Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Wajah na rahi koi mere pas ab kisiko rulane ki,
    Jab se aadat hogai hai muje khusiyon ko bhulane ki,

    Apnoki khusi ke liye maine khudki khusiyan lutai,
    Mehsoos na hone di mene aadat gum ko chhupane ki,

    Mast rehta tha main kabhi apne yaaron ke sang,
    Aaj unhone bhi saza di hai muje unka dil dukhane ki,

    Sathi na raha ab koi aur nahi hone ki koi ummid,
    Saza bhi kya khoob mili muje khud ka jahan lutane ki,

    Mane bhi nahi wo, iskadar humse khafa hogaye,
    Kosise bhi hazaron rahi meri is kasmkas ko suljane ki,

    Yaad kar un lamho ko maine aansoo bahaye hain,
    Koi aur na roye ab aur na chahat rahi kisi ko rulane ki.

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      aisa ho nahi sakta shaid:)

      hmm yehi tu sitamzareefi hai k yeh mumkin nahiii
      isi liya tu ansoo ko khushk kerliya haii ...:)

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Wajah na rahi koi mere pas ab kisiko rulane ki,
        Jab se aadat hogai hai muje khusiyon ko bhulane ki,
        Zindagi sey khushi ko bhulaney ki koshish lakh ki jaye phir bhi hum un k aney ka intezar kertey hain

        Apnoki khusi ke liye maine khudki khusiyan lutai,
        Mehsoos na hone di mene aadat gum ko chhupane ki

        jo achey hotey haii unhi k hissey main yeh sub ata hai
        kabhi kabhi app ka acha hona bhi app ki qismat or zindagi ko acha nahi bana pata ..or jo burey hotey hai woh shayed achey logo sey behter zindagi guzar letey hain


        Mast rehta tha main kabhi apne yaaron ke sang,
        Aaj unhone bhi saza di hai muje unka dil dukhane ki
        masti main ki gaii ba'az baatain kabhi kabhi kitna bara dukh dey jati ya ban jati hain


        Sathi na raha ab koi aur nahi hone ki koi ummid,
        Saza bhi kya khoob mili muje khud ka jahan lutane ki,
        wohi k jis ney sub luta diyaa woh phr bhi akhir main khali hi haath hi raha...
        itna acha hona hi nahi chahyeaa....pr kya karain apney under ki achaii sey moo bhi tu nahi mora jata

        Mane bhi nahi wo, iskadar humse khafa hogaye,
        Kosise bhi hazaron rahi meri is kasmkas ko suljane ki,
        mananey ki koshish kertey raheyaa.....roootha bhi unhi sey jata haii k jub dil ko yaqeen hoo k ussey manana ata haii.....

        Yaad kar un lamho ko maine aansoo bahaye hain,
        Koi aur na roye ab aur na chahat rahi kisi ko rulane ki.
        ek ansoo hi tu yaadoo ki tujumani kya kertey hian....

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Junoon ki guthian suljha raha hoon
          Safar dushwar karta ja raha hoon
          Mujhe maloom hai sab dar haqeeqat
          Mein apni hi simt chalta ja raha hoon


          Kabhi kabhi hum itnaa apni zindagi sey tang ajatey hian..k khud hi jaanboojh ker apney app ko saza deyletey hain..ya jan ker apni zindagi ko dushwariyoo sey bhar letey hai...khud hi pur'khar rasta muntakhib kerletey hai ...


          Ana ko jab se girvi rakh diya hai
          Tarane Zindagi k ga raha hoon



          JIs ki khatir ana choori jaye..wohi kabhi kabhi ana ki bhent humain charhaa deta haii .....aisey main jub ana hi choor di tu sub kuch bhool kr zindagi main magan hojana hi behter howa kerta haii


          Haqeeqat aiene se jhanki hai
          Samajhta hoon magar jhutla raha hoon

          Kabhi kabhi hum sub kuch jantey howey bhi haqeeqat sey ankh band kerltey hai ,kabhi us k talkh honey ki waja sey jaisey k baqoll Ahmed Faraz
          Shab-e-firaq tu kisi sooart kat'ti hi nahi
          Khayal-e-yaar main aao Faraz soo jayain
          tu kabhi apna bharm rakhney ki gharz sey samney 2qadm per majoud shaks ki taraf qadm nahi barhateyy k mohabat ka bharm na toot jaye..


