Naam Tarashte hi Rehna...

              aur Jab kabhi Wo,
              in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
              samne aaey to ........


              Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena.

              Ager Wo kuch kahey to,
              Muskura ker Anjaan Ban Jana.


              Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to...

              Apne Ander Jhankna,
              aur,
              Khud se Poochna ......


              Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
              Ke....


              Dukh kisko kihtey Hain.
              aur...
              Dukh kia Hota Hai.

              Comment


              • kismat kaun likhata hai

                kisee aur zindgee ka is main hissa hai
                ek umr sa bada hamara rishta hai

                dil ko ek baar ankhen to deejiye
                zindgee se aage bhee kuch dikta hai

                main jo bhee geet kagaz pe utaroon
                koyee aa ke wahan tera nam likhata hai

                main likhana kis tarah chor sakta hoon
                ye ayeena hai too jis main dikhata hai

                log kahate hain us ko kisee ne nahee dekha
                too muskraye to mujhe woh dikhata hai

                tera do lamho ka sath mila to sab mil gaya
                ab kyon poochen ye kismat kaun likhata hai

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  :)

                  Comment


                  • Tu Kahan Tha...

                    JAB GHAM MERI DHARKAN MERI BATON SE AYYAN THA,

                    TU KAHAN THA...


                    JAB CHAARON TARAF DARD KE DARYA KA SAMAAN THA,

                    TU KAHAN THA...


                    AB AYA HAI JAB DHAL GAYE HIEN SABHI MOSAM,MERE HUMDUM...
                    JAB TERE LIYE MERA HER EHSAAS JAWAN THA,


                    TU KAHAN THA...


                    AB SIRF KHAMOSHI HAI MUQADDAR KA SITARA,MERE YAARA...
                    JAB LUB PE FAQAT TERA FAQAT TERA BAYAAN THA,


                    TU KAHAN THA


                    AB AYA HAI TU JAB KAAM DIKHAYA GAYA SAWAM, MERAY SAJAN...
                    JAB CHAAR SO MERAY LIYE KHUSHIYON KA SAMAAN THA..


                    TU KAHAN THA...

                    Comment


                    • Mat Tanha Tanha Gabhrana, Tum Paas Hamaray aa jana

                      Jab Panchi sarey Urr jayein, Her Simt Andhera chha jaye
                      Jab Guzri Batein Yaad ayein, Aur bitey lamhey Tarpayein

                      Mat Tanha Tanha Gabhrana, Tum Paas Hamaray aa jana

                      Jab koi Din mai Shaam kare, Ya Lab ki Hansi Badnaam kare
                      Jab Wehshat dil ke Naam kare, Ya Aankh mai Neend Haram kare

                      Mat Tanha Tanha Gabhrana, Tum Paas Hamaray aa jana

                      Dil Preet Hamari dohraye, Ya Reet purani Yaad aaye
                      Jab milne ko bhi Dil chahey, Aur Pyar Bhara na Dil paye

                      Mat Tanha Tanha Gabhrana, Tum Paas Hamaray aa jana

                      Comment


                      • Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay

                        Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
                        Bikhar gay hain tera intazaar kartay howay


                        Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
                        Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay


                        Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
                        Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay


                        Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
                        Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay


                        Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
                        Main un main doob gia ahtabaar kartay howay


                        Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
                        Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay...!!!


                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          very very nice bahut acha likha hai app nay

                          Comment


                          • Yeh Zaroori To Nahi....

                            Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge
                            Har Ghum Mein Uska Saath Ho....
                            Yeh Zaroori To Nahi....

                            Yoon To Woh Bohat Wafashaar Hain
                            Magar Phir Bhi
                            Har Kadam Pe Wafa Karein...
                            Yeh Zaroori To Nahi....

                            Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
                            Jeet Yahan Sada Hamari Ho...
                            Yeh Zaroori To Nahi...

                            Shiddat-e-Ghum Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai
                            Samne Uska Aanchal Ho...
                            Yeh Zaroori To Nahi ...

                            Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayeen
                            Uske Baad Kisi Aur Ko Dekhein...
                            Yeh Zaroori To Nahi...

                            Hum Ne Hamesha Usse Dil se Chaaha
                            Woh Bhi Hamain Chahe Dil se...
                            Yeh Zaroori To Nahi...
                            Last edited by musaddaq; 16 May 2008, 08:46.

                            Comment


                            • Woh mujh ko chorr jaana chahta hai

                              Woh mujh ko chorr jaana chahta hai
                              Magar koi bahana chahta hai
                              Jisse Dil ki tarhan is Dil main rakha
                              Woh hi ab Dil dukhana chahta hai
                              Woh apni hansi gharion ko deker
                              Khud apna gham bhulana chahta hai
                              Main jis ki yaad main duniya ko bhooli
                              Woh hi mujh ko bhulana chahta hai
                              Usse kya ho dard ka ehsaas
                              Jo mera Dil dukhana chahta hai

                              Comment


                              • chaand kahmosh tha

                                Eik kahni sabi nay sunai magar chaand kahmosh tha
                                Uss ki awaz ka muntazir tha magar chaand kahmosh tha

                                Kon tha jis ki aahooN kay ghum main hawa sard thi shehar ki
                                Kis ki veran ankhooN ka lay kar asar chaand kahmosh tha

                                Woh ju sehta raha rat jagooN ki saza chaand ki chaa mein
                                Maar gaya jab tu noh KinaN thay shajar chaand kahmosh tha

                                Uss sa mil kay mein yooN kahmashi aur awaz main qaid tha
                                Eik sada tu meray sath thi hum safar chaand kahmosh tha

                                Kal kahin phir kudha ki zameeN pae koi saneha ho gaya
                                Mein nay kal raat jab bhi utayi nazar chaand kahmosh tha

                                Comment

                                Working...
                                X