Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    chalo phir is terhan ker lo
    tum apnay rastay ho lo
    naae manzil koi dhondoo
    naae dunya basaao tum
    mujhay kuch dair rukna hay
    yahan kuch kam kernay hain
    yahan yadain hain kuch mairee
    wo kuch beetay howay lumhay
    wo anchal say giray thay ju
    bikher ker dor tuk
    mujhko paraishan ker rahay hain ju
    unhain ik jaah kerna hay
    kahain par dafun kerna hay
    muhabbat kee qaber per ik naya qotbaa lagana hay
    phir is kai bad mujhko lout jana hay
    ab itnay kam hain janaa
    tumhain jaldi hay tum jao
    mujhay kuch waqt lag na hay
    yai mah-o-saal hon shayad
    ya shayad hon kaee sadyaan
    tu phir kub tuk yahan baithee raho gi tum
    ju jana hay tu phir is main
    morrawat kee zaroorat kya
    muhabbat ab nahe tumko
    takkalof kee zaroorat kya
    naya sathi ju dhondha hay
    tu phir mairee zaroorat kya......... ......... .....

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Wo taqaaza-e-junoon ab ke bahaaron mein na tha
      Aik daman bhi tou uljha huwa khaaron mein na tha

      Marney jeeney ko na samjhey tou khata kis ki hai
      Kaunsa hukm hai jo un jke ishaaron mein na tha

      Har qadam khaak se daman ko bachaya tum ne
      Phir shikwa hai ke mein rahguzaaron mein na tha

      Tum sa laaakhon mein na tha ai jaane tamanna lekin
      Hum sa mehroom-e-tamanna bhi hazaaron mein na tha

      Hum kartey na agar zabt-e-faghaan tou kia karety
      Purshas-e-gham ka saleeqa bhi tou yaaron mein na tha

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Very Nice Musaddaq

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Mujhay apnay zabt pay naaz tha sar-e-bazm raat yeh kya hua
          Meri ankh kaisay chalak gayee mujhay ranj hai yeh bura hua,

          Meri zindagi k chirag ka yeh mizaj koi naya nahi,
          Abhi roshni abhi tergi na jala hua na bhuja hua,

          Mujhay jo bhi dushman-e-jaan mila wohi pukhta kar-e-jafa mila
          Na kisi ki zarb galat pari na kisi ka teer khata hua,

          Mujhay ap ku na samjh sakay yeh khud apnay dil say poochiye
          Meri dastan-e-hayat ka tu warq warq hai khula hua,

          Jo nazar bacha k guzar gay meray samnay say abhi abhi
          Yeh meray hi shehar k log thay meray ghar say ghar mila hua ,

          Hamain is ka koi haq nahi k shareek-e-bazm khaloos hoon
          Na hamaray paas naqab hai na kuch asteen main chupa hua,

          Meray ik gosha-e-fiqr main meri zindagi say azeez tar
          Mera ik aisa dost hai jo kabhi mila na juda hua ,

          Mujahy ik gali main para hua kisi bad naseeb ka khat mila
          Kahin khon-e-dil say likha hua kahin ansoon say mita hua,

          Mujhay hum safar mila koi tu shikasta haal meri tarah
          Kai manzilon ka thaka hua kahin rastay main luta hua,

          Hamain apnay ghar say chalay huay sar-e-rah umr guzar gaeee
          Na tu justajo ka sila mila na safar ka haq ada hua

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            very nice

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              such much ma bohat achi choice hai aap ki

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                app ki share ki hoye poetry mujhey bohat pasand hay .
                khush rahiyey:)
                ~~~duaoon main dua yeah hay k bus mil jaein tujh ko he~~~~
                ~~~merey naseeb main likhi Khuda ney jo bhi khushiyan hon~~~

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Thanx Dear :)

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Rutho na a dost k phir!
                    roth jany waly maan b jaien tu
                    manany waly thak sy jaty hyn
                    aur hamary sath zindagi k saffer mien
                    chalny k qabil nahi rehty
                    khafa na ho a sathi k fir!
                    khafgion k mosum dyr tak nahi telty
                    dil-o-jaan mien,ruh k ander bohat hi
                    bohat hi door ja ker basyra kerty hyn
                    naraz na ho a hamdam k fir!
                    narazgi kadurraton ko janm dyti hy
                    kadurratien dil ki fir nahi jatien
                    aur!
                    zindagi ki shaffaf rahien dhundli-o-gurd aalood ho jati hyn
                    so myry dost ,myry sathi,myry hamdam!
                    mujhy aatbar ka maan do!

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Kabhi dil jala kabhi jaan bhe
                      Kabhi kho gaye muskan bhe
                      Me apno ka kabil nahi raha
                      Ya jantay ha anjan bhe
                      Meray sath aksar rahtay hay
                      Katil meray mehman bhe
                      Dharte per zulam dakh kar
                      Roota ha asman bhe
                      WO badal gaya Kuda sa jo
                      Farishta tha bana shaytan bhe
                      bas zara zara se ranjishay
                      na bhola saka insan bhe

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        very nice

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Bikhre hue jazbaat hein
                          Toote hue khwaab hein
                          Ye jazbaat meri daulat hai
                          Yeh khwaab meri saughaat hai
                          Lamha lamha behlaati rahi
                          Teri yaad is dil ko
                          Is liye shaayad aaj bhi
                          Log Kehte hein "Hum Zinda hein"

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            again nice

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              :) thanx

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by musaddaq View Post
                                Kabhi dil jala kabhi jaan bhe
                                Kabhi kho gaye muskan bhe
                                Me apno ka kabil nahi raha
                                Ya jantay ha anjan bhe
                                Meray sath aksar rahtay hay
                                Katil meray mehman bhe
                                Dharte per zulam dakh kar
                                Roota ha asman bhe
                                WO badal gaya Kuda sa jo
                                Farishta tha bana shaytan bhe
                                bas zara zara se ranjishay
                                na bhola saka insan bhe
                                :em:
                                Bohat khoob

                                Comment

                                Working...
                                X