Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice


    december ki sard ratoon main
    sab apne apne bister per
    jab meethi neend sou rahy hoty hain
    lekin main jag rahi hoti hoon
    bas yunhi chaat ko takttee rehti hoon
    soch ki waadi main utarte hi khyal us ka ata hai phir yaad bhi woh ate hain
    yadoon k sath hi ye baat dil main ati hai
    kia woh bhi jagta hoga
    kia mujhy sochta hoga
    kia uski meethi neend bhi
    us se rothti hogi
    kia mujh ko dhoondti hogi
    sard raton main...

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Parakhna mat parakhnay say koi apna nahi rahta
      Kisi bhi ainay main dair taq chehra nahi rahta

      Baday logon say milnay main humaisha faasla rakhna
      Jaha darya say sumendar mila,darya nahi rahta

      Tumharay shahar ka mausam naay andaz wala hay
      Humaray shahar main bhi koi hum sa nahi rahta

      Muhabbat aik Mehak hay humaisha sath chalte hay
      Koi insaan tanhaee main bhi tanha nahi rahta

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Baday logon say milnay main humaisha faasla rakhna
        Jaha darya say sumendar mila,darya nahi rahta
        zaberdast...baat itni hi gehri hai k jitna samunder:)

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Originally posted by musaddaq View Post
          Parakhna mat parakhnay say koi apna nahi rahta

          Kisi bhi ainay main dair taq chehra nahi rahta
          Very Nice:)

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            bohat hi dil ko chhhu lena wali poetry hai, khush rahia, mian ne sari nahi perhi abhi , kabhi kabhi perhait rahoon gi:)

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by musaddaq View Post
              woh jis ne diye mujh ko muhabbat ke khazane... badal ki tarah aankh se barsa bhi wohi hai..
              very nice bohat achi poetry ke hay app nay:thmbup:
              specially yeh wala shair bohat acha hay:lpop:
              b happy:rose

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by musaddaq View Post
                Parakhna mat parakhnay say koi apna nahi rahta

                Kisi bhi ainay main dair taq chehra nahi rahta

                Baday logon say milnay main humaisha faasla rakhna
                Jaha darya say sumendar mila,darya nahi rahta

                Tumharay shahar ka mausam naay andaz wala hay
                Humaray shahar main bhi koi hum sa nahi rahta

                Muhabbat aik Mehak hay humaisha sath chalte hay

                Koi insaan tanhaee main bhi tanha nahi rahta
                hmm very nice:em:
                keep it up

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  Jo khayal the naa qayaas the, wahi log mujh say bichar gaye
                  Jo mohabaton ki asaas the wahi log mujh say bichar gaye
                  Jinhain mantaa hi nahin yeh dil, wahi log mere hain ham safar
                  Mujhe har tarah say jo raas the, wahi log mujh say bichar gaye
                  Mujhe lamhe bhar ki rafaqaton ke saraab or satayengay
                  Meri umar bhar ki jo pyaas the wahi log mujh say bichar gaye
                  Yeh khayal sare hain arzee, yeh gulaab sare hain kaghzi
                  Gul aarzu kee jo ba-as the, wahi log mujh say bichar gaye
                  Jinhain kar saka na qubool main, woh shareek rah-e-safar huye
                  Jo meri talab, meri aas the, wahi log mujh say bichar gaye
                  Meri dharkanon ke qareeb the, meri chah the, mera khuwaab the
                  Woh jo roz-o-shab mere paas the, wahi log mujh say bichar gaye
                  bohat he achy words use kiay hain app nay
                  very nice:rose

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by musaddaq View Post
                    Hogaye rukhsat ghata barish k baaad
                    Aik diya jalta raha barish k baaad

                    Meray behtay huyey Anson ko dekh ker
                    Roo pari thandi hawa barish k baad

                    Meri tanhai ka daman tham ker
                    Kuch udasii nay kaha Barish k baaad

                    Yaad teri Orh ker main so gaya
                    Khwab ka daar khul gaya barish k baad

                    Chand dekh ker badloon ki qaid main
                    Aik sitara roo dia barish k baaad

                    Apnay ghar ki her katchi dewar per
                    Naam tera likh dia barish k baaad
                    bohat achi poetry ke hay app nay:rose
                    kafi khobsoorat ghazal hay:phool:
                    i like it:thmbup:
                    keep it up

