Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    nice

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Ajib rastaa hai ye, kaha shuru kaha khatam,
      Ye manzilen hai konsi, naa wo samajh sake naa hum.
      Ajib rastaa hai ye, kaha shuru kaha khatam,
      Ye manzilen hai konsi, naa wo samajh sake naa hum.


      Ye roshni ke saath kyon, dhua utha chirag se,
      Ye roshni ke saath kyon, dhua utha chirag se,
      Ye khwab dekhta hoon main, ke jag para hoon khwab se.
      Ajib rastaa hai ye, kaha shuru kaha khatam,
      Ye manzilen hai konsi, naa wo samajh sake naa hum.


      Mubarkhe tumhe ke tum, kisi ke noor ho gaye,
      Mubarkhe tumhe ke tum, kisi ke noor ho gaye,
      Kisi ke itne paas ho, ke sabse door ho gaye.
      Ajib rastaa hai ye, kaha shuru kaha khatam,
      Ye manzilen hai konsi, naa wo samajh sake naa hum.


      Kisi kaa pyaar leke tum, naya jaha basaoge,
      Kisi kaa pyaar leke tum, naya jaha basaoge,
      Ye shaam jab bhi aayegi, tum humko yaad aaoge.
      Ajib rastaa hai ye, kaha shuru kaha khatam,
      Ye manzilen hai konsi, naa wo samajh sake naa hum.
      Ajib rastaa hai ye, kaha shuru kaha khatam,
      Ye manzilen hai konsi, naa wo samajh sake naa hum.

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        aaj tu cha gaye hen

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          :)

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            nice sharing :ff:
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Kayii Saal Guzrey
              Kayii Saal Beetey
              Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
              Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
              Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
              Cheekhtey Hue Khuwab
              Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
              Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
              Jagti Subah Ko
              Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
              Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
              Safar Zindagi Hay
              Safar Aagahi Hay
              Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
              Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
              Kayii Saal Guzrey
              Kayii Saal Beetey
              Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
              Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
              k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
              Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
              Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
              Mery Paish-o-Pass
              Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
              Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
              Darindoo Ki Surat
              Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
              Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
              Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
              Magar Saal k Aakhri Din
              Nihayet Kathin Hain
              Har Ik Simt Laashon k Anbaar
              Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
              Kahan Tak Koi Dekh Paye?
              Hawaon Mein Barood Ki Baas
              Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
              Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
              Mery Milney Walon!
              Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
              To Milna!!
              k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
              Yeh Bujhta Hua Dil
              Dharakta To Hay
              Muskurata Nahi
              December Mujhay Raas Aata Nahi...!!!

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                zabardast

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  kaha tha na
                  is tarah sotay huye mat chor k jana
                  mujhe beshak jagga dena
                  bata dena
                  muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
                  judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
                  tumhain rasta badalna hai
                  mere had se nikalna hai
                  tumhain kis baat ka dar tha
                  tumhain jane nahi deta
                  kahen pe qaid kar leta
                  aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
                  jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
                  jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
                  na koi rok paya hai
                  na koi rok paye ga
                  tumhain kis baat ka dar tha
                  mujhe beshak jagga detay
                  main tum ko dekh hi leta
                  tumhain koi dua deta
                  kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
                  tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
                  magar khonay se darat hoon
                  main ab sonay se darta hoon.
                  Last edited by musaddaq; 31 December 2007, 11:50.

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujhko
                    zakhm khultay hain aziat nahin hoti mujhko

                    ab koi aaye,chala jaye,main khush rehta hun
                    ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujhko

                    esa bdla hun teray shehr ka pani pii kr
                    jhoot bolun to nadamt nahin hoti mujhko

                    ha amanat main khyanat so kisi ki khatir
                    koi mrtaa ha to herat nahin hoti mujhko

                    tu jo bdlay teri tasveer badl jati ha
                    rang bhrnay main sahulat nahin hoti mujhko

                    itna masroof hun jeenay ki hawas main shahid
                    saans lenay ki bhi fursat nahin hoti mujhko

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Zabardast sharing :)

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        nice yaar

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          aik bas tu hi nahin mujhse khafa ho betha
                          main ne jo sang tarasha woh khuda ho betha

                          uth ke manzil hi agar aaye to shayad kuch ho
                          shouq-e-manzil to mera aabla paa ho betha

                          maslehat cheen gaii quwwat-e-guftar magar
                          kuch na kehna hi mera, meri sada ho betha

                          shukriya aye mere qaatil, aye masiha mere
                          zeher jo tune diya tha, woh dawa ho betha

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            :Insight:
                            bohat achi sharing hay app ki (i like it)
                            khush rahiyey
                            ~~~duaoon main dua yeah hay k bus mil jaein tujh ko he~~~~
                            ~~~merey naseeb main likhi Khuda ney jo bhi khushiyan hon~~~

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Merey qadam shanas wo rastey kidhar gaye
                              Shayed teri talash mein hadd se guzar gaye

                              Hum ne her aik shakhs ko parkha kuch iss tarah
                              Zakhmoun se choor choor thay abke jo ghar gaye

                              Rukta houn gaam gaam ye sochta hua
                              Iss rastey se kitney musaafir guzar gaye

                              Dekha har aik aankh ne jinko saja hua
                              Terey huzoor aake sarapa bikher gaye

                              Chamke ga aaj phir andheroun mein asmaan per
                              Wo phir hamari aankh sitaaroun se bhar gaye

                              Lehroun ko rokna tou merey bas mein he na tha
                              Mein bhi saath saath tha, jidhar bhanwar gaye

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                O Dewanay larkay!
                                zara thaam lay mera haath
                                kis ko dhoond raha hai?
                                mein doon gee na tera saath!

                                O Dewanay larkay!
                                mujhay karnay day mehsoos
                                tujh ko apnay andar
                                jab tu hoga udaas
                                mein banoo gee teri aaas!

                                O Dewanay larkay!
                                ik khawahish dil kee
                                jo tujhko hai batanee hee
                                jab tu marna chahay
                                mein wajh banoo teray jeenay kee!

                                Comment

                                Working...
                                X