          Yaqeenan koi khami baqi hai
          Mein apne aap ko dohra raha hoon
          Abhi ek or hijrat samne hai
          Main raste main zara sasta raha hoon


          zindagi k safr main thak ker kuch dair k liyaa apney app ko waqt k hawaley ker dena chaheyaa..k shayed woh koi behter simt ley jaye..apney app ko dohrana waqaii aqlmandi haii k jo ghaliti sarz'd hochuki shayed sudhar jaye..hum main jo kami hai poori hojayee

          Shaoor chak-e-dama ho raha hai
          Main ab khud ko samajh mein aa raha hoon


          Jub hum apney app ko smajh patey haii ..kabhi kabhi bari dair hojati haii

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Originally posted by musaddaq View Post
            Chand bhi tanha hai, Meri tareh

            Is virani raat mein, Qatil ki tareh.
            Ankho mein neend nahi Aati
            Bistar par parhi hoon, Kafir ki tareh.
            So gaya jag sara
            Phir bhi jaag rahi hoon, Saki ki tareh.
            Dil ki Dhakane, Badhne lagi hai
            Kahi tarapkar na toot jaye, Ghungro ki tareh.
            Kitni mushkil hai zindgi
            Phir bhi kat jayege, Jugnoo ki tarah.
            Manzil jitni door hai,
            Chahat bhi adhoori hai, Armano ki tarah.
            Jitna khudko samjha maine

            Tanha thi, Tanha reh gayi, Khawish ki tareh

            koi lafz nahi,koi commant nahi is intekhab pr bus itna sa kahoo gi..meri apni kahani lag rahi hai mujhey..:)

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Udaasioon ka sabab jo likhna,

              to ye bhi likhna

              kay chand taaray,

              shahaab ankhien badal gaye hain

              wo zinda lamhay jo teri raahon mein

              tere anay kay muntazir thay

              wo thak kay raahon mien dhel gaye hain

              wo teri yaadien, khayal tere,

              wo ranj tere, milaal tere

              wo teri ankhein, sawal tere

              wo tum say mere tamaam

              rishtay bichar gaye hain,

              ujadh gaye hian

              udaasioon ka sabab jo likna

              to ye bhi likhna

              leraztay hoonton pe larhkharhti,

              dua kay soraj

              peghal gaye hain

              tamaam sapnay he jal gaye hain

              baad marnay ke tum meri kahani likna

              kese hoi bardaad meri jawani likhna

              ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese

              bahta raha meri ankhoon say pani likna...

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by musaddaq View Post
                Udaasioon ka sabab jo likhna,


                to ye bhi likhna

                kay chand taaray,

                shahaab ankhien badal gaye hain

                wo zinda lamhay jo teri raahon mein

                tere anay kay muntazir thay

                wo thak kay raahon mien dhel gaye hain

                wo teri yaadien, khayal tere,

                wo ranj tere, milaal tere

                wo teri ankhein, sawal tere

                wo tum say mere tamaam

                rishtay bichar gaye hain,

                ujadh gaye hian

                udaasioon ka sabab jo likna

                to ye bhi likhna

                leraztay hoonton pe larhkharhti,

                dua kay soraj

                peghal gaye hain

                tamaam sapnay he jal gaye hain

                baad marnay ke tum meri kahani likna

                kese hoi bardaad meri jawani likhna

                ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese


                bahta raha meri ankhoon say pani likna...

                zaberdast

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Agar tapakta Ashkon ki jagah Lahoo aankhon se...
                  Koi kisi ko phir shayed hi rulaata...
                  Dil ke tootne ki hoti jo Awaaz...
                  Too tumhein mere dard ka andaza ho paata...
                  Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke...
                  To mere ghar ki Rounaq hoti teri mehfil se bhi zyada...
                  Na hota agar chaand mein daag...
                  Teri khubsoorti ka mujhe tod mil jata...
                  Agar karta na koi kisi se be-wafaai...
                  To shayron mein mera naam kahan se aata...