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      Is dil ke aaine ko dikhaya naa kijiye,
                      Aankhon mai har kisi ko basaya naa kijiye,
                      Dil lagi dilon se yu hi naa kijiye,
                      Likh kar naam dil par mitaya naa kijiye
                      Yun to hum kisika peecha nahi karte,
                      Darde dil liya aur diya nahi karte,
                      Ittefaq ki baat hai ki ye dosti aap se hai,
                      Varna itni kimti cheez hum kisiko diya nahi karta
                      thank u k app nay mujh say dosti kr lee:hehe:
                      very nice dear
                      b happy:rose

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Muhabbat aik Mehak hay humaisha sath chalte hay
                        Koi insaan tanhaee main bhi tanha nahi rahta
                        haa waqai mohabat itni hi kashish or mehak rakhti hai apney under k tanha hojaney prbhi humain tanha nahi honey detii :)

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Batao kia likhain tum ko
                          ke lafzoon ka chunao bhi
                          bara dushwaar hota hai
                          jo tum ko jan likhtay hain
                          wafain khoob rooti hain
                          humain aa ker ye kehti hain
                          ke tum apnay hi katil ko
                          ab ke jaan likhtay hoo?
                          kabhi emaan likhtay hoo
                          ye tum acha nahi kertay
                          too phir ye sochtay hain hum
                          tumhain ab soog likhtay hain
                          koi mustaqil sa roog likhtay hain
                          soog ko mananay main,
                          roog ko bhulanay main
                          umeer beet jati hai
                          roog denay waloon ko log bhool jatay hian
                          bhool janay waloon ka soog too nahi hota
                          chalo tumhhi batao ab
                          buut likhain tum ko ya ke Khuda likhain
                          ajnabi ya phir aashna likhain
                          apnay nakarda gunahoon ki
                          Koi saza likhain...
                          Batao tum ko kya likhain??????

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            isay maiN ne he likha tha
                            k lahjay baraf ho jaa'eiN
                            tu phir pighla nahi kartey
                            parinday dar k urr jaa'eiN
                            tu phir loota nahi kartey
                            isay maiN ne he likha tha
                            yaqeeN uth jaa'ey tu sha'ed
                            kabhi wapis nahi aata
                            hawa'ooN ka koi toofaaN
                            kabhi baarish nahi laata
                            isay maiN ne he likha tha
                            k sheesha toot jaa'ey tu
                            kabhi phir jur nahi paata
                            jo rastey se bhatak jaa'ey
                            wo wapis mur nahi pata
                            isay kahna wo bey-maani adhura khat
                            usay maiN ne he likha tha
                            usay kahna k dewanay
                            mukamil khat nahi likhtey

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Originally posted by musaddaq View Post
                              Batao kia likhain tum ko
                              ke lafzoon ka chunao bhi
                              bara dushwaar hota hai
                              jo tum ko jan likhtay hain
                              wafain khoob rooti hain
                              humain aa ker ye kehti hain
                              ke tum apnay hi katil ko
                              ab ke jaan likhtay hoo?
                              kabhi emaan likhtay hoo
                              ye tum acha nahi kertay
                              too phir ye sochtay hain hum
                              tumhain ab soog likhtay hain
                              koi mustaqil sa roog likhtay hain
                              soog ko mananay main,
                              roog ko bhulanay main
                              umeer beet jati hai
                              roog denay waloon ko log bhool jatay hian
                              bhool janay waloon ka soog too nahi hota
                              chalo tumhhi batao ab
                              buut likhain tum ko ya ke Khuda likhain
                              ajnabi ya phir aashna likhain
                              apnay nakarda gunahoon ki
                              Koi saza likhain...
                              Batao tum ko kya likhain??????
                              awesome..:clap:
                              us shaks ko kuch bhi likh daloo ..mager shayed hi koi lafz aisa baan hoo jo sahi us ki zaat ki tashree kr sakeyy!....or yeh lafz na milna hi huamrey lya saza ban jata haii

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by musaddaq View Post
                                isay maiN ne he likha tha
                                k lahjay baraf ho jaa'eiN
                                tu phir pighla nahi kartey
                                parinday dar k urr jaa'eiN
                                tu phir loota nahi kartey
                                isay maiN ne he likha tha
                                yaqeeN uth jaa'ey tu sha'ed
                                kabhi wapis nahi aata
                                hawa'ooN ka koi toofaaN
                                kabhi baarish nahi laata
                                isay maiN ne he likha tha
                                k sheesha toot jaa'ey tu
                                kabhi phir jur nahi paata
                                jo rastey se bhatak jaa'ey
                                wo wapis mur nahi pata
                                isay kahna wo bey-maani adhura khat
                                usay maiN ne he likha tha
                                usay kahna k dewanay
                                mukamil khat nahi likhtey
                                very nice musaddaq bhai:thmbup::thmbup:
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X