Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Usey kehna.....
    Usey hum......
    YAD KARTEY HAIN!
    Diye jab sham ki deheliz pe
    Jalane aatye
    Hain......
    Sitare aasman Pe
    Jab timtimate
    Hain........
    Zamin
    pe
    chandni pholon
    Pe
    Parti hai.......
    Bohat hi khob lagti hai!
    Hum us dam
    Apni ankhon main
    Usey abad kartye
    hain........
    USEY KEHNA
    USEY HUM
    YAAD KARTEY
    HAIN.

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Teri in ankhon main mera ghar hota
      teri ankhen jo dekhti main wo manzar hota
      kbhi patjhar
      kbhi rimjhim
      kbhi sawan
      kbhi badal
      kbhi panchi
      kbhi amber hota
      Teri umed ka hasil
      teri khwaish ka sila
      mai tere ishq
      tere sabar ka
      samar hota....
      Kia khoob hota jo mai teri rooh ka mehvar hota
      KAASH...
      Lamha lmha tere wajood mein basar hota.

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Tanhai
        Her rooz Subhu Uthta Hoon
        Dua Mangta Hoon
        Tujh Se Milny Ki
        Aur Tanhai Se Bicherny Ki
        Lakin Na Jany Kya Baat Hai
        Meri Duaain be Aser Hain
        Ya Main
        Jisey Kisi Ne Chaha Hi Nahi
        Tanhai Mujh Per Ashiq Ho Gai Hai
        Keh Tuu Mujhe Milta Nahi
        Aur Tanhai Mujh Se Bicherti nahi

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Khafa hai mujh say mujhy pareshan karta hai
          Ajeeb shaks hai khud say badguman karta hai

          Na meri parwah hai na mery haal ki kuch khabar
          Salook wo karny laga hai jesay anjaan karta hai

          Wo mery zikr pay uktana mujh say katra kar guzar jana
          Aesa lagta hai jesay wo doori ka saman karta hai

          Pehly to mujh say milna hi aehem tha jis k liye
          Ab milta bhi hai to jesay aehsaan karta hai

          Taluk torna hai to aa k keh day mujh say
          wo aesi batain gairon say bayaan karta hai

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Tujhe Ishq ho KHUDA kare
            Koi tujh ko us se judda kare

            Tere hont hansna bhi bhool jayen
            Teri aankh pur nam raha kere

            Tu us ki baatein suna kare
            Woh nazar jhuka kar chala kare

            Tere khuwaab bikhren toot ker
            Tu kirchi kirchi chunna kare

            Tu nagar nagar phira kare
            Tu gali gali sada kare

            Main kahoon Ishq dhong hai
            Tu nahi nahiii kaha kare

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Kis se kahon....
              Aur kon sunay ga?...
              Jo haal tumharey baad huwa....
              Iss jheell si neeli ankhon main...
              Ek Khawaab bohut barbaad huwa..
              Iss shehr main kitnay chehray thay...
              Sub bhool gayey....
              Kuch yaad nahin,,,,
              Ek shakhs kitabon jesa tha..
              Woh shakhs zubaani yaad huwa...

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Teri yaad se rishta kal bhi tha
                teri yaad se rishta aaj bhi hai,,

                Dil apna dukhta kal bhi tha
                dil ye udaas aaj bhi hai,,

                Jo pyar hum tum karte they
                woh pyar to zinda aaj bhi hai,,

                Hum bichad gaye is doori mein
                tum door ho majboori mein,,

                Kabhi waqt mile to chali ana
                khula dil ka darwaza aaj bhi hai,,

                Na sataao, na tadpaao..... .
                na mehfil mein yu tanha chodo,

                Teri yaad me jaage kal bhi they,
                teri yaad me jaage aaj bhi hain......

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  nice.....

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    abhi zid na kar dil-e-bekhabar
                    k pas-e-hajoom sitam garan
                    abhi kon tuj se wafa karay?
                    abhi kis ko fursatain is qadar
                    k sumait kar teri kirchi'aan
                    teray haq main khud se dua karay!

                    abhi zid na kar dil-e-bekhabar
                    k tah gubaar-e-gham-e-jahan!
                    kahan kho gaye teray chaara ghar
                    k rah-e-hayat main raay'gaan
                    kahan so gaye teray humsafar

                    abhi ghum ghusaroon ki choat seh
                    abhi kuch na sun abhi kuch na kah

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      "MERI SAADGI"
                      MERA JURM HA"
                      Yahan chahton ka sila nahi,
                      yahan dosti ka maza nahi,
                      yahan janay kaisy hawa chali,
                      Rahi doston main wafa nahi,
                      yahan jal gya mera aashian,
                      Abhi badlon ko pata nahi,
                      Teray dar pe dastak de sakon,
                      ye haq tum ne mujhay dia nahi,
                      Main raahi hon raah-e-umeed ka,
                      Mujhay manzilon ka pata nahi,
                      Be bas hon jahan ma itna,
                      jaisay mera koi "KHUDA" nahi,
                      MERI SAADGI MERA JURM HA,
                      KOI AUR MERI KHATA NAHI...