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Dard apnaataa hai paraaye kaun,
                    Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,
                    Kaun dohraaye puraani baaten,
                    Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun,
                    Vo jo apne hain, kyaa vo apne hain,
                    Kaun dukh jhele, aazmaaye kaun,
                    Ab sukun hai to bhoolne mein hain,
                    Lekin us shakhs ko bhulaaye kaun,
                    Aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas,
                    Dekhiye aaj yaad aaye kaun,
                    Dard apnaataa hai paraaye kaun,
                    Kaun suntaa hai aur sunaaye kaun,

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Har dua meri bay asar to nahi
                      Kahin ye hijr umer bhar to nahi

                      Us ki aankhon takk aa k sochta hoon
                      Main judai ki raah par to nahi

                      Khud say bhi taiz chall raha hoon main
                      Ye mera aakhari safar to nahi

                      Tootata ja raha hoon andar say
                      Main kisi aur chaak par to nahi

                      Aey meri hijar say bhai hooi neend
                      Arsa-e-khawab mukhtasir to nahi

                      Sheher main aag lagg gai hai Mo0n
                      Ye khabar aakhri to nahi.!!!

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Originally posted by musaddaq View Post
                        Agar tapakta Ashkon ki jagah Lahoo aankhon se...
                        Koi kisi ko phir shayed hi rulaata...
                        Dil ke tootne ki hoti jo Awaaz...
                        Too tumhein mere dard ka andaza ho paata...
                        Yaadein jo na aati yun khamoshi se chupke chupke...
                        To mere ghar ki Rounaq hoti teri mehfil se bhi zyada...
                        Na hota agar chaand mein daag...
                        Teri khubsoorti ka mujhe tod mil jata...
                        Agar karta na koi kisi se be-wafaai...
                        To shayron mein mera naam kahan se aata...

                        zindagi main hum bauht sarey "ager" laga ker waqti tasali dey letey hai..ager yeh sub poora hojaye tu duniya janat na ban jati.......kiisi ka dil na toot'ta..kiisi ko kabhi koi takleef na poochti..pr yeh duniyaa hai..kaisey mukamil hosakti haii....

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Chupchap kahin rakha to hai,
                          Ek khwaab humne dekha to hai
                          Kal shaam yun hi tanha baithkar
                          Tere bare me socha to hai,
                          Doobte sooraj ugte chaand par,
                          Tere liye paigham bheja to hai,
                          Behti hawa,saagar ki lehron par,
                          Tera hi naam likha to hai,
                          Aasman ko jab gaur se dekha,
                          Tera hi chehra dikha humko hai,
                          Karib ka nahi door ka sahi,
                          Koi ek rishtaa banaa to SAHI TUM say
                          Last edited by musaddaq; 17 April 2007, 15:15.

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Zindaagi Ko Na Bana Lein Woh Saza Mare Baad
                            Hauslaa Dena Unhain Khuda Mere Baad
                            Haath Uthate Huwe Unke Na Koyi Dekhe Gaa
                            Kis Ke Aane Ki Kareinge Woh Duaa Mere Baad
                            Kaun Ghoonghat Ko Uthaye Gaa Sitengar Keh Kaar
                            Aur Phir Kis Say Kareinge Woh Wafa Mere Baad
                            Phir Zamane Mein Muhabbat Ki Naa Parastish Hogi
                            Roye Gi Siskiyan Le Le Kar Wafa Mere Bad
                            Woh Jo Kehta Tha keh Sirf Tere Liye Jeeta Hon
                            Us Ka Kya Jaanye Kya Hal Hoga Mere Baad

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              nice choice

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Bewafai kaa ab gila kaisa
                                aap pahle bhi kab hamare the
                                meri aankhon main phailate hoye rang
                                kal tak aap ko bhi pyare the

                                nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
                                gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho

                                Gham to ye hai ki vo kasme waade Toot gaye
                                bewafa koi bhi ho tum na sahi ham hi sahi

                                badi zaalim nihayat bewafaa hai
                                ye duniyaa phir bhi kitani Khush-numa hai

                                bewafaa tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha
                                sirf do-char savalat kaa mauqa day day

                                kaam aa saken na apni wafaayen to kya karen
                                ik bewafa ko bhool na jayen to kyaa karen

                                mujhe mere mitana ka Gham hai to ye hai
                                tumhain bewafaa kah raha hai zamana saara

                                na jaane kyaa hai us ki saaf aankhon main
                                woho muunh chhupa ke jaaye bhi to bewafaa lage

                                sar jukaoge to pathar devata ho jayega
                                itana mat chaho use keh woh bewafaa ho jayega

                                terii bewafaaiyon par, teri kaj adaaiyon par
                                kabhii sar jhuka ke roye, kabhi munh chupa ke roye

                                Comment

                                Working...
                                X