Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Dost kia khoob wafaoon ka sila dete hain
    her nayee mor pe ek drad naya dete hain

    tum se tu khair ghaari bhar ki mulaqaat rahi
    log sadioon ki rafaqat bhula dete hain

    kese mumkin hai dhuan bhi na ho aur dil bhi jaly
    choot perti hai tu pathar bhi sada dete hain

    kaun hota hai museebat main kisi ka aye dost!
    aag lagti hai tu patay bhi hawa dete hain

    jin pe hota hai dil ko bharossa
    wqat parne pe wahi log dhoka dete hain

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Kahan Aake \Rukne The Raaste, Kahan Mour Tha Usey Bhool Ja
      Jo Mil Gaya Usey Yaad Rakh, Jo Na Mila, Usey Bhool Ja...

      Woh Tere Naseeb Ki Barishein Kisi Aur Chhat Per Baras Gayeen
      Dil-e-bekhabar meri baat Sun, Usey Bhool Ja,
      Usey Bhool Ja...

      Mein to gum tha tere hi dhiyan mein, teri aas, tere gumaan mein
      Saba keh gayi mere kaan mein, mere saath aa, Usey Bhool Ja...

      Kisi aankh mein nahin ashk-e-gham, tere baad kuchh bhi nahin hai kam
      Tujhe zindagi ne bhula diya, tu bhi muskura, Usey Bhool Ja...

      Kion ata hoa hai gubar mein, gham-e-zindagi ke fishar mein
      Woh jo darj tha tere bakht mein, so woh hogaya, U
      sey Bhool Ja...

      Na woh aankh hi teri aankh thi na woh khwaab hi tera khwaab tha
      Dil-e-muntazir to ye kis liye, tera jagna, Usey Bhool Ja...

      Jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya, woh jo raste hi palat gaya
      Usey rokne se husool kiya, usey mat bula, Usey Bhool Ja... !!

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post
        suno
        kabhi aisa nahi kerte
        jinhain pana na ho asaan
        unhain socha nahi kerte
        garajne keh tamanai
        kabhi bersa nahi kerte
        jinhain
        shab bhar tarapna ho
        kabhi soya nahi kerta
        zara si baat pe Danish
        yunhi roya nahi kerta


        superb :rose
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Originally posted by musaddaq View Post
          Kahan Aake \Rukne The Raaste, Kahan Mour Tha Usey Bhool Ja
          Jo Mil Gaya Usey Yaad Rakh, Jo Na Mila, Usey Bhool Ja...

          Woh Tere Naseeb Ki Barishein Kisi Aur Chhat Per Baras Gayeen
          Dil-e-bekhabar meri baat Sun, Usey Bhool Ja, Usey Bhool Ja...

          Mein to gum tha tere hi dhiyan mein, teri aas, tere gumaan mein
          Saba keh gayi mere kaan mein, mere saath aa, Usey Bhool Ja...

          Kisi aankh mein nahin ashk-e-gham, tere baad kuchh bhi nahin hai kam
          Tujhe zindagi ne bhula diya, tu bhi muskura, Usey Bhool Ja...

          Kion ata hoa hai gubar mein, gham-e-zindagi ke fishar mein
          Woh jo darj tha tere bakht mein, so woh hogaya, Usey Bhool Ja...

          Na woh aankh hi teri aankh thi na woh khwaab hi tera khwaab tha
          Dil-e-muntazir to ye kis liye, tera jagna, Usey Bhool Ja...

          Jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya, woh jo raste hi palat gaya
          Usey rokne se husool kiya, usey mat bula, Usey Bhool Ja... !!

          1 of my fav :rose
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            :em:
            Nice Choice

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              :)

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
                Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

                Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
                Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay


                Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay
                Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay

                Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
                Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

                Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi
                Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay

                Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
                Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bohat Hia

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Terey Naam ki thi jo Roshni usay khud tu ne bujha diya
                  Jissko jala saki thi na Dhoop, usay chandni ne jala diya

                  Main hun gardisho ka maara huwa, mujhey ab apni khabar nahi
                  Wo jo shakhs tha mera rehnuma usay Rastoo main ganwaa diya

                  Jiss ko samjha tha tuney raqeeb, woh tera naseeb tha
                  Terey haath ki lakeer tha, tuney haath say hi mita diya

                  Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
                  Mera naam zeenat-e-dasht tha, isay aandhiyo ney mita diya

                  Yeh udasiyoo ka jamal hai ke omara ivj-e-kamal hai
                  Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

                  Merey umar ka gulistan abhi khula huwa hai zaroor par
                  Woh jo phool they teri chah key unko mosamoo ney gira diya

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay

                    Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay

                    Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
                    Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay


                    Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay
                    Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay

                    Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
                    Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

                    Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi
                    Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay

                    Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
                    Sari Zindagi Tanhayee Ke Liye Aaj Ki Raat Bohat Hia
                    very beautiful sharing :rose
                    :rose Refreshing_breeze :rose

