Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Kabhi yaad aao to iss terha
    Ke laho ki saari tamazatein
    Tumhein dhoop dhoop samait lein
    Tumhein rung rung nikhaar dein
    Tumhein harf harf mein soch lein
    Ke deyaar-e hijer ki teergi
    Ko palak ki nok se noch lein
    Kabhi yaad aao to iss terha
    Ke dil-o nazar mein sama sako
    Kabhi had se jub yeh junoon berhay
    To hawas bun ke bikher sako
    Kabhi khul sako shab-e visel mein
    Kabhi khoon-e dil mein sanwar sako
    Sir-e rahguzar jo milo kabhi
    Na theher sako na guzar sako
    Mera dard phir se ghazal banay
    Kabhi gungunao to iss terha
    Mere zakhm phir se gulaab hon
    Kabhi muskuraao to iss terha
    Meri dharkanein bhi laraz uthein
    Kabhi chot khaao to iss terha
    Jo nahin to phir baray shoq se
    Sabhi rabtay , sabhi zabtay
    Kabhi dhoop chaaon mein tor do
    Na shikast-e dil ka sitam kaho
    Na suno kisi ka azab-e jaan
    Na kisi se dil ki qalish kaho
    Yuun hi khush raho yuun hi kush phiro
    Na ujer sakein na sanwar sakein
    Kabhi dil dukhaao to iss terha
    Na simat sakein na bikher sakein
    Kabhi bhool jaao to iss terha


    Kisi taur jaan se guzar sakein
    Kabhi yaad aao to iss terha

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Hungama Hai Kion Barpa Thordee See Jo Pee Lee Hai
      Daka Tau Nahin Dala Choree Tau Nahin Kee Hai
      Na Tajruba Karee See Waaez Kee Yeh Batein Hein
      Uss Rang Ko Kya Janay Poocho Tau Kabhee Pee Hai
      Uss Mein Say Nahin Matlab Dil Jiss Say Hai Baigaana
      Matloob Hai Uss Mein Say Dil Hee Mein Jo Kinchtee Hai
      Her Zarra Chamakta Hai Anwar-e-Illahee Say
      Her Saans Yeh Kehtee Hai
      Hum Hein Tau Khuda Bhee Hai
      Sooraj Peh Lagay Dhuba Fitrat Kay Karishmay Hein
      But Hum Ko Kahein Kaafir Allah Kee Marzee Hai

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post
        Hungama Hai Kion Barpa Thordee See Jo Pee Lee Hai
        Daka Tau Nahin Dala Choree Tau Nahin Kee Hai
        Na Tajruba Karee See Waaez Kee Yeh Batein Hein
        Uss Rang Ko Kya Janay Poocho Tau Kabhee Pee Hai
        Uss Mein Say Nahin Matlab Dil Jiss Say Hai Baigaana
        Matloob Hai Uss Mein Say Dil Hee Mein Jo Kinchtee Hai
        Her Zarra Chamakta Hai Anwar-e-Illahee Say
        Her Saans Yeh Kehtee Hai
        Hum Hein Tau Khuda Bhee Hai
        Sooraj Peh Lagay Dhuba Fitrat Kay Karishmay Hein
        But Hum Ko Kahein Kaafir Allah Kee Marzee Hai

        superb......mast hai......:thmbup:
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Originally posted by saraah View Post
          superb......mast hai......:thmbup:
          :)

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Originally posted by musaddaq View Post
            Kabhi yaad aao to iss terha

            Ke laho ki saari tamazatein
            Tumhein dhoop dhoop samait lein
            Tumhein rung rung nikhaar dein
            Tumhein harf harf mein soch lein
            Ke deyaar-e hijer ki teergi
            Ko palak ki nok se noch lein
            Kabhi yaad aao to iss terha
            Ke dil-o nazar mein sama sako
            Kabhi had se jub yeh junoon berhay
            To hawas bun ke bikher sako
            Kabhi khul sako shab-e visel mein
            Kabhi khoon-e dil mein sanwar sako
            Sir-e rahguzar jo milo kabhi
            Na theher sako na guzar sako
            Mera dard phir se ghazal banay
            Kabhi gungunao to iss terha
            Mere zakhm phir se gulaab hon
            Kabhi muskuraao to iss terha
            Meri dharkanein bhi laraz uthein
            Kabhi chot khaao to iss terha
            Jo nahin to phir baray shoq se
            Sabhi rabtay , sabhi zabtay
            Kabhi dhoop chaaon mein tor do
            Na shikast-e dil ka sitam kaho
            Na suno kisi ka azab-e jaan
            Na kisi se dil ki qalish kaho
            Yuun hi khush raho yuun hi kush phiro
            Na ujer sakein na sanwar sakein
            Kabhi dil dukhaao to iss terha
            Na simat sakein na bikher sakein
            Kabhi bhool jaao to iss terha



            Kisi taur jaan se guzar sakein
            Kabhi yaad aao to iss terha
            Waah bahot khoobsurat sharings:phool:
            sigpic

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              bohat achi collection he

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                :) thanks

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Main jo mehkey to meri shakh jala di uss ne,
                  Sabz mousam main mujhey zard hawa di uss ne...

                  Pehley ek lamhey ki zanjeer sey bandha mujh ko,
                  Aur phir waqt ki raftar barha di uss ne...

                  Jaanta tha key mujhey maut sakoon bakhshey gi,
                  Wo sitamgar tha, so jeeney ki dua di uss ne...

                  Uss k honey sey thi sansein meri dugni shayad,
                  Wo jo bichda to meri umr ghata di uss ne...

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    ishq Bhi
                    Neem Ka
                    Ek
                    Perh Hooa Karta Hei
                    Usse Uggao
                    Usse


                    :lahoul:lahoul:lahoul

                    amm ka pair ugaoo ya kelay ka ugaoo

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      Main jo mehkey to meri shakh jala di uss ne,
                      Sabz mousam main mujhey zard hawa di uss ne...

                      Pehley ek lamhey ki zanjeer sey bandha mujh ko,
                      Aur phir waqt ki raftar barha di uss ne...

                      Jaanta tha key mujhey maut sakoon bakhshey gi,
                      Wo sitamgar tha, so jeeney ki dua di uss ne...

                      Uss k honey sey thi sansein meri dugni shayad,
                      Wo jo bichda to meri umr ghata di uss ne...
                      wow yeh achi hai

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by MuQadas View Post
                        :lahoul:lahoul:lahoul

                        amm ka pair ugaoo ya kelay ka ugaoo
                        tum apne chhote se demagh pe itna zor na dalo:tasali:

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          tum apne chhote se demagh pe itna zor na dalo:tasali:
                          to tum hi apnay baray say demagh pay thora zor dal laytay too kuch behtar hota

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by MuQadas View Post
                            to tum hi apnay baray say demagh pay thora zor dal laytay too kuch behtar hota
                            itni achi poetry send ki hai, or yahan log hain keh un keh mizaj he nahi milte

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              itni achi poetry send ki hai, or yahan log hain keh un keh mizaj he nahi milte
                              aray neem k darakht roo mat tareef bhi to kia hai na :tasali:

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by MuQadas View Post
                                aray neem k darakht roo mat tareef bhi to kia hai na :tasali:
                                ae neem keh phal tum bhi hosla rakho:khi:

                                Comment

                                Working...
                                X