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        mariiz-e-muhabbat u.nhii.n kaa fasaanaa
                        sunaataa rahaa dam nikalate nikalate
                        magar zikr-e-shaam- e-alam jab bhii aayaa
                        chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate

                        iraadaa thaa tark-e-muhabbat kaa lekin
                        fareb-e-tabassum me.n phir aa gaye ham
                        abhii khaake Thokar sambhalane na paaye
                        ki phir khaa_ii Thokar sambhalate sambhalate

                        u.nhe.n Khat me.n likhaa thaa dil muztarib hai
                        javaab un kaa aayaa muhabbat na karate
                        tumhe.n dil lagaane ko kisane kahaa thaa
                        bahal jaayegaa dil bahalate bahalate

                        vo mehamaa.N rahe bhii to kab tak hamaare
                        hu_ii shammaa gul aur Duube sitaare
                        "Qamar" is qadar un ko jaldii thii ghar kii
                        vo ghar chal diye chaa.Ndanii Dhalate Dhalate

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Ahad nibhane ki khatir mat aana
                          ahed nibhane wale akser majbori ya
                          mahjori ki thakan se lota karte hain
                          tum jao our darya darya pias bujhao
                          jin aankhon mian dobo
                          jis dil main bhi Utro
                          mari talab awaz na de gi
                          lakan jab mari Khawahish our mari chahat ki Lo
                          itni taz our onchi ho jay
                          ke jab dil ro de
                          tab lot aana

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Koan se dukh ki kareen baat zara yah to bata

                            Mosmoon , serd hawaoon ki masihai ka dukh

                            Rah ki dhuul main bikhri hui benaai ka dukh

                            Sang k shaher main khud se shanasai ka dukh

                            Ya bhagi bersaat main tanhai ka dukh

                            Koan se dukh ki kareen baat kah dil ka derya

                            Itni tughyaani ki zaad per hai kah kuch yaad nahin

                            Kab hamain bhuul gia koan se herjai ka dukh

                            Tum to bas aik hi dukh puchty hoo.....

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Tujhe Ishq ho KHUDA kare

                              Koi tujh ko us se judda kare

                              Tere hont hansna bhi bhool jayen
                              Teri aankh pur nam raha kere

                              Tu us ki baatein suna kare
                              Woh nazar jhuka kar chala kare

                              Tere khuwaab bikhren toot ker
                              Tu kirchi kirchi chunna kare

                              Tu nagar nagar phira kare
                              Tu gali gali sada kare

                              Main kahoon Ishq dhong hai

                              Tu nahi nahiii kaha kare
                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Kis se kahon....
                              Aur kon sunay ga?...
                              Jo haal tumharey baad huwa....
                              Iss jheell si neeli ankhon main...
                              Ek Khawaab bohut barbaad huwa..
                              Iss shehr main kitnay chehray thay...
                              Sub bhool gayey....
                              Kuch yaad nahin,,,,
                              Ek shakhs kitabon jesa tha..
                              Woh shakhs zubaani yaad huwa...
                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Teri yaad se rishta kal bhi tha
                              teri yaad se rishta aaj bhi hai,,

                              Dil apna dukhta kal bhi tha
                              dil ye udaas aaj bhi hai,,

                              Jo pyar hum tum karte they
                              woh pyar to zinda aaj bhi hai,,

                              Hum bichad gaye is doori mein
                              tum door ho majboori mein,,

                              Kabhi waqt mile to chali ana
                              khula dil ka darwaza aaj bhi hai,,

                              Na sataao, na tadpaao..... .
                              na mehfil mein yu tanha chodo,

                              Teri yaad me jaage kal bhi they,
                              teri yaad me jaage aaj bhi hain......
                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Koan se dukh ki kareen baat zara yah to bata

                              Mosmoon , serd hawaoon ki masihai ka dukh

                              Rah ki dhuul main bikhri hui benaai ka dukh

                              Sang k shaher main khud se shanasai ka dukh

                              Ya bhagi bersaat main tanhai ka dukh

                              Koan se dukh ki kareen baat kah dil ka derya

                              Itni tughyaani ki zaad per hai kah kuch yaad nahin

                              Kab hamain bhuul gia koan se herjai ka dukh

                              Tum to bas aik hi dukh puchty hoo.....
                              buhat zaburdust....:thmbup::thmbup::thmbup:

                              :salam::salam::salam::salam:

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                hum suna'en to kahani aur hay,
                                yaar logon ki zubani aur hay..
                                charagar rotay hain taza zakham ko,
                                dil ki bimari purani aur hay..
                                jo kaha tha hum nay wo mazmon aur tha,
                                turj-man ki turj-mani aur hay..
                                hay bisat-e-dil lahu ki ik boond,
                                chashm-e-pur khon ki rwaani aur hay..
                                nama-ber ko kuch bhi paigham hum dain,
                                dastaan usnay sunani aur hay..
                                aab-e-zam zam dost lay aa'ay hain abbs,
                                hum jo peetay hain wo pani aur hay..
                                sab qiamat qamton ko dekh lo,
                                kia maray jana ka saani aur hay..
                                sha'ery karti hay ik dunia FRAZ,
                                par teri sada biyani aur hay......... ......

                                Comment

                                Working...
                                X