Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Khoobsorat Intakhaab.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      Sharam to nahi aati, ab hum kuch kahain ge to shikayat ho gi372-haha
      haa nahi atii tu......
      tum kuch na hi kahoo wrnaa shikayat hoo ya na hoo
      tumhari pitaii zaroor hogii

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by aquari View Post
        haa nahi atii tu......
        tum kuch na hi kahoo wrnaa shikayat hoo ya na hoo
        tumhari pitaii zaroor hogii
        woh to mujhe pat ahi hai, issi liye to kuch nahi kaha, kion keh tum mera itni chhoti si umer mian gala daba do to phir mujhe to abhi dunia ki baharain bhi dekhni hain

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Mujhe aarzu-e-sehar rahi
          Yunhi raat bhar badi der tak

          Main bikher saka na simmat saka
          Yunhi raat bhar badi der tak

          Hain bohat azaab or akaile hum
          Shab-e-gham bhi meri taweel tar

          Rahi zindagi bhi saraab
          Or rahi aankh ter badi der tak

          Yahan her taraf hai ajab samaan
          Sabhi khud pasand sabhi khud numa

          Dil-e-beqarar ko na mila
          Koi chara ger badi der tak

          Mujhe Zindagi hia aziz ter
          Issi waaste mera hamsafer

          Mujhe Qatra Qatra pila Zehar
          Jo kare aser badi der tak

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Originally posted by musaddaq View Post
            woh to mujhe pat ahi hai, issi liye to kuch nahi kaha, kion keh tum mera itni chhoti si umer mian gala daba do to phir mujhe to abhi dunia ki baharain bhi dekhni hain
            hay main mar jaoon...372-haha
            baharain dekhni hain...:D..arman phoot rahye hain baharain dekhney k woh bhi itni si umer main:lpop:
            pehley khizaian tu poori kr loo:tasali:

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by musaddaq View Post
              Mujhe aarzu-e-sehar rahi
              Yunhi raat bhar badi der tak

              Main bikher saka na simmat saka
              Yunhi raat bhar badi der tak

              Hain bohat azaab or akaile hum
              Shab-e-gham bhi meri taweel tar

              Rahi zindagi bhi saraab
              Or rahi aankh ter badi der tak

              Yahan her taraf hai ajab samaan
              Sabhi khud pasand sabhi khud numa

              Dil-e-beqarar ko na mila
              Koi chara ger badi der tak

              Mujhe Zindagi hia aziz ter
              Issi waaste mera hamsafer

              Mujhe Qatra Qatra pila Zehar
              Jo kare aser badi der tak
              is ko parh k phr sey designing ka dil kr raha haii
              pr can't:)
              awesome....:phool:

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by aquari View Post
                is ko parh k phr sey designing ka dil kr raha haii
                pr can't:)
                awesome....:phool:
                :salam:thanks

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  :salam:thanks
                  :eek:
                  issey apney pass rakhoo

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by aquari View Post
                    :eek:
                    issey apney pass rakhoo
                    minu pata c keh tumhain kabhi seedhi baat ki samjh to aati hi nahi hai:tumain:issi liye ab theek hai:v:

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      minu pata c keh tumhain kabhi seedhi baat ki samjh to aati hi nahi hai:tumain:issi liye ab theek hai:v:
                      jab pata si tu ku kaha thankuu..
                      :yy:................mujhy seedhi baat nahi ati or tum hamesha hi ulti baatain krtey hoo372-haha

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Who samer tha meri duaon ka,
                        Usse kis ne apna bana liya ?

                        Meri aankh kis ne ujaarr di ?
                        Mera khawab kis ne chura liya ?


                        Tere ishq teri yaad main,

                        Kabhi guftagu rahi phool se,
                        Kabhi chaand chhat pe bula lia,

                        Meri jang ki wohi jeet thi
                        Meri fatah ka wohi nishan tha

                        Main gira to uss ne der keh
                        Mujhe bazoun mian utha lia

                        Meri chaand chhone ki hasratain
                        Meri khushbu hone ki khawahishain

                        Tu mila to aisa laga mujhe

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Bhanwar dariya main jaisey , ya bagola koi sehra main
                          k jaisey laal aandhi garmiyon ki shaam main aa'ey
                          kabhi phoolon bhari shakhain achanak sookh jati hon
                          kabhi kanton bhari tehni pe koi Gul ka khil jana
                          k tapti dhoop main jaisey kisi badal ka ik tukra
                          k jaisey sard mousam main sunehri dhoop ki kirnain
                          k jaisey gehrey badal sey kabhi sooraj nikal aaey
                          kabhi janmon ki piyasi ye zameen ik boond ko tarsey
                          kabhi lamhon ki barsatain bohut jal thal machati hon

                          k jaisey koi mousam aik mousam sey ulajh jaey
                          k pal bhar main wo mousam doosrey mousam main dhall jaey
                          k mousam ko badalney main zara see dair lagti hay
                          k mousam aur teri yaadain hamesha aik lagti hain
                          mujhey kuchh aisa lagta hay k har mousam
                          hay teri yaad ka mousam .... !!

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Yeh mumkin hai humare dermiaan koi
                            Ghalat fehmi bhi na rehti
                            Jo apny dil main choti si
                            Khalish hai khatam ho jati
                            Bata deta keh mujh ko aj bhi us ki zarurat hai
                            Jo es jewaan ko hasil hai to bas us ki muhabat hai
                            Bata deta keh logoon ki sabhi batin fasaney hain
                            Sabhi qisay puraney hain
                            Main keh deta
                            Zara si baat per yuun ruthna acha nahi hota
                            Muhbat kerny waloon main
                            ghalat Fehmi to ho sakti hai
                            Per jhagra nahi hota
                            Main her ik baat keh deta
                            Khalish bhi duur ho jati
                            Main us ka haath pakrey yuun hi us ka humqadam rehta
                            Wo agy haath to kerta !!
                            Wo mujh se baat to kerta!!

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Aankhon se Tootte hai sitaare to kya huwa
                              Chalte nahi wo saath hamare to kya huwa

                              Toofaan ki zad mein azm mere saath saath tha
                              Kashti ko mil sake na kanare to kya huwa

                              Tanhayion ne mujh ko gale se laga liya
                              Wo ban sake na Dilse hamare to kya huwa

                              Sau hausle hamare qadam choomte rahe
                              Kuchh be sukoon raat guzare to kya huwa

                              Manzil bhi, kaarwan bhi, musafir bhi khud raha
                              Saathi bane na Hamare chaand sitaare tho kya huwa....?

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by musaddaq View Post
                                Who samer tha meri duaon ka,
                                Usse kis ne apna bana liya ?

                                Meri aankh kis ne ujaarr di ?
                                Mera khawab kis ne chura liya ?


                                Tere ishq teri yaad main,

                                Kabhi guftagu rahi phool se,
                                Kabhi chaand chhat pe bula lia,

                                Meri jang ki wohi jeet thi
                                Meri fatah ka wohi nishan tha

                                Main gira to uss ne der keh
                                Mujhe bazoun mian utha lia

                                Meri chaand chhone ki hasratain
                                Meri khushbu hone ki khawahishain

                                Tu mila to aisa laga mujhe
                                buht achi hai......... :thmbup:
                                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                                :pr:

                                Comment

                                Working...
                                X