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Guftugo Ke Lamhon Main
                      Dekh He Nahi Paatay
                      Ham Tumharay Chehray Ko
                      Tum Hamari Aankhon Ko
                      Aaj Aisa Kartay Hain
                      Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
                      Baat Chor Datay Hain

                      Jaane Kiya Lamha Hoga
                      Jab Ye Hath Hathon Say
                      Gar Kabhi Juda Hoga
                      Aaj Aisa Kartay Hain
                      Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
                      Hath Chor Datay Hain

                      Kash Koi Samjha Day
                      Loag Kis Tarah Dil Ki
                      Manzilain Alag Kar Kay
                      Saath Chor Datay Hain
                      Aaj Aisa Kartay Hain
                      Bey-sabab Bikhartay Hain
                      Zaat Taur Datay Hain...
                      Last edited by musaddaq; 18 October 2007, 11:09.

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        very nice :ff:
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          Kahan Aake \Rukne The Raaste, Kahan Mour Tha Usey Bhool Ja
                          Jo Mil Gaya Usey Yaad Rakh, Jo Na Mila, Usey Bhool Ja...

                          Woh Tere Naseeb Ki Barishein Kisi Aur Chhat Per Baras Gayeen
                          Dil-e-bekhabar meri baat Sun, Usey Bhool Ja, Usey Bhool Ja...

                          Mein to gum tha tere hi dhiyan mein, teri aas, tere gumaan mein
                          Saba keh gayi mere kaan mein, mere saath aa, Usey Bhool Ja...

                          Kisi aankh mein nahin ashk-e-gham, tere baad kuchh bhi nahin hai kam
                          Tujhe zindagi ne bhula diya, tu bhi muskura, Usey Bhool Ja...

                          Kion ata hoa hai gubar mein, gham-e-zindagi ke fishar mein
                          Woh jo darj tha tere bakht mein, so woh hogaya, Usey Bhool Ja...

                          Na woh aankh hi teri aankh thi na woh khwaab hi tera khwaab tha
                          Dil-e-muntazir to ye kis liye, tera jagna, Usey Bhool Ja...

                          Jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya, woh jo raste hi palat gaya
                          Usey rokne se husool kiya, usey mat bula, Usey Bhool Ja... !!
                          one of my all time fav :)

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Woh lakeeron ko haathon ki malte rahe
                            Hum musafir safar main hi chalte rahe..

                            beete pal woh the, unhe to aana na tha,
                            hum to karvat pe karvat badalte rahe..

                            moom ke jaise pighlaa hai dil unke bin,
                            Aur umar ki tarah ham to dhalte rahe..

                            ban ke toofan udaaya hai aashiiyanaa,
                            Mere nazdiik se jab nikalte rahe..

                            Manzil e ishq paane ki ummid me woh,
                            Raah har moad kyoN badalTe rahe..

                            Hausle past un ke na hote,
                            aandhi mein jo diya ban ke jalte rahe..

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              beete pal woh the, unhe to aana na tha,
                              hum to karvat pe karvat badalte rahe..
                              ummid bhi kya zalim cheez haii naa:)

                              moom ke jaise pighlaa hai dil unke bin,
                              Aur umar ki tarah ham to dhalte rahe..

                              be basii shayed isi ko kehtey hian ...




                              Manzil e ishq paane ki ummid me woh,
                              Raah har moad kyoN badalTe rahe..

                              hr rastaa manzil ko nahi jata,mager us manzil ki talash main sahi rasteyy ki talash main aksar aisa krna partaa hia or isi trhaa loog bhatak bhi jatey haii naa..! baqool shair
                              Ek qadam para thaa ghalat raah-e-shoouq main
                              tamam umer manzil mujhey dhondtii rahi

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                MUSADDAQ AAP NE TO SUB HEE 4ERVER GHAZLIEN DEE HAIN LEKIN....AIK 4EVER MERI TARAF SE. I HOPE U'LL LIKE IT..

                                Naa Ganwaao nawak-e-neem kash !!!!


                                Naa Ganwaao nawak-e-neem kash dil-e-reza reza ganwa diya
                                Jo bache hain sang samet lo tann-e-dagh dagh lut diya,


                                Mere chaaraa-ger ko naveed ho safe dushmanaan ko khaber karo
                                Jo qarz rakhte thay jaan per woh hissab aaj chukaa diya,


                                Karo kajj jabeen pe sar-e-kaffan mere qaatilon ko gumaan na ho
                                K guroor-e-ishq kaa bankpann pase-marg hum ne bhula diya,


                                Ider ik harf kushtanii yahaan laakh uzer thaa guftanii
                                Jo kaha to sunn k uraadiya jo likha to pardh k mita diya,


                                Jo ruke to kohe-garaan thay hum jo chale to jaan se guzar gaye
                                Rahe yaar hum ne qadam qadam tujhe yaadgaar banaa diya...

                                FAIZ AHMED FAIZ

                                Comment

                                Working...
                                X